Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Roze Ki Niyat Kab Tak Kar Sakte Hain

 Roze Ki Niyat Kab Tak Kar Sakte Hain

أَخْبَرَنَا الرَّبِيعُ بْنُ سُلَيْمَانَ قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ قَالَ أَخْبَرَنِي يُونُسُ عَنْ ابْنِ شِهَابٍ قَالَ أَخْبَرَنِي حَمْزَةُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ عَنْ أَبِيهِ قَالَ قَالَتْ حَفْصَةُ زَوْجُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا صِيَامَ لِمَنْ لَمْ يُجْمِعْ قَبْلَ الْفَجْرِ

حضرت حفصہ رضی اللہ عنہا جو کہ نبی  ﷺ  کی زوجہ مطہرہ تھیں ، انہوں نے فرمایا : اس آدمی کا روزہ نہیں ہوتا جو طلوع فجر سے پہلے روزے کی نیت نہ کرے ۔ 

हज़रत हफ़सा (रज़ि०) जो कि नबी ﷺ की पाक बीवी थीं  उन्होंने फ़रमाया:  उस आदमी का रोज़ा नहीं होता जो फ़ज्र से पहले रोज़े की नीयत न करे।
Hazrat Hafsa Radiallahuanha jo Nabi ﷺ ki paak biwi thin Unhone farmaya : Us Admi ka roja nahi hota ho fazr se pehle roje ki niyat naa kare .

Hamzah bin 'Abdullah bin 'Umar narrated that his father said: Hafsah, the wife of the Prophet said: 'There is no fast for the one who does not intend (to fast) before dawn. ' 

Sunan an-Nasa'i: jild 3, kitab Al siyam 22, hadith no. 2338, Sahih

Wazahat: Iss asr se maloom hua ke Roze rakhne se pehle niyat zaroori hai warna ye amal qabil e qubool nahi, baaz log kehte hain ke poore ramzan ke rozon ke liye ek hi niyat kaafi hai aur har roze ke liye alag alag niyat karne ki zaroorat nahi hai lekin ye baat durust nahi hai balke sahih yeh hai ke har roze ki alag alag niyat karni zaruri hai.Har roze ki niyat ka jo waqt hai woh maghrib se lekar fajr tak hai, behtar ye hai ke har aadmi raat ko sone se pehle apne roze ki niyat karle, lekin agar shaam ya raat ko niyat nahi kar saka toh subah sehri ke waqt behar haal niyat kar hi lena chahiye, Aur niyat ka talluq dil hai jo ke ek qalbi amal hai iska zabaan se ada karna zaruri nahi isliye har momin ko dil se iradah karna chahiye ke woh ALLAH ki raza ke liye poore ikhlaas se saath kal roza rakhega (INSH'A ALLAH).


Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab