Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare

Bahut logo ka aksar yeh sawal hota hain Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare to uska kya gunah hain . Or humare muashre me ese kayi log hain jo sahibe maal hone ke bawajood bhi qurbani nahi karte hain to jante hain ese logo ke bare me RASULULLAH ﷺ ne kya farmaya.


Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare Hadis In Arabic

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : «مَنْ كَانَ لَهُ سَعَةٌ ، وَلَمْ يُضَحِّ ، فَلَا يَقْرَبَنَّ مُصَلَّانَا

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare Hadis In Urdu

حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ جس کے پاس ( قربانی کرنے کی ) گنجائش ہو اور وہ قربانی نہ کرے تو اسے چاہیے کہ ہماری عید گاہ کے قریب بھی نہ آئے ۔‘‘

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare Hadis In Hindi

हज़रत अबू-हुरैरा (रज़ि०) से रिवायत है,  रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया :   जिसके पास (क़ुरबानी करने की) गुंजाइश हो और वो क़ुरबानी न करे तो उसे चाहिये कि हमारी ईदगाह के क़रीब भी न आए।

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare Hadis In Roman English

RASULULLAH ﷺ ne farmaya: jis shakhs ko ( qurbani ki ) wus'at ho aur woh (hesiyat mand hone ke bawajood) qurbani nah kare, to woh hamari eid-gah ke qareeb nah bhatke.

Jo Qurbani Kar Sakta Ho Aur Qurbani Na Kare Hadis In English

Prophet ﷺ said: “Whoever can afford it, but does not offer a sacrifice, let him not come near our prayer place.”


Wazahat: Yaani jis shakhs ke paas Qurbani karane ki isteta'at hai woh Qurbani kare, lekin iss hadees ka yeh mafhoom nahi hai ke hesiyat mand hone ke bawajood qurbani naa karne wala shakhs eidgah mein haazir hokar eid ki namaz bhi naa padhe, iss baat mein koi shak nahi ke jo log qurbani ki isteta'at rakhne ke bawajood apni qurbani waajib (ada) nahi karte unke liye lamha e fikar hai, awwal yahi nuqsaan kya kam tha ke qurbani naa karane se itne bade sawab se mahroom ho gaye.

Sunan ibne majah 3123, Sahih

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare