Roza Rakh Kar Ibadat Naa Karne Wale
- Get link
- X
- Other Apps
Roza Rakh Kar Ibadat Naa Karne Wale
حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ رَافِعٍ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رُبَّ صَائِمٍ لَيْسَ لَهُ مِنْ صِيَامِهِ إِلَّا الْجُوعُ وَرُبَّ قَائِمٍ لَيْسَ لَهُ مِنْ قِيَامِهِ إِلَّا السَّهَرُ
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ بعض روزے داروں کو روزے سے بھوک کے سوا کچھ نہیں ملتا اور بعض قیام کرنے والوں کو قیام سے بیداری کے سوا کچھ نہیں ملتا ۔‘‘
RASULULLAH ﷺ ne farmaya: Bahut se roza rakhne wale aise hain ke unko apne roze se bhook ke siwa kuch nahi haasil hota, aur bohat se raat mein qiyam ( namaz ) karne wale aise hain ke unko apne qiyam se jaagne ke siwa kuch bhi haasil nahi hota.
The Prophet ﷺ said, “There are people who fast and get nothing from their fast except hunger, and there are those who pray and get nothing from their prayer but a sleepless night.”
Wazahat: Yani unko roza aur ibadat ka noor haasil nahi hota, aur naa us mein lazzat aur barket hoti hai balkay roza aur namaz un par ek bojh aur takleef hai, din mein bhooka rehna aur raat ko jagna bas usi ko woh kaafi samajte hain halan ke ye un ki ghalti hai, agar aadaab aur Shart ke mutabiq ibadat kare to woh qubool hogi aur us se noor aur lazzat ki Nemat bhi haasil hogi, aur us waqt unko maloom ho jayega ke roza aur namaz ka maqsad sirf bhooka rehna aur jagna nahi hai. Afsos hai ke hamare zamane mein aise log bohat ho gaye hain jo roza aur namaz ko zahiri tor se ada kar lete hain, aur Khuzu aur Khushu mutalliq haasil nahi karte, agarche awaam ke liye ye bhi kaafi hai, aur ummeed hai ke ALLAH apni meharbani se qubool kar le.
Sunan ibne majah: jild-1, Kitab As Siyam 7, hadith no. 1690, Hasan
- Kya Ulti Aane Se Roza Tut Jata Hain
- Roza Rakh Kar Ibadat Naa Karne Wale
- Sehri Khane Ki Fazilat
- Roza Jahannum Se Bachne Ki Dhaal Hain
- Jaldi Iftar Karne Ki Fazilat
- Ramzan Me Sawab Me Barotari Ki Jati Hain Dus Se Saatso Guna
- Hamila Ke Rozo Ko Qaza
- Roze Chorne ka Kaffara
- Agar Roze Mein Bhul Kar Kha Le To
- Roze Me Sabr Karne Ka Ajr
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment