Sehri Khao Sehri Mein Barkat Hain
حَدَّثَنَا آدَمُ بْنُ أَبِي إِيَاسٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ صُهَيْبٍ، قَالَ: سَمِعْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: تَسَحَّرُوا فَإِنَّ فِي السَّحُورِ بَرَكَةً.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سحری کھاؤ کہ سحری میں برکت ہوتی ہے۔
रसूलुल्लाह ﷺ ने फरमाया: सहरी खाओ के सहरी में बरकत होती है।
RASULULLAH ﷺ ne farmaya: Sehri khao ke sehri mein barkat hoti hai.
The Prophet ﷺ said, Take Suhur as there is a blessing in it.
Wazahat: Sehri se morad woh khana hota hai jo insaan raat ke aakhri hisse mein khata hai, aur usse sehri isliye kaha gaya hai ke raat ke aakhri hisse ko "sehar" kehte hain aur ye khana usi waqt mein khaya jata hai. Ek rewayat mein aap ﷺ ne farmaya: Sehri karna hamare aur ahle kitaab ( yahood/nasrani ) ke rozay ke darmiyan fark hai [Muslim: 1096]. Ek dusri rewayat mein ata hai be shak ALLAH TA'ALA sehri karne walon par rehmat farmata hai aur us ke farishte unke liye rehmat ki dua karte hain [Ahmed: 11086].
Sehri khane se roze daar ko roza rakhne mein madad milti hai aur sara din aasani se guzar jata hai, nez sehri karna hamare aur ahle kitaab ke rozon mein fark ka baais bhi hai.
Sahih Bukhari : jild-3, Kitab As Sawm 30, hadith no. 1923
●•••••••••••••~●
●•••••••••••••~●
Comments
Post a Comment