Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika)

 Dua-e-Qunoot (Yaad Karne Ke Liye Asaan Tarika) اللّٰهُمَّ اهْدِنِيْ فِيْمَنْ هَدَيْتَ Allahumma ihdini fiiman hadayt (Ae Allah! Mujhe un logon ke sath hidayat de jinhein tune hidayat di.) وَعَافِنِيْ فِيْمَنْ عَافَيْتَ Wa 'aafini fiiman 'aafayt (Aur mujhe un logon ke sath aafiyat de jinhein tune aafiyat di.) وَتَوَلَّنِيْ فِيْمَنْ تَوَلَّيْتَ Wa tawallani fiiman tawallayt (Aur mujhe un logon ke sath apni panah mein le jinhein tune apni panah mein liya.) وَبَارِكْ لِيْ فِيْمَآ أَعْطَيْتَ Wa baarik lii fiimaa a'tayt (Aur jo kuch tune mujhe diya hai usmein barakat de.) وَقِنِيْ شَرَّ مَا قَضَيْتَ Wa qinii sharra maa qadayt (Aur mujhe us burai se bacha jo tune muqarrar ki.) فَإِنَّكَ تَقْضِيْ وَلَا يُقْضٰى عَلَيْكَ Fa innaka taqdee wa laa yuqdaa 'alaik (Kyunki tu faisla karta hai, aur tere upar koi faisla nahi hota.) إِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَّالَيْتَ Innahu laa yazillu man waalayt (Jise tune apni dosti di, woh kabhi zaleel nahi hota.) (وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ) (Wa ...

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain : Bahut insano ka yeh sawal hota hain ke ke Pure ghar ki taraf se ek qurbani karna kesa hain kya ek insan pure ghar ki taraf se qurbani kar sakta hain to aiye dekhte hain is baat ko hadis ki roshni me.

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain Hadis In Arabic

عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ ، قَالَ : سَأَلْتُ أَبَا أَيُّوبَ الْأَنْصَارِيَّ : كَيْفَ كَانَتِ الضَّحَايَا فِيكُمْ ، عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ؟ قَالَ : «كَانَ الرَّجُلُ فِي عَهْدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، يُضَحِّي بِالشَّاةِ عَنْهُ ، وَعَنْ أَهْلِ بَيْتِهِ ، فَيَأْكُلُونَ وَيُطْعِمُونَ ، ثُمَّ تَبَاهَى النَّاسُ ، فَصَارَ كَمَا تَرَى

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain Hadis In Urdu

حضرت عطاء بن یسار رحمہ اللہ سے روایت ہے ، انہوں نے فرمایا : میں نے حضرت ابوایوب انصاری رضی اللہ عنہ سے سوال کیا : رسول اللہ ﷺ کے زمانہ مبارک میں تم لوگوں میں قربانیاں کس طرح ہوتی تھیں ؟ انہوں نے فرمایا : نبی ﷺ کے زمانہ مبارک میں آدمی اپنی طرف سے اور اپنے گھر والوں کی طرف سے ایک بکری کی قربانی کر دیا کرتا تھا ۔ ( اس میں سے ) وہ خود بھی کھاتے ، اور دوسروں کو بھی کھلاتے ۔ بعد میں لوگ فخر ( کے طور پر زیادہ جانور ذبح ) کرنے لگے تو وہ حال ہو گیا جو آپ ( آج کل ) دیکھ رہے ہیں ۔

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain Hadis In Hindi

हज़रत अता-बिन-यसार (रह०) से रिवायत है,  उन्होंने फ़रमाया : मैंने हज़रत अबू-अय्यूब अंसारी (रज़ि०) से सवाल किया : रसूलुल्लाह ﷺ के ज़माना मुबारक में तुम लोगों में क़ुर्बानियाँ किस तरह होती थीं? उन्होंने फ़रमाया : नबी ﷺ के ज़माना मुबारक में आदमी अपनी तरफ़ से और अपने घर वालों की तरफ़ से एक बकरी की क़ुरबानी कर दिया करता था। (उसमें से) वो ख़ुद भी खाते  और दूसरों को भी खिलाते। बाद में लोग फ़ख़्र (के तौर पर ज़्यादा जानवर ज़बह) करने लगे तो वो हाल हो गया जो आप (आज कल) देख रहे हैं।

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain Hadis In Roman English 

Hazrat ataa bin Yasar kehte hain ke mein ne abu ayub ansari razi Allahu anho se poocha ke rasool Allah ﷺ ke zamane mein aap logon ki qurbaniyan kaisi hoti thi? to unhon ne kaha ke aap ﷺ ke zamane mein aadmi apne aur apne ghar walon ki taraf se ek bakri qurbani karta tha to usay saaray ghar walay khate aur logon ko khilate, phir log fakhr aur mubahaat karne lage, to maamla aisa ho gaya jo tum dekh rahe ho.

Kya Pure Ghar Ki Taraf Se Ek Qurbani Kar Sakte Hain Hadis In English 

It was narrated that Hazrat ‘Ata’ bin Yasar said: “I asked Abu Ayyub Al- Ansari razi Allahu anho: ‘How were sacrifices offered among you at the time of the Messenger of Allah (ﷺ)?’ He said: ‘At the time of the Prophet (ﷺ), a man would sacrifice a sheep on behalf of himself and the members of his household, and they would eat some of it and give some to others. Then people started to compete and it because as you see (nowadays).’”

📜 Wazahat: jin logo ka khana peena aur kharch waghera ek sath ho to ye ek parivar kahlayega lehaza iss parivar ka koi bhi ek fard ek janwar zibah kar le to ye ghar ke tamaam afraad ki taraf se kifayat kar jayega.

Sunan ibne majah 3147, Sahih


Saiyyadna Abu sariha ( huzaifa bin usaid ghafari) razi allahu anhu farmate hain: mere gharwalo ne mujhe galat kaam par majboor kardiya jabke mujhe sunnat maloom hai ek ghar wale ek bakri ya do bakriya zibah kiya karte thay, Abb to ( agar hum ek ki qurbani kar de to) humare padosi hume kanjoos kehte hain "

Sunan ibn majah: 3148 Sahih


Sahabi e rasool ﷺ ke iss farman aur unke amal se bhi baat wazeh ho jaati hai ke ek janwar ek parivar ke liye kaafi hota hai. Abb Rasool Allah ﷺ ka bhi tarz e amal bhi mulahza farmaye: Saiyyadna Abdullah bin hishaam razi allahu anhu bayan karte hain: Rasool Allah ﷺ tamaam ghar walo ki taraf se ek bakri qurban karte thay." [📗 Al Mustadrak lil hakim: 3/456 wa sanadahu Sahih].

🔹Note: kisi bade janwar maslan gaye oont waghera me hissa lene se pura ghar ki taraf se qurbani nahi ada hogi, kyun ke iss par koi hadees ya asaar e sahaba daleel nahi hai, lehaza ahadees me jitna jawaz hai utne pe hi iktifa karna chahiye.' Wallahu Alam

Comments

Popular posts from this blog

Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Umar Hota

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

Marhum ki taraf se sadqa aur uska sawab