Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

ALLAH se Maufi Mangle ALLAH se apni baat manwa le

 Ay ALLAH ke Bando ek dafa ALLAH ke samne do aansu baha kr Sacche dil se kehkar to dekho ke Ya ALLAH Ghalti ho gai hai Maaf kr de, ainda esa nahi karunga/karungi uske samne roo to sahi woto betha hai yarr hume mauf karne ke liye uske liye mauf karna koi badhi baat nahi tum ek ALLAH ke taraf chal kr jaoge ALLAH tumhare pas bhag kar ayega Lekin shart ye hai pehal tum karlo takabbur bs ALLAH ki chadar hai usse uske pas rehne do us chadar ko tum naa lo warna barbad hojaoge or kis bat ka takabbur hai e insan tujhe ALLAH neto us chiz se wajood me laya jo agar tujhe lag jaye to tere upar gusal farz hojata hai. Usse manglo isse pehle ke der hojaye usse apni hajate puri krwalo der lagegi Lekin sahi hoga tumhe jo chahiye wohi hoga bs apne ALLAH Rabbul izzat par tawakkul rakhlo. Usse mafi manglo usse apni hajate puri krwalo wo dega or wo bilkul dega or sirf wohi de sakta hai uska wada hai or wo wada khilafi nahi karta hai. Uski shaan bhut buland hai. Usse mangne ke liye tumhe kisi ki zarurt nahi tum muh se bol nahi saskte tum dil me rolo usse alfazo ki zarurt nahi he woto niyat dekhta hai mere dosto ALLAH gebo ka ilm janne wala hai dilo ke hal janne wala hai.ek dafa uske huzur hazir to hojao Ya ALLAH BS TU MAUF KARDE.

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare