Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Pata Hai Hum Kaha Tut'te Hai

 Muhabbat Ka Tarruf

Pata Hai Hum Kaha Tut'te Hai , Jab hum khud ki marzi se kisi se baat karne lag jaye jab hum mazak mazak me kari gayi baato me bad me serious hojaye jab hum us insan se Muhabbat karne lag jaye jiska hume pata bhi nahi ye humari qismat me likha hai yaa nahi uske sath khwab dekhne lag jaye Nikaah ke liye ummide bandhne lag jaye Nikaah se pehle Ek Dusre ko khwaind Ahliya Manne lag jaye , Hum Jab Tut'te hai jab us shaks se duri hone lage fir hum pareshan hojate hai , Galti to humse hogayi hai or hum itni dur nikal aaye hai ke ab us insan se dur jana humare bas ki baat nahi , hum tab har jagah se pareshan hone lagte hai Kyoki humee uske alawah kuch dikhta hi Nahi , Humne kabhi socha hi nahi ye galat hai humari qismat me kya hai hum nahi jante fir bhi us insan ke piche padhe hai , hum ALLAH se bhi duaa karte hai Lekin fir bhi humari halat nahi sudharti or hum bs andr hi andr dubte chalte jate chale jate hai.Tab hume pata bhi nahi hota ye ALLAH ko naapasand hai or agar pata bhi hoto ye kehkar chodh dete hai ALLAH mauf karega kyo , Kyoki hume us shaks se ALLAH se zyada Muhabbat hai , wahi ALLAH ye b farmata hai tum imaan wale tab hoge ke tumse sabse zyada mujhse Muhabbat ho or jab wo shaks hume nahi milta to hum tut jate hai ,,,, islye ALLAH ne kaha tum zina ke qarib bhi na jao kyoo kyoki ALLAH ko pata uska banda kese tutega kab tutega or isme hum ALLAH ko kehte hai tune humari dua nahi suni ALLAH neto apke liye kuch or soch rakha tha bs apne apke nafs ke behkave me aakr kahi or chale gaye isme humari galti hai ALLAH neto hume warning dehi di thi. Lihaza mere bhaiyo behno apka aaj ka time pass kab serious hojayega pata bhi nahi chlega islye in sabse dur rahe or ALLAH ne apke liye jise likh diya hai uska intezar kare.

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare