Jo Roze Me Jhut Bolna Nahi Chodhta
حَدَّثَنَا آدَمُ بْنُ أَبِي إِيَاسٍ، حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي ذِئْبٍ، حَدَّثَنَا سَعِيدٌ الْمَقْبُرِيُّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ""مَنْ لَمْ يَدَعْ قَوْلَ الزُّورِ وَالْعَمَلَ بِهِ، فَلَيْسَ لِلَّهِ حَاجَةٌ فِي أَنْ يَدَعَ طَعَامَهُ وَشَرَابَهُ"".
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: जो शख्स (रोज़े की हालत में) झूठ बोलना और दग़ाबाज़ी करना न छोड़े, तो अल्लाह तआला को उसकी कोई जरूरत नहीं की वह अपना खाना पीना छोड़े।
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: jo shakhs (roze ki halat mein) jhoot bolna aur dagha baazi karna naa chhorey to Allah taala ko uski koi zarurat nahi ke woh apna khana peena chhor de.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص (روزہ کی حالت میں) جھوٹ بولنا اور دغا بازی کرنا نہ چھوڑے تو اللہ تعالیٰ کو اس کی کوئی ضرورت نہیں کہ وہ اپنا کھانا پینا چھوڑ دے۔
The Prophet ﷺ said, Whoever does not give up forged speech and evil actions, Allah is not in need of his leaving his food and drink.
📜 *Wazahat:* roza sirf bhook aur pyaas bardasht karne ka naam nahi. Aadaab Siyam mein hai ke hum haath, paer, dil, dimagh aur zubaan tamam azaye badan ko munkeraat se duur rakhen. Roza ki haalat mein gheebat, jhoot, fehash kalami kisi tor pe jayez nahi, kyun ke uski wajah se roza mein karahat aati hai. Roza farz karne ka maqsad sirf roza daar ka bhooka, peyasa rehna kaafi nahi hai balke dunyawi lazzaton ki khwahishaat aur bure aamaal maslan jhoot bolna, fehash kalami karna aur gheebat waghera se bachna bhi zarori hai.
📚 _*Bukhari sharif: jild-3, Kitab Al-Siyam 30, hadith no. 1903*_
Comments
Post a Comment