Witr Padne Ka Sahih Tarika Kya Hai
- Get link
- X
- Other Apps
Witr Padne Ka Sahih Tarika Kya Hai
ASSALAMU ALAYKUM WA REMATULLAHI WA BARKATUHU Witr ki namaz ek behtreen ibadat hai jisse ALLAH ka qurb hasil hota hai. or iska ajr bhi wahi hain lekin sawab tab hi hasil ho payega jab hum namaz ko RASULULLAH ﷺ ke bataye tarike par padenge.
Is Article me Hum apko namaz e witr ka sahih tarika batayenge jis tarike se RASULULLAH ﷺ or unke sahaba witr ki namaz padhte the , or agar aap abhi tak galat witr ki namaz padh rahe the to aaj se apni namaz RASULULLAH ﷺ ke bataye tarike se shuru kare
1. WITR KA WAQT
2. WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME
3. WITR KI NIYAT
4. WITR KI RAKAT
5. TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA
6. PAANCH YA SAAT RAKAT WITR
7. NAU (9) RAKAT WITR
8. GYARA RAKAT WITR
9. WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA
10. Dua e Qunut
11. DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?
12. RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE
13. KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?
1. WITR KA WAQT:
Shaykh Muhammad Salih Al Munajjid farmate hai Witr ki namaz ka shuru ka waqt tab hota hai jab ek shaks Isha padh chuka hota hai agarche isha ko magrib ke sath hi kyu na padha gaya ho magrib ke waqt. Aur is namaz ka khatm hone ka waqt fajr se pahle hai. RASULULLAH ﷺ ne farmaya, “ALLAH ne tumpar ek namaz Mukarrar ki hai jo Witr hai; ALLAH ne tumpar ye namaz Isha ki namaz aur Fajr ki shuruat ke bich mukarrar ki hai.”
Narrated by al-Tirmidhi, 425; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.
2. WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME:
Nabi ﷺ ne farmaya, “Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”`
Sahih Muslim, hadith-755 .
3. WITR KI NIYAT:
RASUL ﷺ ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai.
Sahih al Bukhari, hadith-1
🔸Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.
4. WITR KI RAKAT:
RASUL ﷺ ne farmaya,”Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.”`
Sunan Abu Daud, hadith-1422, Sahih (Al-Albani)
NOTE: RASUL ﷺ ne farmaya, “Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”.
Sahih Muslim, hadith-752
5. TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA
🔸Teen rakat witr padhne ke do (2) tarike hai:`
Pahla Tarika:
🔸Ek ye hai ki Teen rakat ke witr me kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.
Ayesha r.a. farmati hai ki RASULALLAH ﷺ teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad.
Dusra Tarika
🔸Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam fere aur fir ek rakat alag se padhna ha.
Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aesa RASULALLAH ﷺ kiya karte the.
Narrated by Ibn Hibbaan (2435); Ibn Hajar said in al-Fath (2/482): its isnaad is qawiy (strong).
Dono tarika jayz hai halaanke behtar dusra tarika hai.
6. PAANCH YA SAAT RAKAT WITR
🔸Lekin agar koi panch ya saat rakat witr padhe to wo musalsal honi chaiye aur sirf akhri rakat me Tashahudd padhe aur fir Tasleem (salaam) kahe. Kyuki:
`Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki RASULALLAH ﷺ raat ko terah (13) rakat padha karte the jisme wo paanch rakat witr padhte the jisme wo akhri rakat ke alawa kisi rakat me na baithte the.
Narrated by Muslim, 737
Umm Salamah r.a. riwayat karti hai ki RASULALLAH ﷺ panch ya sath rakat witr padhte the aur wo uske bich koi salam ya alfaz se alag nahi karte the.
Narrated by Ahmad, 6/290; al-Nasaa’i, 1714. al-Nawawi said: Its isnaad is jayyid. Al-Fath al-Rabbaani, 2/297. and it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i.
7. NAU (9) RAKAT WITR
🔸Agar wo nau (9) rakat witr padhna chahe to kisi bhi rakat me na baith siwae aathwe rakat me. Aanthwe rakat me baith kar sirf tashahud kahe aur salaam na kahe aur fir wo khada ho jaye. Fir 9 rakat me tashahud aur salaam dono padh kar namaz khatm kare.
8.GYARA RAKAT WITR
🔸Agar wo 11 rakat witr padhna chahe to har 2 rakat me salaam fere aur fir akhir me 1 rakat padhe.
9. WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA
RASULALLAH ﷺ ne farmaya ki Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.
Narrated by al-Haakim, 1/403; al-Bayhaqi, 3/31; al-Daaraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar said in Fath al-Baari (4/301): Its isnaad fulfils the conditions of the two Shaykhs (al-Bukhaari and Muslim).
🔸Aur is hadith ka jawab dusri hadith deti hai ki witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki RASULALLAH ﷺ teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad.
🔸Is hadith se pata chala ki Witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye jisse RASULALLAH ﷺ ne mana farmaya hai.
10. Dua e Qunut
🔸“Allaahumma ihdini feeman hadayta wa ‘aafini feeman ‘aafayta wa tawallani feeman tawallayta wa baarik li feema a’tayta, wa qini sharra ma qadayta , fa innaka taqdi wa la yuqda ‘alayk, wa innahu laa yadhillu man waalayta [wa laa ya’izzu man ‘aadayta,] tabaarakta Rabbana wa ta’aalayta .
[Ref : Narrated by Abu Dawood, 1213; al-Nasaa’i, 1725; classed as saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].
🔸Tarjuma:- Ya ALLAH! Mujhe Hidaayat Dekar In Logo’n Mein Shamil Farma Jinhei’n Tune Rushd o Hidaayat Se Nawaaza Hai Aur Mujhe Aafiyat Dekar In Logo’n Mein Shamil Farma Jinhei’n Tune Afiyat Baqhshee Hai Aur Jin Logo’n Ko Tune Apna Dost Banaaya Hai In Mein Mujhe Bhi Shamil Karke Apna Dost Banaale. Jo Kuch Tune Mujhe Ataa Farmaya Hai Is Mein Mere Liey Barkat Daal de aur Jis Sharr o Buraai Ka Tune Faisla Farmaya Hai Is se Mujhe Mehfooz Rakh Aur Bachaale.
Yaqeenan Tuhi Faisla Saadir Farmata Hai Tere Khilaaf Faisla Saadir Nahi Kiya Jaasakta Aur Jiska Tu Dost Banaa Wo Kabhi Zaleel o Khuwaar Aur Ruswa Nahi Ho Sakta Aur Wo Shaqs Izzat Nahi Paasakta Jise Tu Dushman Kahe, Aey Hamaare Rab! Tu (Badaa) Hi Barkat Waala Aur Buland o Baala Hai’.
🔸Jo Brackets me dua hai [wa laa ya’izzu man ‘aadayta] wo Sunan Abu Daud ki sahih hadith me hai lekin Ye Alfaz Sunan Nisai ki Sahih hadith me nahi hai. Toh Isliye jo dua ke izafi alfaz hai wo padh bhi sakte hai aur nahi bhi, Dono Tarike Sahih hai.
11. DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?
🔸Is mualmle me ulemao me ikhtilaf hai. Lekin aksar ulemao ka ye kahna hai ki Dua e qunoot ruku se pahle aur ruku ke baad dono kar sakte hai aur dono ki ijazat hai.
🔸Lekin behtar Raae ye hai ki dua e Qunoot ruku se pahle kiya jaye. Ye isliye kyuki koi bhi sahih/hasan riwayat nahi hai jaha RASULALLAH ya sahaba duae qunoot e witr me Ruku ke baad qunoot padha karte the. Balki sahabao se ye sabit hai ki wo ruku se pahle qunoot e witr padha karte the:
Asim Ahwal riwayat karte hai ki Maine Anas bin Malik se Qunut ke bareme pucha. Anas r.a. ne jawab diya, “Bilkul (ye padha jata tha)”. Maine pucha ki ruku se pahle ya ruku ke baad? Anas r.a. ne jawab diya: ‘Ruku se pahle’. Maine kaha Fula ne kaha hai ki apne unse bataya hai ki ruku ke baad hai. Anas r.a. ne farmaya, ‘Usne Jhut [Hijazi dialect ke mutabik use galti lagi] kaha’. ALLAH ke RASUL ne Qunut ruku ke baad ek mahine ke liye padha tha. Anas r.a. Farmate hai jab Mushreken ne 70 Sahaba karam ko Qatal kar deya tou ”Nabi ﷺ ne Ek Ma’ah (30 day) Qunut Farmaye jisme Aap ﷺ un (ke Qatal Musreko) per Bad-dua karte Rahe”.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 16, Number 116, Abu Awaanah (2/285), Daarimee (1/374), Sharh Ma’anee al-Aathaar of Tahaawee (1/143), Sunan al-Kubraa (2/207) of Baihaqee and Musnad Ahmad (3/167).
Ubayy Ibn Ka’ab RadhiAllaahu Anhu farmate hai ki RASULALLAH ﷺ Teen witr padhte aur Dua e Qunoot ruku se pahle padhte the.
Ibn Maajah (no.1182), Sunan an-Nasaa’ee (3/235no.1700), Sunan Daarqutnee (2/31 no.1644), Dhiya Maqdisee has also transmitted this in al-Mukhtarah Imaam al-Albaanee authenticated it refer to Saheeh Ibn Maajah (no.970) and Irwaa ul-Ghaleel (no.462)]
🔸Musannaf Ibn Abi Shaybah me bhi ye riwayat darj hai ke Hazrat Abdullah bin Masood aur sahaba kiraam r.a. Qunut e witr ruku se pahle padhte the.
```🔸Ibn Abi Shayba, Ise Ibn e Turkmani aur Hafiz ibn Hajar ne hasan kaha hai.
12.RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE
🔸Witr me Ruku ke baad Qunut ki tamam riwayat zaif hai aur jo riwayat sahih hai unme ye wazeh nahi hai ki Aap ﷺ ka ruku ke baad wala Qunut, Qunut witr tha ya Qunut e Nazila. Isliye Witr me qunut ruku se pahle padha jana chahiye.
🔸Allaama Ibn Hajar r.h. Sahih al Bukhari ki tafseer Fath al-Bari me kahte hai, Ye saare riwayato ko Tajzeeh karne ke baad hame ye pata chalta hai ki ye ek aam mamool tha ki dua e qunut witr se pahle padha jata tha. Taaham kisi khas surat me (jaise musibat ke waqt) qunut ruku se baad padha jata tha.
[Ref: Fath ul Bahri vol. 1, pg. 291].
13.KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?
🔸Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadiths ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat RASULALLAH se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki Hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaye.
🔸Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.
Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.
🔸Qunut me hath uthana Umar r.a. se bhi sabit hai.
Al-Bayhaqi in a report which he classed as saheeh (2/210).
💫ALLAH hame Kasrat se Witr ada karne ki taufeek ata farmaye.
Aameen.
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment