Farz Namaz Ke Baad Sunnat Namaz Ke Liye Jagah Badalne Ka Hukm
- Get link
- X
- Other Apps
Farz Namaz Ke Baad Sunnat Namaz Ke Liye Jagah Badalne Ka Hukm
Nafe bin Jubair ne unhein Namir ke bhanjay sa'ib ke paas bheja un se is cheez ke baray mein punchne ke liye jo hazrat Muawiya Razi ALLAH taala anho ne un ki namaz mein dekhi thi. Sa'ib ne kaha : haan, mein ne Maqsura ( masjid ke hujray ) mein un ke sath jummay padha tha. aur jab imam ne salam phera to mein apni jagah par khadha hogaya aur namaz padhi. jab Muawiya Razi Allah Taala anho andar dakhil hue to mujhe bulwaya aur kaha : jo kaam tum ne kiya hai aindah nah karna. jab tum jumma padh lo to usay kisi doosri namaz se nah milana yahan tak ke guftagu karlo ya is jagah se nikal jao kyunkay RASULULLAH ﷺ ne Hamein Is Baat Ka Hukum Diya Tha Ke Hum Kisi Namaz Ko Doosri Namaz Se Nah Milae Hatta Ke Hum Guftagu Karle Ya ( Us Jagah Se ) Nikal Jaye
Nafi` bin Jubair sent him to al- Sa'ib the son of Namir's sister to ask him about what he had seen in the prayer of Muawiya. He said: Yes, I observed the Jumu`a prayer along with him in Maqsura and when the Imam pronounced salutation I stood up at my place and observed (Sunan rak`ahs). As he entered (the apartment) he sent for me and said: Do not repeat what you have done. Whenever you have observed the Jumu`a prayer, do not observe (Sunan prayer) till you, have talked or gone out, for the Messenger of ALLAH ﷺ had ordered us to do this and not to combine two (types of) prayers without talking or going out
Sahih Muslim 2042 , Sahih.Mishkat1186 , Sahih
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment