Posts

Showing posts from January, 2021

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Gusl Farz Sirf Mani Se Hota Hai

 Gusl Farz Sirf Mani Se Hota Hai Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allah Anho se manqool hai, Nabi ﷺ ne farmaya :' ' pani ( ghusal ) pani ( Mani ) se wajib hota hai. It was narrated from Abu Ayyub that the Prophet (ﷺ) said: Water is for Water. That is, water for peforming Ghusl is obligatory when the ejaculation of water (semen) occurs.  Sunan Nasai 199, Sahih

Janabat Ki Halat Me Sona , Khana - Pina Hoto

  Janabat Ki Halat Me Sona , Khana - Pina Hoto Hazrat Aisha Razi Allah Anha farmati hain ke ALLAH ke RASUL ﷺ jab janabat ki haalat mein sone ka iradah farmate to wudu farmate aur jab khane ya pine ka iradah farmatay to apne haath dhote, phir khate pite .  'Aishah said: If the Messenger of ALLAH (ﷺ) wanted to sleep while he was Junub, he would perform Wudu', and if he wanted to eat or drink, she said: he would wash his hands and then eat or drink.  Sunan Nasai 258,Sahih

Agr Ek Se Zyada Bar HumBistri (Intercourse) Karni Hoto

  Agr Ek Se Zyada Bar HumBistri (Intercourse) Karni Hoto Hazrat Abu Syed Razi Allah Anho se riwayat hai, Nabi ﷺ ne farmaya :' ' Jab tum mein se koi dobarah jamaa karna chahay to wudu kar le.' ' The Prophet (ﷺ) said: When any one of you a wants to return (to have intercourse again), let him perform Wudu'.  Sunan Nasai 263,Sahih

Gusal Tab Hi Hai Jab Many Nikale

  Gusal Tab Hi Hai Jab Many Nikale Hazrat Ali Razi Allah anho se riwayat hai ke mujhe mazi bohat ziyada aati thi, chunanche mein ne Nabi ﷺ se pucha to aap ne farmaya :' ' jab tum mazi dekho to apne uzoo ko dho kar wudu kar lo aur jab tum zor se many nikalo to ghusal kar lo. It was narrated that 'Ali said: I was one who had a lot of prostatic discharge, so I asked the Prophet (ﷺ) and he said: 'If you see Madhi (prostatic fluid) then perform Wudu' and wash your penis, but if you see semen ejaculated, then perform Ghusl.'   Sunan Nasai 194 , Sahih

Jisne RASULULLAH ﷺ Ki Taraf Jhuth Bandha

Jisne RASULULLAH ﷺ Ki Taraf Jhuth Bandha   Ali Razi Allah Anho kehte hain ke RASUL ﷺ ne farmaya : Mujh par jhoot nah bandho, is liye ke mujh par jhoot bandhna jahannum mein daakhil karta hai.  It was narrated from that 'Ali said: The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: 'Do not tell lies about me, for telling lies about me leads to Hell (Fire).  Ibne Maja 31 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ki Itaat Matlb ALLAH Ki Itaa

 RASULULLAH ﷺ Ki Itaat Matlb ALLAH Ki Itaat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jis ne meri itaat ki us ne ALLAH ki itaat ki, aur jis ne meri nafarmani ki us ne ALLAH ki nafarmani ki   Abu Hurairah narrated that: The Prophet ﷺ said: Whoever obeys me, obeys ALLAH; and whoever disobeys me, disobeys ALLAH.  Ibne Maja 3 , Sahih

Pata Hai Hum Kaha Tut'te Hai

  M uhabbat Ka Tarruf Pata Hai Hum Kaha Tut'te Hai , Jab hum khud ki marzi se kisi se baat karne lag jaye jab hum mazak mazak me kari gayi baato me bad me serious hojaye jab hum us insan se Muhabbat karne lag jaye jiska hume pata bhi nahi ye humari qismat me likha hai yaa nahi uske sath khwab dekhne lag jaye Nikaah ke liye ummide bandhne lag jaye Nikaah se pehle Ek Dusre ko khwaind Ahliya Manne lag jaye , Hum Jab Tut'te hai jab us shaks se duri hone lage fir hum pareshan hojate hai , Galti to humse hogayi hai or hum itni dur nikal aaye hai ke ab us insan se dur jana humare bas ki baat nahi , hum tab har jagah se pareshan hone lagte hai Kyoki humee uske alawah kuch dikhta hi Nahi , Humne kabhi socha hi nahi ye galat hai humari qismat me kya hai hum nahi jante fir bhi us insan ke piche padhe hai , hum ALLAH se bhi duaa karte hai Lekin fir bhi humari halat nahi sudharti or hum bs andr hi andr dubte chalte jate chale jate hai.Tab hume pata bhi nahi hota ye ALLAH ko naapasand hai or...

Imaan Ki Haqiqat

Image
  Iman Ki Haqiqat Khutba By Mulana Moududi Rehmatullah Alayh  Click Here To Download Imaan Emaan Molana modudi

Ek Dusre Se Bugz Na Rakho

  Ek Dusre Se Bugz Na Rakho Nabi Akram ﷺ ne farmaya : Tum log ek dusre se bughz nah rakho, ek dusre se hasad nah karo, aur ek dusre ko peeth nah dikhao ( yani mulaqaat tark nah karo ) aur ALLAH ke bande bhai bhai ban kar raho, aur kisi musalman ke liye yeh durust nahi ke woh apne bhai se teen din se ziyada milna julna chodhe rakhay. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Do not hate each other ; do not envy each other; do not desert each other; and be the servants of Allah as brethren. It is not allowable for a Muslim to keep apart from his brother for more than three days.  Abu Dawood 4910, Sahih

BadGumani Se Bacho

  BadGumani Se Bacho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Zan o gumaan ke piche padney se bacho ya badgumani se bacho, is liye ke badgumani sab se badha jhoot hai, nah tooh mein padho aur nah jasusi karo. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Avoid suspicion for suspicion is the most lying form of talk. Do not be inquisitive about one another, or spy on one another.  Abu Dawood 4917, Sahih

Islam Me Konsi Bate Karni Chahiye Konsi Nahi

 Islam Me Konsi Bate Karni Chahiye Konsi Nahi RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Mein tumhe jis cheez ka hukum dun usay mano, aur jis chiz se rok du us se ruk jao. The Prophet ﷺ said: Whatever I have commanded you do it, and whatever I have forbidden you, refrain from it.  Ibne Maja 1 , Sahih

Jo Aurat Bina Kisi Baat Ke Shohar Se Talaq Chahe

 Jo Aurat Bina Kisi Baat Ke Shohar Se Talaq Chahe RASULULLAH ﷺ ne farmaya Jis Aurat ne apne shohar se bager kisi baat ke talaq talab kito uspr Jannat ki khushboo Haram hai. The Messenger of ALLAH said: Whichever woman seeks a Khul from her husband without harm (cause), then the scent of Paradise will be unlawful for her. .  Tirmazi 1187 , Sahih

Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha

Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Hadis In Arabic / Arabi حَدَّثَنَا أَبُو هِشَامٍ الرِّفَاعِيُّ، حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ عَيَّاشٍ، حَدَّثَنَا عَاصِمٌ، عَنْ زِرٍّ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ كَذَبَ عَلَيَّ مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ . Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Hadis In Urdu رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے جان بوجھ کر میری طرف جھوٹ کی نسبت کی تو وہ جہنم میں اپنا ٹھکانا بنا لے“ ۱؎۔ Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Hadis In Hindi अब्दुल्लाह-बिन-मसऊद (रज़ि०) कहते हैं कि रसूलुल्लाह (सल्ल०) ने फ़रमाया: जिसने जान-बूझकर मेरी तरफ़ झूट की निस्बत की तो वो जहन्नम  में अपना ठिकाना बना ले। Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Hadis In Roman English RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jisne jaan bhuj kar meri taraf Jhooth bandha wo apna thikana jahannum me banale. Jisne RASULULLAH ﷺ Par Jhuth Bandha Hadis In English Narrated 'Abdulla...

Jisne Teen Din Se Kam Quran Ko Mukammal Pada

 Jisne Teen Din Se Kam Quran Ko Mukammal Pada Nabi Kareem ﷺ ne farmaya : Usne Quran Smjha hi nahi jisne 3 din se kam muddat me Quran khatam kar dala. Narrated 'Abdullah bin 'Amr: That the Prophet (ﷺ) said: He who recites the Qur'an in less than three (days), he does not understand it.  Tirmazi 2949 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Masjid Me ijtimaiyat Ko Pasand Farmatay thy

  RASULULLAH ﷺ Masjid Me ijtimaiyat Ko Pasand Farmatay thy RASULULLAH ﷺ masjid mein dakhil hue aur log halqay bana kar bethe hue thay, aap ne farmaya : kya wajah hai ke mein tum logo ko alag alag garohoon mein dekh raha ho.Albata is mein hai goya ke aap ijtimaiyat ko pasand farmatay thay. The Messenger of ALLAH ﷺ entered the mosque, and saw them ( his companions) in separate groups. He said: How is it that i see you in separate groups. it seems he liked collective gathering.  Abu Dawood 4824 , Sahih

Jo Logo Ke Aibo Ke Piche Padhega ALLAH Uske Aibo Ke Piche Padhega

 Jo Logo Ke Aibo Ke Piche Padhega ALLAH Uske Aibo Ke Piche Padhega RASULULLAH ﷺ ne farmaya : aye woh logo! jo imaan laaye ho apni zabaan se aur haal yeh hai ke imaan uske dil mein daakhil nahi huwa hai musalmano ki gibat nah karo aur un ke aibo ke piche nah padho, isliye ke jo un ke aibo ke piche padhega, ALLAH uske aib ke piche padhega, aur ALLAH jis ke aib ke padhega, usay usi ke ghar mein zaleel o ruswa kar day ga The Prophet ﷺ said: O community of people, who believed by their tongue, and belief did not enter their hearts, do not back-bite Muslims, and do not search for their faults, for if anyone searches for their faults, Allah will search for his fault, and if Allah searches for the fault of anyone, He disgraces him in his house.  Abu Dawood 4880, Sahih

Kisi Ki Gibat Karna Ya Kisi Ko Be-izzat Karne Ka Azab

  Kisi Ki Gibat Karna Ya Kisi Ko Be-izzat Karne Ka Azab RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jab mujhe meraj karai gayi, to mera guzar aisay logo par se hiwa, jin ke nakhun tanbay ke thay aur woh un se apne muh aur sine noch rahay thay, mein ne pucha : Jibraiel ! yeh kon log hain? kaha : yeh woh hain jo logo ka gosht khate ( gibat karte ) aur un ki be izzati karte thay.  The Prophet ﷺ said: When I was taken up to heaven I passed by people who had nails of copper and were scratching their faces and their breasts. I said: Who are these people, Gabriel? He replied: They are those who were given to back biting and who aspersed people's honour.  Abu Dawood 4878, Sahih

Sabse Badhi Zyadati Kya Hai

  Sabse Badhi Zyadati Kya Hai Sabse Badhi Zyadati Kya Hai  Hadis In Arabic / Arabi النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ إِنَّ مِنْ أَرْبَى الرِّبَا الِاسْتِطَالَةَ فِي عِرْضِ الْمُسْلِمِ بِغَيْرِ حَقٍّ . Sabse Badhi Zyadati Kya Hai  Hadis In Urdu نبی ﷺ نے فرمایا :’’ سب سے بڑا سود ( سب سے بڑی زیادتی ) یہ ہے کہ انسان ناحق کسی کی عزت سے کھیلے Sabse Badhi Zyadati Kya Hai  Hadis  In Hindi नबी ﷺ ने फ़रमाया :  सब से बड़ा सूद ( सब से बड़ी ज़्यादती ) ये है कि इन्सान नाहक़ किसी की इज़्ज़त से खेले। Sabse Badhi Zyadati Kya Hai  Hadis  In Roman English Nabi Kareem ﷺ ne  farmaya :- Sabse Badhi Zyadati yeh hai ke aadmi nahak kisi musalman ki beizzati kare. Sabse Badhi Zyadati Kya Hai  Hadis  In English The Prophet ﷺ said: The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour.  Abu Dawood 4876 , Sahih

Sirf ALLAH se mango or uske sath kisi ko sharik mat thehrao

Hum Me Or Gero Me Kya Farak Hai, Hum me or gero me ye farak hai ke hum sirf ek ALLAH ko mante uski ibadat karte hai or ger yato ALLAH ke sath ya ALLAH ko Chodh kar Ibadat karte hai , Lekin aaj har qaum ki tarh hum Muslim qaum me bhi bigadh agya jese Musa A.S Jab ALLAH se mulaqat ke liye gaye to Unki qaum ne Bachdhe ki ibadat karna shuru kardi Isaa A.S Ko logo ne ALLAH la beta kaha kisi Ne Uzair A.S Ko ALLAH ka beta kaha isi tarh hum muslim bhi kayi log ese gaflat me padh gaye Hai jo ALLAH koto mante hai Lekin ALLAH ke sath gero ko b mante or unse hazate mangne lag gaye hai or Ye kehte hai ke hum itne nek nahi hai ke sidhe ALLAH se mange islye hume unka wasila lagana padhta hai , KYA humara ALLAH bhi un gero ke khudao jesa hai jo amiro ko pehle or garibo ko badme milta hai Nahi mere bhaiyo balke ALLAH to bs TAQWA nek parhezgari dekhta hai usse fark nahi padhta aap amir ho garib ho gore ho kale ho wo bs apka dil dekhta hai or yahi baat to humare ALLAH ko un jhute khudao se alag karti hai...

Pedh Podhe Lagana Sadqa Hai

  Pedh Podhe Lagana Sadqa Hai Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”Agr koi musalman kisi darakht ka podha lagaata hai aur us darakht se koi insaan ya janwar khata hai to laganay walay ke liye woh sadqa hota hai.   The Prophet said, If any Muslim plants any plant and a human being or an animal eats of it, he will be rewarded as if he had given that much in charity. Sahih Bukhari 6012 , Sahih

Bila Ijazat Do Admio Ke Darmiya Naa Bethe.

  Bila Ijazat Do Admio Ke Darmiya Naa Bethe. RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Do admio ke darmiyan ghus kar un ki ijazat ke bagair na. betha jaye. The Messenger of Allah ﷺ said: One should not sit between two men except with their permission.  Abu Dawood 4844 , Sahih

Jo Logo Ka Shukr Adaa Nahi Karta

Jo Logo Ka Shukr Adaa Nahi Karta Nabi Kareem ﷺ ne farmaya : Jo logo ka shukar ada nahi karta ALLAH ka ( bhi ) shukar ada nahi karta. Narrated Abu Hurairah: The Prophet ﷺ said: He who does not thank ALLAH does not thank people Abu Dawood 4811 , Sahih

Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge

  Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge  Arabic / Arabi حَ دَّثَنَا أَ بُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا شَرِيكٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الرُّكَيْنِ بْنِ الرَّبِيعِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ نُعَيْمِ بْنِ حَنْظَلَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَمَّارٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ كَانَ لَهُ وَجْهَانِ فِي الدُّنْيَا كَانَ لَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ لِسَانَانِ مِنْ نَارٍ . Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge  In Urdu حضرت عمار بن یاسر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ‘ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا  :’’ جس کے دنیا میں دو منہ ہوئے ( جو آدمی دو رخا ہوا ) قیامت کے روز اس کی دو زبانیں ہوں گی جو آگ کی ہوں گے ۔‘‘ Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge  In Hindi हज़रत अम्मार-बिन-यासिर (रज़ि०) से रिवायत है, रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया :  जिसके दुनिया में दो मुँह हुए (जो आदमी दो-रुख़ा हुआ) क़ियामत के दिन  उसकी दो ज़बानें  होंगी जो आग की  होंगी। Jis Shakhs Ke Duniya Mein Do Rukh Honge  In Roman English R...

Chugali Karne Wala

  Chugali Karne Wala RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Chugal Khor jannat mein dakhil nahi ho ga. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: A mischief-maker will not enter paradise.  Abu Dawood 4871 , Sahih

Kana Fusi Karna Kesa

  Kana Fusi Karna Kesa RASULULLAH ﷺ ne farmaya : do aadmi tosre ko chodhh kar sargoshi nah kare, kyoke yeh cheez usay ranjida kar degi. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Two persons should not talk privately ignoring the third, for that will grieve him.  Abu Dawood 4851 , Sahih

Sharam Wa Haya Karne Wala Shaks

 Sharam Wa Haya Karne Wala Shaks Nabi Akram ﷺ Ansar ke 1 shakhs ke pas se guzray, woh apne bhai ko sharam o Haya karne par daant raha tha ( aur samjha raha tha ke ziyada sharam karna achi baat nahi ) RASULULLAH ﷺ ne farmaya : usay us ke haal par chodh do, sharam to imaan ka ek hissa hai. The Prophet ﷺ passed by a man of the Ansar when he was giving his brother a warning against modesty. The Messenger of Allah ﷺ said: Leave him alone, for modesty is a part of faith.  Abu Dawood 4795 , Sahih

Jab Kisi Ko Ghussa Aaye

 Jab Kisi Ko Ghussa Aaye RASULULLAH ﷺ ne hum se farmaya : jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khadha ho to chahiye ke baith jaye, ab agar is ka gussa rafa ho jaye ( to behtar hai ) warna phir late jaye. The Messenger of ALLAH ﷺ said to us: When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.  Abu Dawood 4782 , Sahih

Lanat Karne Wale

  Lanat Karne Wale RASULULLAH ﷺ ko farmatay suna : laanat karne walay nah sifarshi ho satke hain aur nah gawah. The Messenger of ALLAH ﷺ say: Men given to cursing will not be witnesses or intercessors. Abu Dawood 4907, Sahih

ALLAH Ke Aage Koi Sifarish Karne Wala Nahi

  ALLAH Ke Aage Koi Sifarish Karne Wala Nahi Woh ALLAH hi hai jis ne asmano aur zameen ko aur un saari chizo ko jo un ke darmiya hain 6 dino mein peda kiya aur us ke baad arsh par jalva farma huwa , us ke siwa na tumhara koi hami o madad gaar hai aur nah koi uske agay sifarish karne wala,phir kya tum hosh mein nah aaoge?  It is ALLAH who created the heavens and the earth and whatever is between them in six days; then He established Himself above the Throne. You have not besides Him any protector or any intercessor; so will you not be reminded?  Quran 32:4

Jab Aurat Khwab Dekhe Or Usme Wo Napak Hojaye

  Jab Aurat Khwab Dekhe Or Usme Wo Napak Hojaye Umm Sulaim Razi Allah Anha ne RASULULLAH ﷺ se aurat ke baray mein pucha jo khawab mein wohi kuch dekhatii hai jo mard daikhta hai to aap ne farmaya :' ' jab woh pani nikalay to gusal kare. Umm Sulaim asked the Messenger of Allah (ﷺ) about a woman who sees in her dream something like a man sees. He said: If water is released then let her perform Ghusl.  Sunan Nasai 195, Sahih

Aurat Ko Gusal Ke Liye Balo Ka Kholna

  Aurat Ko Gusal Ke Liye Balo Ka Kholna Hazrat umm salma se riwayat ki, unhone kaha : mein ne arz ki : ae Allah ke RASUL! mein ek aisi aurat ho ke kas kar sir ke balo ki choti banati ho to kya gusal janabat ke liye is ko kholu? aap ne farmaya :' ' nahi, tumhe bas itna hi kaafi hai ke –apne sir par teen chullu pani dalo, phir –apne aap par pani baha lo tum pak ho jaoon gi ۔  Umm Salama reported: I said: Messenger of ALLAH, I am a woman who has closely plaited hair on my head; should I undo it for taking a bath, because of sexual intercourse? He (ﷺ) said: No, it is enough for you to throw three handfuls of water on your head and then pour water over yourself, and you shall be purified.  Sahih Muslim 744, Sahih

Ghussa Pi Jane Wale Ki Fazilat

  Ghussa Pi Jane Wale Ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum log pehalwan kis ko shumaar karte ho? logo ne arz kya : us ko jisse log pachhadh nah sake, aap ne farmaya : nahi, balke pehalwan woh hai jo ghusse ke waqt apne nafs par qaboo rakhta ho ۔  The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Whom do you consider a wrestler among you? The people replied: (the man) whom the men cannot defeat in wrestling. He said: No, it is he who controls himself when he is angry.  Abu Dawood 4779 , Sahih

Jisne Apna Ghussa Pi Liya Uske Liye Akhirat Me Inaam

Jisne Apna Ghussa Pi Liya Uske Liye Akhirat Me Inaam RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jis ne apna gussa pi liya halanke woh usay nafiz karne par Qadir tha to qayamat ke din ALLAH TA'ALA usay sab logo ke samne bulaye ga yahan tak ke usay ALLAH TA'ALA ikhtiyar dega ke woh badhi aankh wali hurro mein se jisay chahay chunn le ۔  The Messenger of ALLAH ﷺ said: if anyone suppresses anger when he is in a position to give vent to it, ALLAH, the Exalted, will call him on the Day of Resurrection over the heads of all creatures, and ask him to choose any of the bright and large eyed maidens he wishes. Abu Dawood 4777 , Sahih

Soo Kar Uthane Wala Shaks Bina Hath Dhoye Bartan Me Hath Naa Dale.

Soo Kar Uthane Wala Shaks Bina Hath Dhoye Bartan Me Hath Naa Dale. Mein ne RASULULLAH ﷺ ko farmate suna : Jab tum mein se koi shakhs apni nind se bedaar ho to apna haath bartan mein nah dale jab tak ke usay teen baar dho na le isliye ke usay nahi maloom ke uska haath raat mein kahan raha? ya kidhar phirta raha . I heard the Messenger of ALLAH ﷺ say: When any of you wakes up from sleep, he should not put his hand in the utensil until he washes it three times, for none of you knows where his hand remained during the night or where it went round  Abu Dawood 105 , Sahih

Haiz Me Biwi Ke Pas Na Jane Ka Huqm

 Haiz Me Biwi Ke Pas Na Jane Ka Huqm Aur log aap say haiz kay bare mein Puchte hain . aap keh dijiye ke woh gandagi hai lehaza haiz ki halat mein aurto say alag raho , aur jab tak woh pak naa hojaye un se qurbat ( yani jamaa ) naa Karo . haan jab woh pak hojayen to unn ke paas ussi tarike say jao jiss tarah ALLAH ne tumhe huqm diya hai . Beshak ALLAH un logo se mohabbat karta hai jo uss ki taraf kasrat say rujoo kare aur unn say mohabbat karta hai jo khoob pak saaf rahe .  And they ask you about menstruation. Say, "It is impure, so keep away from wives during menstruation. And do not approach them until they are pure. And when they have purified themselves, then come to them from where Allah has ordained for you. Indeed, Allah loves those who are constantly repentant and loves those who purify themselves." SURAH BAQARA 222

Ummat Mein Chaar Bate Jahliat Ki Hain, Log Unhe Kabhi Nahi Chodenge

  Ummat Mein Chaar Bate Jahliat Ki Hain, Log Unhe Kabhi Nahi Chodenge RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Meri ummat mein chaar bate jahliat ki hain, log unhe kabhi nahi chodenge : noha karna, hasb o nasb mein tana zani, aur bimari ka ek se dusre ko lag jane ka aqeedah rakhna maslan yun kehna ke aik oont ko khujli hui aur us ne so oont mein khujli phela di to aakhir pehlay oont ko khujli kaisay lagi? aur sitaro ka aqeedah rakhna. maslan falan aur falan sitare ke sabab hum par barish hui“ . The Messenger of ALLAH said: There are four matters in my nation that are from the matters of Jahiliyyah which the people will not leave: Wailing, slandering one's lineage, Al-Adwa - a camel gets mange, so one hundred camels get mange - but who gave the first camel mange? And Al-Anwa (saying): We got rain because of this or that celestial positioning.'   Tirmazi 1001 , Sahih

Musalman Bhai ki Madad Karo Khwa Woh Zalim Ho Ya Mazlum

  Musalman Bhai ki Madad Karo Khwa Woh Zalim Ho Ya Mazlum RASULULLAH ﷺ ne farmaya, Apne bhai ki madad karo khuwa woh zalim ho ya mazloom. sahaba ne arz kya, ya RASULULLAH ! hum mazloom ki to madad kar satke hain. lekin zalim ki madad kis tarha kare? aap ﷺ ne farmaya ke zulm se us ka haath pakadh lo ( yahi us ki madad hai ). ALLAH'S Apostle said, Help your brother, whether he is an oppressor or he is an oppressed one. People asked, O ALLAH'S Apostle! It is all right to help him if he is oppressed, but how should we help him if he is an oppressor? The Prophet said, By preventing him from oppressing others.  Sahih Bukhari 2444 , Sahih

Janaze Ke Aage Chalne Ka Bayan

  Janaze Ke Aage Chalne Ka Bayan Mein ne Nabi Akram ﷺ, Abu Bakr aur UMAR Razi Allah Anhuma sab ko janazay ke agay agay chaltay dekha hai. Salim bin Abdullah narrated that his father said: I saw the Prophet, Abu Bakr, and Umar walking in front of the funeral.  Tirmazi 1008 , Sahih

Nabi Kareem ﷺ Ne Saat Chizo Ka Huqm Farmaya

Nabi Kareem ﷺ Ne Saat Chizo Ka Huqm Farmaya Hume Nabi Kareem ﷺ ne saat chizo ka huqm farmaya tha aur saat hi chizo se mana bhi farmaya tha ( jin cheezon ka huqm farmaya tha un mein ) unhone mariz ki ayadat, janaze ke piche chalne, chinkne wale ka jawab dene, salam ka jawab dene, mazlum ki madad karne, dawat karne walay ( ki dawat ) qubool karne, aur qasam puri karne ka zikar kya . The Prophet orders us to do seven things and prohibited us from doing seven other things. Then Al-Bara' mentioned the following:-- (1) To pay a visit to the sick (inquiring about his health), (2) to follow funeral processions, (3) to say to a sneezer, May Allah be merciful to you (if he says, Praise be to Allah! ), (4) to return greetings, (5) to help the oppressed, (6) to accept invitations, (7) to help others to fulfill their oaths. Sahih Bukhari 2445 , Sahih

Mazlum Ki Bad-Dua Se Darte Rehna

  Mazlum Ki Bad-Dua Se Darte Rehna Nabi Kareem ﷺ ne Maaz Razi Allah Anho ko jab Yemen bheja, to aap ﷺ ne unhe hidayat farmai ke mazlum ki bud-dua se darte rehna ke us ( dua ) ke aur ALLAH TA'ALA ke darmiyan koi parda nahi hota. The Prophet sent Mu`adh to Yemen and said, Be afraid, from the curse of the oppressed as there is no screen between his invocation and ALLAH.  Sahih Bukhari 2448, Sahih

Janaze me kon kaha chale

  Janaze me kon kaha chale Nabi akram ﷺ ne farmaya : ”sawari wale janaze ke piche rahe, pedal chalne wale jahan chahay rahy, aur bachon ki bhi namaz e janaza padhi jayega the prophet said:   the rider is to be behind the funeral (procession), and the walker where he wishes, and the child should be prayed over Tirmazi 1031 , Sahih

Maut Ke Waqt Mareez Ko LA_ILAHA_ILLALLAH Ki Talqin Karna

  Maut Ke Waqt Mareez Ko LA_ILAHA_ILLALLAH Ki Talqin Karna Nabi Kareem ﷺ ne farmaya : ”Tum –apne marne walay logo ko jo bilkul marne ke qareeb ho LA_ILAHA_ILLALLAH ki Talqeen karo. The Prophet said: Instruct your dying to say: (LA ILLAHA ILLALLAH) 'None has the right to be worshipped but ALLAH'. Tirmazi 976 , Sahih

Us Shaks Ka Gunah Jisne Kisi Ki Zameen Zulm Se Chin Li Ho

  Us Shaks Ka Gunah Jisne Kisi Ki Zameen Zulm Se Chin Li Ho Un ke aur baaz dusre logo ke darmiya ( zameen ka ) jhagdha tha. is ka zikar unhone Aisha Razi Allah Anha se kiya to unhone batlaya, abu salma! zameen se parhaiz kar Nabi Kareem ﷺ ne farmaya, agar kisi shakhs ne ek balisht bhar zameen bhi kisi dusre ki zulm se le li to saat zamino ka toq ( qayamat ke din ) uske gardan mein dala jayega Narrated Abu Salama: That there was a dispute between him and some people (about a piece of land). When he told `Aisha about it, she said, O Abu Salama! Avoid taking the land unjustly, for the Prophet said, 'Whoever usurps even one span of the land of somebody, his neck will be encircled with it down the seven earths.  Sahih Bukhari 2453, Sahih

Mareez Par Dam Karne Ki Dua

  Mareez Par Dam Karne Ki Dua Nabi Kareem ﷺ ke paas aa kar Jibrael ne pucha : Aye Mohammad ﷺ ! kya aap bimar hain? farmaya : haan, Jibrail ne kaha :  Bismillahi Arqiyka Min kulli Shayin Yuziyka Min Sharri Kulli Nafsin Wa Ayni Hasidin Bismillahi Arqiyka Wallahu Yashfiyka   Me ALLAH ke naam se aap par dam karta hu har us cheez se jo aap ko aiza pahuncha rahi hai, har nafs ke shar se aur har hasid ki aankh se, mein ALLAH ke naam se aap par dam karta ho, ALLAH aap ko Shifa ataa farmayega“ Jibrael came to the Prophet and said:   O Muhammad ﷺ! Are you suffering?   He said:   Yes.   He said:   In the Name of ALLAH, I recite a prayer (Ruqyah) over you, from the evil of every person and evil eye. In the Name of ALLAH I recite a prayer (Ruqyah) over you, may ALLAH cure you Bismillahi Arqiyka Min Kulli Shayin Yuziyka Min Sharri Kulli Nafsin Wa Ayni Hasidin Bismillahi Arqiyka Wallahu Yashfiyka Tirmazi 972 , Sahih.

Mayyat Ko Kitni Dafa Gusal De

  Mayyat Ko Kitni Dafa Gusal De Jab hum aap ki beti ko gusal de rahe the to RASULULLAH ﷺ hamaray paas tashreef laye aur farmaya :' ' usay 3 martaba ya 5 martaba ya is se zayed martaba , agar zarurat mehsoos karo, to pani aur beri ke patto se gusal do aur aakhri martaba thodha sa kafoor bhi shaamil kar do, phir jab tum farigh ho to mujhe ittila kar dena.' ' chunancha jab hum ne farigh ho kar aap ko ittila di to aap ne apna tohband hamari taraf phenka aur farmaya :' ' is ko is mein lapait kar phir kafan dena. The Messenger of ALLAH entered upon us when we were washing his daughter and said: 'Wash her three times or five, or more if you think (that is necessary), with water and Jujube leaves, and put camphor, or some camphor in it the last time. And when you have finished, inform me.' When we finished, we informed him, and he threw his waist-wrap to us and said: 'Shroud her in it.  Sunan Nasai 1887 , Sahih

Jo Musalman Kisi Musalman Ka Musibat Me Sath De

 Jo Musalman Kisi Musalman Ka Musibat Me Sath De RASULULLAH ﷺ ne farmaya ek musalman dusre musalman ka bhai hai, pas is par zulm nah kare aur na zulm hone de. jo shakhs apne bhai ki zarurat puri kare, ALLAH TA'ALA us ki zaroorat puri kare ga. jo shakhs kisi musalman ki ek museebat ko dur kare, ALLAH TA'ALA us ki qayamat ki musibaton mein se ek badhi museebat ko dur farmayega. aur jo shakhs kisi musalman ke aib ko chupaye ALLAH TA'ALA qayamat mein us ke aib chupaye ga . ALLAH'S Apostle said, A Muslim is a brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever screened a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection. Sahih Bukhari 2442 , Sahih
 You know when u really depressed nd u don't want talk to anyone nd u feel like a crying all the time but u don't do all that stuff coz what would people say. But at a night u cry urself to sleep nd that sleep is the most peaceful sleep ever that's ALLAH way to saying HE IS WITH U

Koi Shaks Maut Ki Tamanna Na Kare balke Ye Padhe

  Koi Shaks Maut Ki Tamanna Na Kare balke Ye Padhe Hazrat Ans Razi Allah Anho se riwayat hai, RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' tum mein se koi shakhs duniya mein pesh aane wali kisi musibat aur takleef ki bina par mout ki tamanna aur dua nah kare balke yun kahe :  Allahumma ahyiniy ma kanatal-hayatu khairan liy wa tawaffaniy idha kanatal-wafatu khairan liy.' ae Allah ! jab tak mere liye zindagi behtar hai, mujhe zinda rakh aur jab mere liye mout behtar ho to mujhe mout dede۔‘‘  It was narrated form Anas that the Messenger of ALLAH said: None of you should wish for death because of some harm that befalls him, rather he should say: ' [Allahumma ahyiniy ma kanatal-hayatu khairan liy wa tawaffaniy idha kanatal-wafatu khairan liy] (O Allah, keep me alive so alive so long as life is good for me, and cause me to die when death is good for me.) '  Sunan Nasai 1821 , Sahih

ALLAH Ke Alawa Kisi Or Ki Qasam Khana Sakht Gunah Hai

  ALLAH Ke Alawa Kisi Or Ki Qasam Khana Sakht Gunah Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jo shakhs qasam khana chahay woh ALLAH TA'ALA ke siwa kisi ki qasam nah khaye.' ' Quresh –apne aba o ajdaad ki qasame khaya karte thay' lehaza aap ne farmaya :' –apne abao ajdaad ki qasame nah khaya karo.' ' The Messenger of Allah said: 'Whoever swears, let him not swear by anything other than Allah.' The Quraish used to swear by their forefathers, and so he said: Do not swear by your forefathers.  Sunan Nasai 3795 , Sahih

Tum Mein Se Har Ek Se Sawal Hoga

Tum Mein Se Har Ek Se Sawal Hoga Hazrat Abdullah bin Umar Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Nabi Kareem ﷺ ne farmaya tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga , Imam hakim hai us sey sawal hoga, Mard apney biwi bachchon ka hakim hai us sey sawal hoga, Aurat apney shohar ke ghar ki hakim hai us sey sawal hoga, Ghulam apne sardar ke maal ka hakim hai us sey sawal hoga, isliye tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga. The Prophet said, Everyone of you is a guardian and everyone of you is responsible (for his wards). A ruler is a guardian and is responsible(for his subjects); a man is a guardian of his family and responsible (for them); a wife is a guardian of her husband's house and she is responsible (for it), a slave is a guardian of his master's property and is responsible (for that). Beware! All of you are guardians and are responsible (for your wards).  Sahih Bukhari 5188, Sahih

Qayamat Ke Din Farz Namaz Agar Puri Nahi Hongi To Iski Kami Nawafil Namazo Se Ki Jayegi

  Qayamat Ke Din Farz Namaz Agar Puri Nahi Hongi To Iski Kami Nawafil Namazo Se Ki Jayegi RASULULLAH ﷺ ne farmaya Sabse pahle bande ko Qayamat ke din Namaz ka hisab dena padhega agar wo kamil hai to usko kamil likh diya jayega warna ALLAH subhanahu irshad farmayega ki dekho kya mere bande ke pass nawafil hain, agar nawafil namaz hongi to us se farz namaz ki kami mukammal ki jayegi aur baqi aamal ka hisab bhi esi tarh hoga. The Prophet (ﷺ) said: The first thing for which a person will be brought to account on the Day of Resurrection will be his Salah. If it is found to be complete then it will be recorded as complete, and if anything is lacking He will say: 'Look and see if you can find any voluntary prayers with which to complete what he neglected of his obligatory prayers.' Then the rest of his deeds will be reckoned in like manner.  Sunan Nasai 467,Sahih

Qarz Ki Adayegi Ki Duaa

  Qarz Ki Adayegi Ki Duaa Ek mukatab ghulam ne un ke paas aa kar kaha ke mein apni mukatibat ki raqam ada nahi kar pa raha hon, aap hamari kuch madad farma dijay to unhon ne kaha : kya mein tum ko kuch aisay kalme nah sikha dun jinhein RASULULLAH ﷺ ne hume sikhaye the? agar tairay paas pahadh ke barabar bhi qarz ho to teri janib se ALLAH usse ada farma day ga, unhon ne kaha : kaho :  اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ ”ae Allah ! to hamein halal day kar haraam se kifayat kar day, aur –apne fazl ( rizaq, maal o doulat ) se Nawaz kar –apne siwa kisi aur se mangnay se be niaz kar day“۔  Ali [may Allah be pleased with him] narrated:  that a Mukatib came to him and said: “Indeed I am not capable of my Kitabah so aid me.” He said: “Should I not teach you words that the Messenger of Allah (ﷺ) taught me? If you had a debt upon you similar to the mountain of Sir, Allah would fulfill it for you. He said: ‘Say: O Alla...

Farz Namaz Ke Baad Sunnat Namaz Ke Liye Jagah Badalne Ka Hukm

  Farz Namaz Ke Baad Sunnat Namaz Ke Liye Jagah Badalne Ka Hukm Nafe bin Jubair ne unhein Namir ke bhanjay sa'ib ke paas bheja un se is cheez ke baray mein punchne ke liye jo hazrat Muawiya Razi ALLAH taala anho ne un ki namaz mein dekhi thi. Sa'ib ne kaha : haan, mein ne Maqsura ( masjid ke hujray ) mein un ke sath jummay padha tha. aur jab imam ne salam phera to mein apni jagah par khadha hogaya aur namaz padhi. jab Muawiya Razi Allah Taala anho andar dakhil hue to mujhe bulwaya aur kaha : jo kaam tum ne kiya hai aindah nah karna. jab tum jumma padh lo to usay kisi doosri namaz se nah milana yahan tak ke guftagu karlo ya is jagah se nikal jao kyunkay RASULULLAH ﷺ ne Hamein Is Baat Ka Hukum Diya Tha Ke Hum Kisi Namaz Ko Doosri Namaz Se Nah Milae Hatta Ke Hum Guftagu Karle Ya ( Us Jagah Se ) Nikal Jaye Nafi` bin Jubair sent him to al- Sa'ib the son of Namir's sister to ask him about what he had seen in the prayer of Muawiya. He said: Yes, I observed the Jumu`a prayer al...

Meri Ummat Ke Sattar Hazaar Log Be Hisaab Jannat Mein Jayenge

  Meri Ummat Ke Sattar Hazaar Log Be Hisaab Jannat Mein Jayenge RASULULLAH ﷺ ne farmaya ”Meri ummat ke sattar hazaar log be hisaab jannat mein jayen ge. yeh woh log honge jo jhaad phunk nahi karate nah shagoon letay hain aur apne rab hi par bharosa rakhtay hain۔ Narrated Ibn `Abbas: ALLAH'S Apostle said, Seventy thousand people of my followers will enter Paradise without accounts, and they are those who do not practice Ar-Ruqya and do not see an evil omen in things, and put their trust in their Lord.  Sahih Bukhari 6472, Sahih

Ummate Muhammadiya Ke Liye Puri Zameen Sajde Ke Layak Bana Di Gayi

  Ummate Muhammadiya Ke Liye Puri Zameen Sajde Ke Layak Bana Di Gayi Nabi kareem ﷺ ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi thi. Ek Maheena ki masafat se roab ke zareya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Laiq banai gayi. pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko ( jahan bhi ) paley usay wahan hi namaz ada kar leni chahiye. aur mere liye ganimat ka maal halal kiya gaya hai. mujh se pehlay yeh kisi ke liye bhi halal nah tha. aur mujhe Shifaat ataa ki gayi. aur tamam ambia apni apni qoum ke liye maboos hotay thay lekin mein tamam insanon ke liye aam tor par nabi bana kar bheja gaya hon . The Prophet said, I have been given five things which were not given to any one else before me. -1. Allah made me victorious by awe, (by His frightening my enemies) for a distance of one month's journey. -2. The earth has been made for me (and for my followers) a place for praying and a thing to perform Tayammum,...
 ALLAH pak ka bnaya howa her insan boht khoobsurat aur mukamal hai bs kami hmary 'ikhlaq' aur 'rawaiyun' main hai.
 Muhabbat insaan ko ho hi jaati hai.. Lekin muhabbat ki manzil sadak, park, hotel nahi.. blke nikkah, izzat aur chaardiwaari hai.
 Iss maashre mai aurat ka martuba kese buland hoskta hai, jahan mardon ki larai mai galiya maaein behno ko di jaati hain.
  Jantay ho ALLAH hum say kitni muhabbat karta hai Hum sari zindgi gunnah kartay hain or wo ek toba pay muaf kar daita hai
 You know when u really depressed nd u don't want talk to anyone nd u feel like a crying all the time but u don't do all that stuff coz what would people say. But at a night u cry urself to sleep nd that sleep is the most peaceful sleep ever that's ALLAH way to saying HE IS WITH U
 Don’t think that Allah forgets your du’as. He remembers anything and everything.
 Yeh duniya bhi kitni ajeeb hai, imaan-daar ko be-waqoof,  be-emaan ko aqlmand, aur  be-haya ko khobsurat kehti hai..
Jo kuch b tum dusro k lye karte ho uske badle kuch umeed dusro se na rakho, kyoki har kisi k paas aap jaisa dil nahi hota.
 Mushkile bahut choti he meri,  ALLAH bahut bada he mera.
 The smile. The tears. Only ALLAH knows what it means.

ALLAH se Maufi Mangle ALLAH se apni baat manwa le

 Ay ALLAH ke Bando ek dafa ALLAH ke samne do aansu baha kr Sacche dil se kehkar to dekho ke Ya ALLAH Ghalti ho gai hai Maaf kr de, ainda esa nahi karunga/karungi uske samne roo to sahi woto betha hai yarr hume mauf karne ke liye uske liye mauf karna koi badhi baat nahi tum ek ALLAH ke taraf chal kr jaoge ALLAH tumhare pas bhag kar ayega Lekin shart ye hai pehal tum karlo takabbur bs ALLAH ki chadar hai usse uske pas rehne do us chadar ko tum naa lo warna barbad hojaoge or kis bat ka takabbur hai e insan tujhe ALLAH neto us chiz se wajood me laya jo agar tujhe lag jaye to tere upar gusal farz hojata hai. Usse manglo isse pehle ke der hojaye usse apni hajate puri krwalo der lagegi Lekin sahi hoga tumhe jo chahiye wohi hoga bs apne ALLAH Rabbul izzat par tawakkul rakhlo. Usse mafi manglo usse apni hajate puri krwalo wo dega or wo bilkul dega or sirf wohi de sakta hai uska wada hai or wo wada khilafi nahi karta hai. Uski shaan bhut buland hai. Usse mangne ke liye tumhe kisi ki zarurt n...

Qasam Todhne Ka Kaffara

  Qasam Todhne Ka Kaffara Tum log jo bekar Qasme kha letay ho un par ALLAH girift nahi karta, magar jo Qasme tum jaan bujh kar khatay ho un par woh zarur tumhari pakadh kare ga. Esi qasam todhne ka kaffara yeh hai ke das miskeeno ko woh darja ka khana khilao jo tum apne baal bacho ko khilate ho, ya unhe kapdhe pehnao, ya ek ghulam azad karo, aur jo is ki taqat nah rakhta ho woh teen din ke roze rakhe. yeh tumhari qasmo ka kaffara hai jab ke tum qasam kha kar todh do. apni qasmo ki hifazat kiya karo. Is tarha ALLAH –apne ehkaam tumahray liye wazeh tarha karta hai shayad ke tum shukar ada karo. ALLAH will not impose blame upon you for what is meaningless in your oaths, but He will impose blame upon you for [breaking] what you intended of oaths. So its expiation is the feeding of ten needy people from the average of that which you feed your [own] families or clothing them or the freeing of a slave. But whoever cannot find [or afford it] - then a fast of three days [is required]. Th...

Jab Koi Shaks Kasam Khale Fir Use Dusri Chiz Acchi Lag Jaye

  Jab Koi Shaks Kasam Khale Fir Use Dusri Chiz Acchi Lag Jaye RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jo shakhs kisi cheez par qisam khaye' phir uske bajaye koi aur cheez behtar samjhay to apni qisam ka kaffara de de aur behtar kaam kar le The Messenger of ALLAH said: Whoever swears an oath, then sees something better than it, let him do that which is better. Sunan Nasai 3812 , Sahih #qasam #oath#swear#kasam

ALLAH Ke Alawa Kisi Or Ki Qasam Khana Sakht Gunah Hai

  ALLAH Ke Alawa Kisi Or Ki Qasam Khana Sakht Gunah Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jo shakhs qasam khana chahay woh ALLAH TA'ALA ke siwa kisi ki qasam nah khaye.' ' Quresh –apne aba o ajdaad ki qasame khaya karte thay' lehaza aap ne farmaya :' –apne abao ajdaad ki qasame nah khaya karo.' ' The Messenger of Allah said: 'Whoever swears, let him not swear by anything other than Allah.' The Quraish used to swear by their forefathers, and so he said: Do not swear by your forefathers.  Sunan Nasai 3795 , Sahih q #qasam#oath #oaths #swear

Sach To Ye Hai Mera Rab Zarur Duaa Sunta hai.

 Sach To Ye Hai Mera Rab Zarur Duaa Sunta hai. Indeed, my Lord is the Hearer of supplication.  Surah Ibrahim 39.
 Jannat Main Bhi Jana Hai Aur Logon Ka Dil Bhi Dukhana Hai..🌝
 Mard Aurat ki izzat uske kirdar ya khoubsurati ki wja se ni krta balke wo Aurat ki izzat Apne zarf ke mutabiq krta hai! Kumzarf insan kisi b Auart ki izzat ni krta, jab ke ik Alaw zarf insan us Aurat ki b izzt kre ga jiski mashray mai bzahir koi izzat na ho.🌸
 𝙈𝙖𝙣𝙯𝙞𝙡 𝙨𝙖𝙗 𝙠𝙞 𝘼𝙡𝙡𝙖𝙝 𝙝𝙚 🥀 𝙈𝙪𝙝𝙖𝙗𝙗𝙖𝙩, 𝙜𝙖𝙢, 𝙖𝙯𝙢𝙖𝙞𝙨𝙝 𝙮𝙚𝙝 𝙩𝙤 𝙗𝙨 𝙨𝙖𝙛𝙖𝙧 𝙠𝙖 𝙝𝙞𝙨𝙨𝙖 𝙝𝙚.😇😇
 Ye jism Rab ka diya hua hai tumhari marzi nahi chalegi. Milega ye khak me kisi din or is amanat kohe lautana. Hijab pehno aye meri behno hukm rab ka baja he lana. Khuda se milna hai hashr ke din , Nabi ko usdin hai muh dikhana.
 ALLAH ese darwaze bhi khol deta hai. Jiske baare mein shiddat e mayusi se tum sochte ho ky iski to chaabi hi nahi bani.❤
 Jab ALLAH ne tumhare Dil me kuch dala hai Tu yakeen rakho Naseeb mai b wohi dale ga🥀
 𝗧𝘂𝗺 𝗺𝗲 𝘀𝗲 𝗕𝗲𝗵𝘁𝗿𝗲𝗲𝗻 𝗠𝗮𝗿𝗱 𝘄𝗼 𝗵𝗮𝗶 𝗝𝗼 𝗮𝗽𝗻𝗶 𝗕𝗶𝘄𝗶 𝗸𝗲 𝘀𝗮𝘁𝗵 𝗔𝗰𝗵𝗮 𝘀𝘂𝗹𝘂𝗸 𝗸𝗮𝗿𝗲.

Achcha Akhlaq Aur Zyada Khamoshi Tarazu Mein Bahut Bhari Hain

  Achcha Akhlaq Aur Zyada Khamoshi Tarazu Mein Bahut Bhari Hain Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar RASULULLAH ﷺ Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya RASULULLAH ﷺ (Jarur bataeeye), Aap ﷺ ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamoshi lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi. Narrated by Anas radi Allahu anhu Once RASULULLAH ﷺ met to Abu Dharr Radi Allahu anhu and said Oh Abu dharr Shall I not tell you two deeds which are very easy to do and very heavy in scale (meezan) , he said why not Ya RASULULLAH ﷺ, (please do tell me), RASULULLAH ﷺ said Adhere (stick on) Good character and long silence , By Him in Whose Hand my life is, there are no other deeds of the creations is equal to them. Silsila-tus-Sahiha, 202 , Sahih

Haiz (Menses) mein Aurton ke jo roze Qaza hote hain usey baad mein rakhne ka hukm hai.

  Haiz (Menses) mein Aurton ke jo roze Qaza hote hain usey baad mein rakhne ka hukm hai. Aayesha Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki Humein (Ramadan mein) Nabi ﷺ ke zamane mein Haiz (menses) aati to Aap ﷺ hume (baad mein) Qaza Roze rakhne ka hukm dete. It was narrated that ‘Aishah said: “We used to menstruate at the time of the Prophet (ﷺ), and he would order us to make up for the (missed) fasts.’”    Sunan Ibn Majah 1670 Sahih

Agar Dua Mangte Waqt Durood Nahi Padhi

  Agar Dua Mangte Waqt Durood Nahi Padhi Dua aasman aur zameen ke darmiyan ruki rehti hai, is mein se zara si bhi upar nahi jati jab tak ke tum apne nabi kareem ﷺ par duroood nahi bhaij lete .۔  Umar bin Al-Khattab narrated: Indeed the supplication stops between the heavens and the earth. Nothing of it is raised up until you send Salat upon your Prophet.   Tirmazi 486 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ko Pasand Nhi Tha Koi Apko Dekh Kar Khadha Ho

  RASULULLAH ﷺ Ko Pasand Nhi Tha Koi Apko Dekh Kar Khadha Ho Koi shakhs unhe yani ( sahaba ) ko RASULULLAH ﷺ se ziyada mehboob nah tha kehte hain : ( lekin ) woh log aap ko dekh kar ( adab ) khadhe nah hote the. is liye ke woh log Jante the ke aap ﷺ usay napasand karte hain There was no person more beloved to them than the Messenger of ALLAH (ﷺ). [He said:] And they would not stand when they saw him because they knew that he disliked that.  Tirmazi 2754 , Sahih   Kisi ke liye ehtaram me khadha hona

Koi Shaks Maut Ki Tamanna Na Kare

  Koi Shaks Maut Ki Tamanna Na Kare RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Tum mein se koi shakhs mout ki tamanna nah kare ( kyoke ) agar woh nek hai to ho sakta hai woh aur nekiya kare aur agar woh gunah gaar hai to shayad woh apne ALLAH ko raazi kar le.'  The Messenger of ALLAH said: None of you should wish for death. Either he is a doer of good, so perhaps he may do more good, or he is an evildoer but perhaps he will give up his evil ways.  Sahih Bukhari 7235 ,Sahih

Agar Shohar Ko Biwi Ke Haiz Ka Khoon Lag Jaye

  Agar Shohar Ko Biwi Ke Haiz Ka Khoon Lag Jaye Hazrat Aisha Razi Allah Anha farmati hain ke mein aur ALLAH ke RASUL ﷺ raat ko ek chadar mein sote the, halanke mein haiz ki haalat mein hoti thi. agar aap ko mujh se kuch ( khoon waghera ) lag jata to aap us jagah ko dho lete, us se zayed nah dhotay, phir usme namaz padh lete. It was narrated that 'Aishah said: The Messenger of ALLAH (ﷺ) and I would sleep under a single blanket when I was menstruating. If anything got on him from me, he would wash that spot and no more, and pray in it, then come back. If anything got on it again from me, he would do likewise and no more, and he would pray in it.  Sunan Nasai 372 , Sahih

Jis Shakh Ne Komah (Ruku Se Uth Kar) Me Ye Kalmat Padhe

Jis Shakh Ne Komah (Ruku Se Uth Kar) Me Ye Kalmat Padhe Ek Din RASULULLAH ﷺ ke piche namaz pdh rahy thay, jab aap ne ruku se sir utha kar « Samiy Allahu Liman Hamidah » kaha to aap ﷺ ke piche aik aadmi ne « ALLAHHUMMA RABBANA WA LAKALHAMD HAMDAN KASIRAN TAYYIBAN MUBARAKN FIHI  » kaha, Jab RASULULLAH ﷺ namaz se farigh hue to farmaya : abhi abhi yeh kalimat kis shakhs ne kahe hain ? Us aadmi ne kaha : mein ne, ALLAH ke RASUL! to aap ﷺ ne farmaya : mein ne tees se zayed firshto ko dekha jo ek dosray par Sabqat haasil karne ki koshish kar rahy thy ke kon pehlay un kalmat ko likhay ۔  One day we were praying behind the Messenger of ALLAH ﷺ. When the Messenger of ALLAH ﷺ raised his head after bowing, he said: « Samiy Allahu Liman Hamidah » ALLAH listened to him who praised Him. A man behind the Messenger of ALLAH ﷺ said: « ALLAHHUMMA RABBANA WA LAKALHAMD HAMDAN KASIRAN TAYYIBAN MUBARAKN FIHI » O Allah, Our Lord, and to Thee be praise, much praise, good and blessed. When the Messe...

Masturbation Kyo Karte Hai

Tum Masturbation karte ho kyoki tum ALLAH se nahi darte tum bhul bethe ho ALLAH bhi hai tum bhul bethe ho usne ek din mukarrar kar diya hai jis din wo tumhari sari achchai burai tumhare samne le ayega tumne ALLAH se darna chodh diya hai shyd tum bhul gaye hoo ke ALLAH ne ek Dozakh bhi taiyar kar rakhi hai jiski aag Duniya ki aag se 70 guna zyada garam hai tum bhul bethe ho us dozakh me bde se bde azaab hai. Tumne ALLAH ko serious liya nahi hai tum bhul betho ho ALLAH ne humse pehli qaumo ke sath kya hashr kara. Jab tum porn dekhte masturbation karte hoto ye baat kyo bhul jaate ho (وَ ہُوَ مَعَکُمۡ اَیۡنَ مَا کُنۡتُمۡ) or Wo Tumhare sath Hai Tum Jaha Bhi Ho. Quran 57:4 , wo tumhe dekhta hai tumhare andr ko b janta he or tumhare bahar ko bhi , kya tumhe zara sii bhi sharam nahi aati aapne malik apne peda karne wale sbse haya wale sbse paakzaat ke samne gande kaam karte hue. Yaad rkhlo kal jab haashr ka medan hoga samne Badshaho Ka Badshah Hoga jisne tumhare hath ko banay jisne tumhar...
 𝗖𝗵𝗮𝗹𝗮𝗸𝗶𝘆𝗮 𝗮𝘂𝗿 𝗵𝗼𝘀𝗵𝗶𝘆𝗮𝗮𝗿𝗶𝘆𝗮 𝘀𝗶𝗿𝗳 𝗱𝘂𝗻𝗶𝘆𝗮 𝗺𝗲 𝗵𝗶 𝗮𝗰𝗵𝗶 𝗵𝗲𝗶𝗻 𝗮𝗸𝗵𝗶𝗿𝗮𝘁 𝗺𝗲 𝗸𝗶𝘆𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗼𝗴𝗲? 𝗙𝗮𝗿𝗶𝘀𝗵𝘁𝗲 𝘁𝗼 𝘀𝗮𝗮𝗿𝗮 𝗵𝗶𝘀𝗮𝗮𝗯 𝗹𝗶𝗸𝗵 𝗯𝗲𝘁𝗵𝗲 𝗵𝗲𝗶𝗻.
 Muskurahate jhooti bhi ho sakti hein, insaan ko dekhna nhi smjna sekho.
 Ye bhi himaqat hai ky ap kisi ese shaks ke liye afsurda ho,  jo apni zindagi hasi khushi basar kar raha ho. Afsurda - Mayus
 𝐍𝐚𝐬𝐞𝐞𝐛 𝐣𝐞𝐬𝐚 𝐛 𝐡𝐨 𝐍𝐚𝐦𝐚𝐳 𝐨𝐫 𝐐𝐮𝐫𝐚𝐧 𝐬𝐞 𝐦𝐚𝐝𝐚𝐝 𝐥𝐞𝐤𝐚𝐫 𝐀𝐋𝐋𝐀𝐇 𝐬𝐞 𝐣𝐨 𝐛𝐡𝐢 𝐦𝐚𝐧𝐠𝐨 𝐳𝐚𝐫𝐮𝐫 𝐦𝐢𝐥𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢❤️
 Koi maafi maangne aajaye tou Dair naa karna foran maaf kardena. Aur agar tumse khata hojaye tou maafi mangne mein dair naa karna.❤