Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Biwi Ki Behan (Saali) or Behnoi Ka Rishta

Biwi Ki Behan (Saali) or Behnoi Ka Rishta

Yeh To Hum Sab Jantey Hain Ke Biwi Ki Bahen Ke Liye Hamaray Muashrey (Society) Mein “Saali” Ka Lafz Istemaal Kiya Jaata Hai.

Lafz Agarchey Kuch Munasib Nahi Lagta Lekin Isi Naam Se Baat Shuru Kartey Hain.
Aam Taur Sey Biwi Ki Badi Bahnein Shadishuda (Married) Hoti Hain
Aur Agar Ghair Shadishuda (Unmarried) Bhi Hon To Waqt Ke Sath Tabiyat Mein Sanjeedgi Aur Burdbaari Aa Jaati Hai.
Jab Ki Biwi Ki Choti Behnein Umar Ke Us Marhaley Mein Hoti Hain Jab Zindagi Ka Har Rukh Khobsorat Aur Har Mod Dilkash Maloom Hota Hai.

Muashrey (Society) Ke Aam Chalan Ki Wajah Se Aam Taur Par Yeh Choti Saliyan Apne Behnoi Se Hansi Mazaq Ki Baatein Bhi Karti Hain* Aur Apne Behnoi Ka Khayaal Bhi Bohat Rakhti Hain.

Ab Mard Ke Rukh Se Kuch Baat Ho Jaye

Hamaray Muashrey (Society) Mein Aik Muhawra Bohot Mashhoor Hai “Saali Aadhi Ghar Wali”.
Aksar Mard Jab Apne Aziz Doston Mein Baithtey Hain To Choti Saliyon Ke Naam Par Aik Ajeeb Muskurahat Un Ke Chehray Par Aa Jati Hai.

Yeh Haqeeqat Ajeeb or Galat Hi Sahih Lekin Beharhaal Muashrey (Society) Mein Maujood Hai.
Apne Behnoi Ke Is Rukh Se Un Ki Saliyan Bhi Aksar Bekhabar Hoti Hain.

Ab Aaye Islam Ki Nazar Mein “Behnoi or Biwi Ki Behan (Sali)” Key Rishtey Ko Dekhtey Hain:

Islam Ki Nazar Se “Behnoi” or “Saali” ka Aapas Mein Parda Hai.

“Behnoi” “Saali” Ka Namehram Hai Aur Ghar Ke Andar Us Ki Maujoodgi Ki Wajah Se Use Parday Mein Bohat Ehtiyat Ki Zaroorat Hai. Yeh Aisi Haqeeqat Hai Jis Se Ladki Ke Maa Baap Bhi Ankhen Band Kiye Rakhtay Hain.

Afsos Ke Sath Kehna Padta Hai Ki Log Gharon Mein Shauhar Aur Biwi Ke Rishtedaar Mardon Ke Mutalliq Ghaflat Aur Kotahi Se Kaam Letay Hain.

Agar “Saali” Pardah Karti Bhi Hai To “Behnoi” Is Parday Ko Apni Beizzati Samajte Hain. Aur Kuch “Saliyan” «Hamaray Behnoi To Hamaray Bhai Jaisay Hain» Ki Soch Ke Sath Is Se Pardah Nahi Karti Hain.

Yeh (Is Tarah Milna Julna Or Pardah Na Karna) Aik Aisa Khamosh Zeher Hai Jis Se Ya To Woh Mard Waaqif Hai Ya ALLAH Taala Us Ke Dil Ka Haal Janta Hai.

Mardon Mein Bhi Itni Imani Quwwat Nahi Hai Ke Woh Apni Is Harkat Ko Tasleem Kar Saken.

ALLAH Ke Wastay❗ Is Imtehaan Mein Na Paden.

Biwi Ke Maa Baap Se Guzarish Hai Ke Apni Baitiyon Ko Damaad Se Shar’ee Parda Karwaen.
Biwi Ki Behnon Se Guzarish Hai Ke Khud Hi Peechay Peechay Raha Karen Taakay Behnoi Ko Yeh Maloom Ho Ke Meri Saliyan Jhijhak Aur Sharam o Haya Wali Hain.
Aur Mard Hazraat Se Guzarish Hai Ke Is Nasabi Talluq Ke Saath Mal e Muft Dil Be Reham Wala Maamla Na Karen Aur Dil Ke Andar Ghatiya Aur Fuzool Khwahishaat Paalne Se Gurez Karen (Bachen).

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare