Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Nikaah Ka Masnoon Tarika

Nikaah Ka Masnoon Tarika

Nikaah Ka Masnoon Tarika
Nikah jis qadar azeem amr-e-ilaahi (ALLAH ﷻ ka hukm) hai us ka in’eqaad bhi utna hi aasaan hai magar logon ne usey banawat aur rasm-o-riwaaj ka rang de kar Islaami rang se bahut alag kar diya. Ek Hadees pesh karta hun us se andaza lagaayen ke nikah kya hai aur kaise kiya jaata hai? Nabi ﷺ ka farmaan hai : “Agar tumhaare paas koi aisa aadmi nikah ka paighaam bheje jis ke deen aur akhlaaq se tum mutma’in (satisfied) ho to us se shaadi kar do aur agar tum ne aisa na kiya to zameen mein fitnah aur bahut bada fasad phelega.” (Tirmizi: 1084)

Is mein nikah ka tareeqa yeh bayan kiya gaya hai ke koi aadmi apni shaadi ka paighaam kisi ladki ke waalid/guardian ko de ke main falan ladki se shaadi karna chaahta hun aur ladki ke waalid/guardian ladke mein deen aur akhlaaq paayen to us se ladki ki shaadi kar den. Aaj zameen par fitnah aur fasaad ki kasrat is wajah se bhi hai ki shaadi mein hum ne sunnat ka daaman chhod diya aur ghairon ka raasta apna liya yahan tak ke aaj film stars ko dekh dekh kar musalmaan ladke kafirah se ya muslim ladkiyaan kaafir ladkon se shaadi kar rahi hain. Al-Iyaaz Billah!

RASULULLAH ﷺ Ke Zamane Ki Shaadi Or Humare Zamane Ki Shaadi Jo shaadiyan musalmaanon ki aapas mein hoti hain woh zaat biraadri, rang-o-nasl, husn-o-jamaal, daulat-o-mansab, rasm-o-riwaaj, dikhlaawa, takalluf-o-banawat aur bid’aat-o-munkaraat se bhari hoti hain jabki Nabi ﷺ ke zamaane ki shaadiyan bilkul saada aur aam hoti thien. Ek taraf se paighaam aaya doosri taraf se paighaam qabool kar ke shaadi ho gayi. Dekhen Abdur Rehman bin ’Awf R.A ki shaadi. Hazrat Anas Radhiallahu Anhu bayan karte hain: “Nabi-e-Kareem ﷺ ne Abdur Rehman bin ’Awf par zardi ka nishaan dekha to poocha ke yeh kya hai? *Unhone kaha ke main ne ek aurat se ek guthli ke wazan ke barabar sone ke maher par nikah kiya hai. Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaaya ke ALLAH ﷻ tumhein barkat de da’wat-e-waleemah karo chaahe ek bakri hi ki ho.”

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ، أَوْلِمْ وَلَوْ بِشَاةٍ
(Bukhari: 5155)


Is shaadi mein Hazrat Abdur Rahman ne Nabi-e-Kareem ﷺ tak ko nahi bulaaya jabki dono ek hi jagah maujood they. Kitni saadgi hogi us shaadi mein?RASULULLAH ﷺ Ka Nikaah Safiyyah R.A SeNabi ﷺ jung-e-Khaibar ke safar pe they maal-e-ghanimat mein Banu Quraiza ke sardaar ki beti Safiyyah aayein un se Nabi ﷺ ki shaadi ka zikr RASULULLAH ﷺ ne Safiyyah Radhiallahu Anha ko aazad kiya aur phir un se nikah kiya aur un ki aazaadi ko un ka maher qaraar diya aur un ka waleemah maleedah se kiya.” ( Bukhari: 5169)

●•••••••••••••~●

𝗖𝗛𝗘𝗖𝗞 𝗪𝗘𝗕𝗦𝗜𝗧𝗘 :- https://cahayaofislam.blogspot.com/

𝗝𝗢𝗜𝗡 𝗙𝗔𝗖𝗘𝗕𝗢𝗢𝗞 :- https://www.facebook.com/cahayaofislam

𝗝𝗢𝗜𝗡 𝗬𝗢𝗨𝗧𝗨𝗕𝗘 :- https://youtube.com/@cahayaofislam

𝗝𝗢𝗜𝗡 𝗪𝗛𝗔𝗧𝗦𝗔𝗣𝗣 :- https://whatsapp.com/channel/0029VaBiOqL9RZAaf0toha2p

●•••••••••••••~●

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare