Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Sirf ALLAH se mango or uske sath kisi ko sharik mat thehrao

Hum Me Or Gero Me Kya Farak Hai, Hum me or gero me ye farak hai ke hum sirf ek ALLAH ko mante uski ibadat karte hai or ger yato ALLAH ke sath ya ALLAH ko Chodh kar Ibadat karte hai , Lekin aaj har qaum ki tarh hum Muslim qaum me bhi bigadh agya jese Musa A.S Jab ALLAH se mulaqat ke liye gaye to Unki qaum ne Bachdhe ki ibadat karna shuru kardi Isaa A.S Ko logo ne ALLAH la beta kaha kisi Ne Uzair A.S Ko ALLAH ka beta kaha isi tarh hum muslim bhi kayi log ese gaflat me padh gaye Hai jo ALLAH koto mante hai Lekin ALLAH ke sath gero ko b mante or unse hazate mangne lag gaye hai or Ye kehte hai ke hum itne nek nahi hai ke sidhe ALLAH se mange islye hume unka wasila lagana padhta hai , KYA humara ALLAH bhi un gero ke khudao jesa hai jo amiro ko pehle or garibo ko badme milta hai Nahi mere bhaiyo balke ALLAH to bs TAQWA nek parhezgari dekhta hai usse fark nahi padhta aap amir ho garib ho gore ho kale ho wo bs apka dil dekhta hai or yahi baat to humare ALLAH ko un jhute khudao se alag karti hai ke humara ALLAH ko sunne ke liye kisi ki zarurat nahi humara ALLAH humare dilo ke raaz janta he wo esaa Judge hai jise kisi waqeel Ki Zarurat nahi humara ALLAH badhi qudrat or badshaht wala hai wo sbki bate sunta hai wo sirf acche amal or bure amal ko manta hai usse farak nahi padhta aap kese ho kale ho gore ho Kyoki apko bnane wala wohi hai lihaza sirf ALLAH se mango kisi ko apna waqeel mat bnao khud apna muqadma pesh karo kyoki tum jiske samne muqadma pesh kar rahe ho wo janta hai ke tum kya muqadma pesh Karna chahte ho wo bs tumse sunna chahta hai.

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare