Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Roza Jahanum Se Bachne Ki Dhal Hai

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai Hadis In Arabic

قَالَ رَسُوْلَ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَعَلٰی آلِہٖوَصَحْبِہِ وَسَلَّمَ یَقُوْلُ: اَلصِّیَامُ جُنَّۃٌ مِنَ النَّارِ کَجُنَّۃِ اَحَدِکُمْ مِنَ الْقِتَالِ۔

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai Hadis In Urdu

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جہنم سے بچنے کے لیے روزہ ایسی ہی ڈھال ہے، جیسے لڑائی میں آدمی ڈھال استعمال کرتا ہے۔

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai Hadis In Hindi

नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जहन्नम से बचने के लिए रोज़ा ऐसी ही ढाल है, जैसे लड़ाई में आदमी ढाल इस्तेमाल करता है।"

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai Hadis In Roman English 

Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jahannam se bachne ke liye roza aisi hi dhaal hai, jaise ladai mein aadmi dhaal istemaal karta hai“.

Roza Jahannam Se Bachne Ki Dhal Hai Hadis In English 

The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: “Fasting is a shield from the Hell fire, just like a shield of yours in battle.”

Wazahat: Roza dhaal hai, uske zariye banda duniya mein badgoi, fehesh kalami aur gunaho aur jahannam ke dosre asbaab se aur aakhirat mein aag ke azaab se bachta hai. Roza jahannam se bachne ke liye iss tarah se dhaal bhi hai ke jahannam ke ird gird shehwaat ka ghera hai aur roza sire se shehwaat se hi rokta hai, iss tarah momin roze ke sabab se jahannam se duur reh jata hai.

Musnad Ahmed: jild-4, kitab As sawm 22, hadith no. 3644, Sahih



Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab