Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Kya Safar Me Roza Chodh Sakte Hain

Kya Safar Me Roza Chodh Sakte Hain 

‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ نُمَيْرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ هِشَامِ بْنِ عُرْوَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَائِشَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَتْ:‏‏‏‏ سَأَلَ حَمْزَةُ الْأَسْلَمِيُّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنِّي أَصُومُ أَفَأَصُومُ فِي السَّفَرِ؟، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ إِنْ شِئْتَ فَصُمْ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ شِئْتَ فَأَفْطِرْ .

 حمزہ اسلمی رضی اللہ عنہ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا: میں روزہ رکھتا ہوں تو کیا میں سفر میں بھی روزہ رکھوں؟ تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اگر چاہو تو رکھو، اور چاہو تو نہ رکھو ۔ 

हमज़ा असलमी रज़ि अल्लाह अन्हु ने रसूल अल्लाह ﷺ से पूछा: मैं रोज़ा रखता हूँ तो क्या मैं सफ़र में भी रोज़ा रखू? तो आप ﷺ ने फ़रमाया: अगर चाहो तो रखो, और चाहो तो ना रखो।

Hamza Aslami razi Allah anho ne rasool Allah ﷺ se poocha: main roza rakhta hu to kya main safar mein bhi roza rakhu? to aap ﷺ ne farmaya: agar chaho to rakho, aur chaho to naa rakho.

“Hamzah Al-Aslami ra asked the Messenger of Allah (ﷺ): ‘I am fasting, should I fast while traveling?’ The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘you may fast if you wish, and you may not fast if you wish".
 
*Wazahat:* Pata chal ki safar mein roze naa rakhna ya chhod dena jayez hai, khwah woh roza rakhne ki taaqat rakhta ho ya nahi, roza rakhna uske liye asaan ho ya mushkil, ( yani agarche safar asaan ho aur saari sahulaten mayassar hon ) agarche saaye aur pani mein safar kar raha ho, uske sath khadim bhi ho, phir bhi uske liye roza chhorna aur qasr karna jayez hai haan agar in sab ke bawajood agar koi dauran e safar mein roza rakhna chahe to rakh sakta hai, safar ke dauraan chhute hue roze ki ginti ramadan baad dusre dino mein pura karna chahiye, jaisa ke Allah swt ne Quran mein farmaya _*...jo beemar ho ya musafir ho ussay dusray dino mein yeh ginti poori karni chahaiye ALLAH TA'ALA ka irada tumhare sath asaani ka hai sakhti ka nahi woh chahta hai ke tum ginti poori kar lo aur ALLAH TA'ALA ki di hui hidayat par uss ki baraiyan bayan karo aur uska shukar karo.*_ [📖Quran 2:185]. Lekin agar use lagta hain tamzan ke baad woh roze nahi rakh payega to behtar yahi hain woh roza rakhle. Or aaj kal wese bhi safar me bahut asaniya hogyi hain roza rakhna zyada mushkil nahi raha.

Sunan ibne majah: jild-1, Kitab Al-Siyam 7, hadith no. 1662, Sahih*


Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare