Posts

Showing posts from 2021

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Dhul Hijja Ke 10 Dino Ki Fazilat

Dhul Hijja Ke 10 Dino Ki Fazilat Nabi Kareem ﷺ ne farmaya un dino ke amal se ziyada kisi din ke amal mein fazilat nahi. logo ne pucha aur jihad mein bhi nahi. aap ﷺ ne farmaya ke haan jihaad mein bhi nahi siwa us shakhs ke jo apni jaan o maal khatrah mein daal kar nikla aur wapas aaya to sath kuch bhi nah laya ( sab kuch ALLAH ki raah mein qurbaan kar diya ) . Narrated Ibn `Abbas: The Prophet said,   No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja).   Then some companions of the Prophet said,   Not even Jihad?   He replied,   Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for ALLAH'S sake) and does not return with any of those things.  Bukhari 969 Sahih

Deen Felane Ki Fazilat

  Deen Felane Ki Fazilat Nabi kareem ﷺ ne farmaya mera Paigaam logo ko pahuchaao agarche ek hi aayat ho. Narrated `Abdullah bin `Amr: The Prophet said,   Convey (my teachings) to the people even if it were a single senten Sahih Bukhari 3461

Arfa Ke Roze Ki Fazilat (Dhul-Hijjah)

Arfa Ke Roze Ki Fazilat (Dhul-Hijjah) RASULULLAH ﷺ ne farmaya : mein samjhta hu ke Arfa ke din roza rakhne ka sawab ALLAH TA'ALA yeh dega ke agle pichle ek saal ke gunah bakhash dega The Messenger of ALLAH (ﷺ) said:“Fasting on the Day of ‘Arafah, I hope from Allah, expiates for the sins of the year before and the year after.”  Ibne Maza 1730 , Sahih

Dhul-Hijjah Ke Roze Ki Fazilat

  Dhul-Hijjah Ke Roze Ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ‌ ne farmaya : Yaum E Arfa yani Dhul-Hijjah ka roza guzishta aur ainda do salo ke gunaaho ka kaffara bantaa hai aur Yaum E Ashura ka roza ek guzashta saal ke gunaho ka Musnad Ahmed 3979 , Sahih

Nabi ﷺ Sajde or Ruku Me Aksar Padhte The

  Nabi ﷺ Sajde or Ruku Me Aksar Padhte The Nabi Akram ﷺ Sajde Or Ruku Me Aksar Ye Padha Karte The Subhana_Kalla_Humma Rabana Wabihamdi_Kalla_Hummag Firliy سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي Narrated `Aisha: The Prophet used to say frequently in his bowing and prostrations (Exalted [from unbecoming attributes] Are you O Allah our Lord, and by Your praise [do I exalt you]. O Allah! Forgive me).  Bukhari 817, Sahih

Tumhe Kamzoro ki Wajah Se Rizq Diya Jata Hai

  Tumhe Kamzoro ki Wajah Se Rizq Diya Jata Hai Mein Ne RASULULLAH ﷺ ko farmate hue suna : mere liye zaeef aur kamzor logo ko dhuundo, kyuke tum apne kmzoro ki wajah se rizaq diye jatay aur madad kiye jatay ho Narrated Abu Darda: I heard the Messenger of ALLAH ﷺ say: Seek for me weak persons, for you are provided means of subsistence and helped through your weaklings. Abu Dawood 2594 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ko Jab Koi Khushi Ki Bat aati

  RASULULLAH ﷺ Ko Jab Koi Khushi Ki Bat aati Nabi Akram ﷺ ke paas jab koi khushi ki baat aati ya aap ﷺ ko koi khushkhabri sunai jati to ALLAH ka shukar ada karte hue sajda mein gir padhte When anything came to the Prophet ﷺ which caused pleasure (or, by which he was made glad), he prostrated himself in gratitude to ALLAH.  Abu Dawood 2774 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ne 7 Kamo Ka Huqm Diya Or 7 Kamo se Roka

  RASULULLAH ﷺ ne 7 Kamo Ka Huqm Diya Or 7 Kamo se Roka Hume nabi kareem ﷺ ne saat kamo ka huqm diya aur saat kamo se roka. hume aap ﷺ ne huqm diya tha janaza ke sath chalne, mareez ki mizaaj pursi, dawat qubool karne, mazloom ki madad karne ka, qasam puri karne ka, salam ka jawab dene ka, chink par « Yarehma_kullah » kehne ka aur aap ﷺ ne hume mana kiya tha chandi ke bartan ( istemaal mein laane ) se, sone ki angothi pehenne se, resham aur Dibej ( ke kapron ke pahannay ) se, qissi se, istabraq se۔   Narrated Al-Bara' bin `Azib: Allah's Apostle ordered us to do seven things and forbade us to do other seven. He ordered us: to follow the funeral procession. to visit the sick, to accept invitations, to help the oppressed, to fulfill the oaths, to return the greeting and to reply to the sneezer: (saying, May Allah be merciful on you, provided the sneezer says, All the praises are for Allah, ). He forbade us to use silver utensils and dishes and to wear golden rings, s...

Sajde Ki Halat Me Kasrat Se Dua Karna

  Sajde Ki Halat Me Kasrat Se Dua Karna RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Banda apne rab ke sab se ziyada qareeb is haalat mein hota hai jab woh sajde mein hota hai, lehaza is mein kasrat se dua karo .   The Messenger of ALLAH ( ‌ﷺ ‌ ) said: The nearest a servant comes to his Lord is when he is prostrating himself, so make supplication (in this state).  Muslim 1083 , Sahih

Dua Se Pehle ALLAH ki Tareef Or RASULULLAH ﷺ Par Durood Bhejna

  Dua Se Pehle ALLAH ki Tareef Or RASULULLAH ﷺ Par Durood Bhejna Mein namaz padh raha tha, aur nabi akram ﷺ mojood the, Abu Bakr aur Umar R.A ( bhi ) aap ke sath the, jab mein ( Qayda Akhir mein ) betha to pehle mein ne ALLAH ki tareef ki phir nabi ﷺ par durood bheja, phir apne liye dua ki, to Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”Mango, tumhe diya jaye ga, maang tumhe diya jaye ga Abdullah said: I was prayed and the Prophet, Abu Bakr, and Umar were there, so when I sat, I started off with praising ALLAH, then sending Salat upon the Prophet, then supplicating for myself. So the Prophet said: 'Ask, your request will be granted, ask, your request will be ranted. Tirmazi 593 , Sahih

Jis Shaks Ne Logo Ko Dikhane Ke Liye Ilm Padha

  Jis Shaks Ne Logo Ko Dikhane Ke Liye Ilm Padha Woh aadmi jis ne ilm padha, padhaya aur quran ki qirat ki, usay paish kiya jayega. ( ALLAH TA'ALA ) usay apni nemato ki pehchan karayega, woh pehchan karlega, woh farmayega : Tune un nemato ke sath kya kiya? woh kahega : mein ne ilm padha aur padhaya aur teri khatir quran ki qirat ki, ( ALLAH ) farmayega : Tune jhoot bola, Tune is liye ilm padha ke kaha jaye ( yeh ) aalim hai aur tune quran is liye padha ke kaha jaye : yeh qaari hai, woh kaha gaya, phir us ke bare mein hukum diya jayega, isse muhn ke bal ghsita jaye ga hatta ke aag mein daal diya jaye ga  Then will be brought forward a man who acquired knowledge and imparted it (to others) and recited the Qur'an. He will be brought And ALLAH will make him recount His blessings and he will recount them (and admit having enjoyed them in his lifetime). Then will ALLAH ask: What did you do (to requite these blessings)? He will say: I acquired knowledge and disseminated it and recit...

Qayamat Ke Roz ALLAH Teen Qism Ke Logo Se Guftugu Nahi Karega

  Qayamat Ke Roz ALLAH Teen Qism Ke Logo Se Guftugu Nahi Karega RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Teen ( qisam ke log ) hain ALLAH un se guftagu nahi karega , na qayamat ke roz un ki taraf se dekhe ga aur na unhe ( gunaaho se ) pak karega aur unke liye dard naak azaab hoga.' ' Abu Zar ‌R.A ne kaha : aap ne usay teen dafaa padha. Abu Zar ‌R.A ne kaha : Nakam ho gaye aur nuqsaan se do char hue, aye ALLAH ke RASUL! yeh kon hain? farmaya :' ' apna kapdha ( Takhno se ) Niche latkane wala, ahsaan jatane wala aur jhooti qasam se apne samaan ki maang badhane wala. The Messenger Of ALLAH ( ﷺ ) observed: Three are the (persons) with whom ALLAH would neither speak on the Day of Resurrection, nor would look at them nor would absolve the and there is a painful chastisement for them. The Messenger of ALLAH ( ‌ﷺ ‌ ) repeated it three times. Abu Zar remarked: They failed and they lost; who are these persons, Messenger of ALLAH? They are: the dragger of lower garment, the recount...

Tana Dene Wala ,Badzuban BeHaya Momin Nahi Hota

  Tana Dene Wala ,Badzuban BeHaya Momin Nahi Hota RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Momin tana dene wala, laanat karne wala, be Haya aur badzubaan nahi hota hai. The Messenger Of ALLAH said: The believer does not insult the honor of others, nor curse, nor commit Fahishah, nor is he foul.  Tirmazi 1977 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ke Pas Gaib Ka Mukammal Ilm Nahi

 RASULULLAH ﷺ Ke Pas Gaib Ka Mukammal Ilm Nahi Aye Mohammad ( ﷺ ) un se kaho, “Main tum se yeh nahi kehta ke mere paas ALLAH ke khazane hain. na mein gaib ka ilm rakhta hu, aur na yeh kehta hu ke mein farishta hu. mein to sirf is wahi ki perwi karta ho jo mujh par nazil ki jati hai. phir un se pucho kya andha aur aankho wala dono barabar ho satke hain? kya tum gor nahi karte ? Say, [O Muhammad], "I do not tell you that I have the depositories [containing the provision] of Allah or that I know the unseen, nor do I tell you that I am an angel. I only follow what is revealed to me." Say, "Is the blind equivalent to the seeing? Then will you not give thought?"  Surah Anaam 50

Nabina (Andhe) Ki Fazilat

 Nabina (Andhe) Ki Fazilat RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”ALLAH TA'ALA farmata hai : Jab mein apne bande ki pyari ankhein chin leta hu to mere paas us ka badla sirf jannat hi hai. The Messenger of ALLAH(s.a.w) said: Indeed ALLAH [Most High] said: 'When I take My slave's sight in the world, then there shall be no reward for him with Me except Paradise.'   Tirmazi 2400 , Sahih

Duniya Ke Samano Me Sabse Behtar Naik Biwi Ha

  Duniya Ke Samano Me Sabse Behtar Naik Biwi Ha عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : «إِنَّمَا الدُّنْيَا مَتَاعٌ ، وَلَيْسَ مِنْ مَتَاعِ الدُّنْيَا شَيْءٌ أَفْضَلَ مِنَ الْمَرْأَةِ الصَّالِحَةِ حضرت عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما سے روایت ہے ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ دنیا ( عارضی ) فائدے کی چیز ہے اور دنیا کے سازو سامان میں نیک عورت سے بہتر کوئی چیز نہیں ۔‘‘ हज़रत अब्दुल्लाह-बिन-अम्र (रज़ि०) से रिवायत है,  रसूलुल्लाह ﷺ ने फ़रमाया :   दुनिया (वक़्ती) फ़ायदे की चीज़ है और दुनिया के साज़ो-सामान में नेक औरत से बेहतर कोई चीज़ नहीं। RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Duniya Saaman hai, aur duniya ke samano me se koi bhi chiz naik aur saleh Aurat se behtar nahi.  The Messenger of ALLAH said: “This world is but provisions, and there is no provision in this world better than a righteous wife.”  Ibne Maza 1855 , Sahih

Un Aurto Par RASULULLAH ﷺ Ki Lanat Jo

 Un Aurto Par RASULULLAH ﷺ Ki Lanat Jo RASULULLAH ﷺ ne Lanat Farmayi hai gudne or gudwane wali pr, aur balo ko(bada karne ke lye) jodhne wali or judhwane wali par aur sud khaane wale pr or sud khulwane wale pr aur HALALA karne pr aur Jis ke lye HALALA kiya jaaye us pr.  It was narrated that 'Abdullah said: The Messenger of Allah cursed the woman who tattoos and the one tattooed, the woman who fixed hair extensions and the one who had her hair get extended, the consumer of Riba and the one who pays it, and Al-Muhallil and Al-Muhallal Lahu.  Nasai 3445 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ko ALLAH Ke Barabar Kardena

RASULULLAH ﷺ ko ALLAH Ke Barabar Kardena Abdullah bin Abbas R. A se marwi hai ke ek aadmi Nabi Kareem ﷺ ke paas aaya aur aapse guftugu karne laga phir kaha : Jo ALLAH chahe aur jo aap chahe RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Kya tumne mujhe ALLAH ke brabar kar diya hai? Is trah nahi balke kaho Sirf ALLAH chahe. Silsila Tus Sahiha 925 , Sahih

Nijat Sirf Nek Amal Karne Walo Ki Hai

 Nijat Sirf Nek Amal Karne Walo Ki Hai Musalman ho ya yahudi, Sabi ho ya isaai, jo bhi ALLAH aur roz-e- aakhir par imaan laaye ga aur naik amal karega be shak us ke liye na kisi khauf ka maqam hai na ranj ka. Indeed, those who have believed [in Prophet Muhammad] and those [before Him] who were Jews or Sabeans or Christians - those [among them] who believed in Allah and the Last Day and did righteousness - no fear will there be concerning them, nor will they grieve.  Surah Maeeda 69

ALLAH Ne Koi Wasila Muqarrar Nahi Kiya

  ALLAH Ne Koi Wasila Muqarrar Nahi Kiya ALLAH ne na koi bahera muqarrar kiya hai na saiba aur na Wasila aur na Haam . Magar yeh kafir ALLAH par jhooti tohmat lagate hain aur un mein se aksar be aqal hain ke aise wahmo ko maan rahe hai. ALLAH has not appointed [such innovations as] bahirah or sa'ibah or wasilah or ham. But those who disbelieve invent falsehood about ALLAH, and most of them do not reason.  Surah Maeeda 103

Abu Bakr R.A Ki Fazilat

  Abu Bakr R.A Ki Fazilat Nabi Kareem ﷺ ke ehad mein hum Abubakr R.A ke barabar kisi ko nahi qarar dete the. phir Umar R.A anho ko phir usmaan R.A ko. is ke baad Nabi Kareem ﷺ ke sahaba par hum koi behas nahi karte the aur kisi ko ek dusre par fazilat nahi dete the. Narrated Ibn `Umar: During the lifetime of the Prophet we considered Abu Bakr as peerless and then `Umar and then `Uthman (coming next to him in superiority) and then we used not to differentiate between the companions of the Prophet.  Bukhari 3698 , Sahih

Insaf Karo Chahe Samne Ger Muslim Hi Kyo Na Ho

Insaf Karo Chahe Samne Ger Muslim Hi Kyo Na Ho Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai.’ O you who have believed, be persistently standing firm for Allah , witnesses in justice, and do not let the hatred of a people prevent you from being just. Be just; that is nearer to righteousness. And fear Allah ; indeed, Allah is Acquainted with what you do.  Surah Maidah 8

Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam

 Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam RASULULLAH ﷺ ne farmaya: “ALLAH TA’ALA us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti.” Silsila 2018 , Sahih

3 Tarah Ke Log Jinki Farz Aur Nifl Ibadatein Qubul Nahi Hongi

 3 Tarah Ke Log Jinki Farz Aur Nifl Ibadatein Qubul Nahi Hongi RASULULLAH ﷺ) ne farmaya: “Teen Aadmi aise hai jinke Farz aur Nawafil ALLAH Subhanahu Qubul Nahi karega  (Maa Baap ka) Nafarman , Ehsan kar ke jatlane wala aur Taqdeer ko jhutlane wala.’‘ RASULULLAH ﷺ said “ALLAH Subhanahu will not accept the Obligatory and Optional Worship of three people , They are those who disobeys (his parents) , who reminds people of what he has given them and who do not have faith in destiny.“ Silsila Sahiha 1032 , Sahih

ALLAH Ko Ye Baat Buri Lagti Hain

ALLAH Ko Ye Baat Buri Lagti Hain Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki, RASULULLAH ﷺ ne farmaya: “ALLAH Subhanhu Ta’ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki ALLAH Se Daro Aur Wo Kahne Lage Ke Tu Apni Fikar Kar.” Silsila 2809 , Sahih

Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai

  Musalman Ke Musalman Par 5 Huqooq Hai ALLAH ke RASUL (ﷺ) ne farmaya: “Musalman ke Musalman par 5 haq hai:  Salam ka Jawab dena, Bimar ki Ayadat karna, Janaze ke Sath Jana, Dawat Qabool Karna, Cheenk ka Jawab dena.“ ALLAH'S Messenger (ﷺ) saying, "The rights of a Muslim on the Muslims are five: To respond to the salaam, visiting the sick, to follow the funeral processions, to accept an invitation, and to reply to those who sneeze. Bukhari 1240 , Sahih

Jab Koi Tahajjud Padhne Ka Irada Kare Or Uski Nind Na Khule

Jab Koi Tahajjud Padhne Ka Irada Kare Or Uski Nind Na Khule RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Yeh bedari ek mushkil aur girah kaam hai, jab tum mein se koi shakhs vitar padh le to woh do rakat ada kare, agar woh raat ke waqt bedaar ho jaye ( to phir woh namaz tahajjud padhe ) warna woh do rakaatay is ke liye kaafi hon gi.'  Mishkat 1286 , Sahih

Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu)

  Jab Namaz Mein Shak Ho Jaye Aur Maloom Na Ho Ke Kitni Raqate Padh Li Hain (Sajda Sahu) RASULULLAH ﷺ ne farmaya : jab tum mein se kisi ko apni namaz mein shak ho jaye aur usay maloom na ho ke us ne kitni raqate padh li hain? teen ya chaar? to woh shak ko chodh de aur jitni raqato par usay yaqeen hai un par bunyaad rakhay ( teen yakeeni hain to chothi padh le ) phir salam se pehle do sajde kar le, agar us ne paanch raqate padh li hain to yeh sajde us ki namaz ko juft ( chay rkatin ) kar denge or agar us ne chaar ki takmeel kar li thi to yeh sajde shetan ki zillat o ruswai ka bais honge . The Messenger of ALLAH ﷺ said: When any one of you is in doubt about his prayer and he does Dot know how much he has prayed, three or four (rak'ahs). he should cast aside his doubt and base his prayer on what he is sure of. then perform two prostrations before giving salutations. If he has prayed five rak'ahs, they will make his prayer an even number for him, and if he has prayed exactly four,...

Jis Shakhs Ko Tahajjud Padhne Ki Aadat Ho Or Kabhi Chhut Jaye

  Jis Shakhs Ko Tahajjud Padhne Ki Aadat Ho Or Kabhi Chhut Jaye RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jis shakhs ko raat ko Nafil namaz padhne ki aadat ho, phir kisi din us par nind galib aa jaye ( aur woh Nafil namaz na padh sake ) to ALLAH TA'ALA ( us din bhi ) us ( mamool ki ) namaz ka ajar is ke liye likh deta hai aur us ki nind uske liye ( ALLAH TA'ALA ki taraf se ) sadqa ban jati hai.' '  The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: There is no man who habitually prays at night, then sleep overwhelms him, but ALLAH (SWT) will record for him the reward of his prayer, and his sleep is a charity given to him.  Sunan Nasai 1785 , Sahih Niyat Agar Namaz Padhne Ki Karke Soya Or Fir Nahi Padh Paya ... 

Qayamat Ke Din Sabse Pehle Fesla

 Qayamat Ke Din Sabse Pehle Fesla Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”Sb se pehle ( qayamat ke din ) logo ke darmiyan khoon kharabe ke faisla jaat kiye jayenge.  Narrated `Abdullah: The Prophet said, The first cases to be decided among the people (on the Day of Resurrection) will be those of blood-shed.  Bukhari 6864 , Sahih

ALLAH Sachhi (Dil Ki) Tauba Qubool Karta Hai۔“

  ALLAH Sachhi (Dil Ki) Tauba Qubool Karta Hai۔ Mein ne Nabi Kareem ﷺ se suna, nabi kareem ﷺ ny farmaya ”Agr insaan ke paas maal ki do wadiyaan ho to teesri ka khawahish mand hoga aur insaan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur ALLAH us shakhs ki tauba qubool karta hai jo ( dil se ) sachhi tauba karta hai۔“  Narrated Ibn `Abbas: I heard the Prophet saying, If the son of Adam (the human being) had two valley of money, he would wish for a third, for nothing can fill the belly of Adam's son except dust, and Allah forgives him who repents to Him.  Bukhari 6436, Sahih

Mayyat Ke Sath Teen Chize Chalti Hain

Mayyat Ke Sath Teen Chize Chalti Hain RASULULLAH ﷺ ne farmaya ”Mayyat ke sath teen chizen chalti hain do to wapas aa jati hain sirf ek kaam us ke sath reh jata hai, us ke sath us ke ghar wale us ka maal aur is ka amal chalta hai us ke ghar wale aur maal to wapas aa jata hai aur is ka amal is ke sath baqi reh jata hai. “ ALLAH'S Apostle said, When carried to his grave, a dead person is followed by three, two of which return (after his burial) and one remains with him: his relative, his property, and his deeds follow him; relatives and his property go back while his deeds remain with him.  Bukhari 6514 Sahih

Nabi ﷺ Ke Gulam Jo Dozakh Me Gaye

  Nabi ﷺ Ke Gulam Jo Dozakh Me Gaye Jab aap waadi qura mein pahunch gaye to Madam ko jab ke woh Nabi Kareem ﷺ ka kajawa durust kar raha tha. Ek anjaan teer aa kar laga aur us ki mout ho gayi. logo ne kaha ke jannat usse mubarak ho, lekin Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke hargiz nahi, us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai woh kambal jo us ne taqsem se pehle Khebar ke maal e ganimat mein se chura liya tha, woh us par aag ka angara ban kar phir raha hai.  when he was in the valley of Al- Qura an arrow was thrown by an unidentified person, struck and killed Mid`am who was making a she-camel of Allah's Apostle kneel down. The people said, Congratulations to him (the slave) for gaining Paradise. Allah's Apostle said, No! By Him in Whose Hand my soul is, for the sheet which he stole from the war booty before its distribution on the day of Khaibar, is now burning over him. Bukhari 6707 , Sahih chori karna , chor ko saza , nabi ke gulam jinhone chori kari thi

Un Duao Ka Bayan Jinke Zariye Duayein Qubul Hoti He

 Un Duao Ka Bayan Jinke Zariye Duayein Qubul Hoti He RASULULLAH ﷺ ek aadmi ke paas se guzre, jabke woh yeh keh raha tha : Al Zal-Zalali Wal IKRAM, aap ‌ﷺ ne farmaya : Tere liye qubool kiya ja chuka hai, pas sawal kar. Musnad Ahmed 5623 , Sahih duaa ese mange #dua kese mange

Jo Shaks Bina Jihad Ki Khwaish Ke Mar Gaya

  Jo Shaks Bina Jihad Ki Khwaish Ke Mar Gaya RASULULLAH ﷺ ny farmaya : Jo shakhs mar gaya aur jihad kiya nah dil mein jihad ka iradah hi kya, woh nifaq ki ek qism mein mra . ۔ Abu Huraira that the Messenger of Allah ( ‌ﷺ ‌ ) said: One who died but did not fight in the way of ALLAH nor did he express any desire (or determination) for Jihad died the death of a hypocrite Muslim 4931, Sahih

Jo Shaks Jihad Ki Khwaish Lekar Mar Gaya

  Jo Shaks Jihad Ki Khwaish Lekar Mar Gaya Nabi ﷺ ne farmaya : Jo shakhs sacche dil se ALLAH ki shahadat mange, ALLAH usay shohada ke martabe tak pahuncha deta hai, chahay woh apne bistar hi par kyun nah faut ho . The Messenger of Allah ( ﷺ ‌ ) said: Who sought martyrdom with sincerity will be ranked by Allah among the martyrs even if he died on his bed. Muslim 4930, Sahih

Jo Ye Dua Padega Use Us Din Koi Chiz Nuqsaan Nahi Pahucha Sakti

  Jo Ye Dua Padega Use Us Din Koi Chiz Nuqsaan Nahi Pahucha Sakti Mein ne Usman Bin Affan R.A kehte hain ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Esa koi shakhs nahi hai jo har roz subah o shaam ko  بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ “ Me us ALLAH ke naam ke zareye se panah mangta ho jis ke naam ki barkt se zameen o aasman ki koi cheez nuqsaan nahi pahuncha sakti, aur woh sunne wala janne wala hai teen baar padhe aur usay koi cheez nuqsaan Nahi Pahuchayegi.  Aban bin `Uthman said: “I heard `Uthman bin `Affan (ra) saying: ‘The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: “There is no worshiper who says, in the morning of every day, and the evening of every night: ‘In the Name of ALLAH, who with His Name, nothing in the earth or the heavens can cause harm, and He is the Hearing, the Knowing (Bismillahi LaziY La Yadur_ru Ma_A_smihi Shayun fil Ardi Wala fis_samai Wahuwa sami ul alim )’ – three times, (except that) n...

Jhut Se Bacho

  Jhut Se Bacho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum jhoot se bachcho, is liye ke jhoot burai ki taraf le jata hai, aur burai jahannum mein le jati hai, aadmi jhoot boltaa hai aur jhoot mein laga rehta hai, yahan taq ke woh ALLAH ke nazdeek jhoota likh diya jata hai. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell; and if a man continues to speak falsehood and makes falsehood his object, he will be recorded in ALLAH’S presence as a great liar. Abu Dawood 4989, Sahih

ALLAH Un Khawind-Biwi Par Reham Kare Jo

  ALLAH Un Khawind-Biwi Par Reham Kare Jo RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ALLAH TA'ALA us shakhs par reham kare, jo raat mein bedar Huwa, aur namaz padhi, aur apni biwi ko bhi jagaya, usne namaz padhi, agar na uthi to usme chehre pe pani Chidhka, ALLAH TA'ALA us aurat par reham kare, jo raat mein bedar hui, phir usne namaz padhi aur apne shohar ko jagaya, usne bhi namaz padhi agar na utha to us ke munh par pani chidhka .  It was narrated that Abu Hurairah said: “The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘May ALLAH have mercy on a man who gets up at night and prays, and wakes his wife, and she prays; and if she refuses he sprinkles water in her face. And May ALLAH have mercy on a woman who gets up at night and prays, and wakes her husband and he prays; and if he refuses, she sprinkles water in his face.’”  Ibne maza 1336 , Sahih

Nahusat Jesi Koi Shay Nahi Hoti

 Nahusat Jesi Koi Shay Nahi Hoti RASULULLAH ﷺ ne farmaya : agar woh ( yani nahosat ) hoti to ghodhe, aurat aur ghar mein hoti . It was narrated from Sahl bin Sa'd that: The Messenger of ALLAH said: If it exists, it is in three things: a horse, and woman and a house, meaning omens.  Ibne Maja 1994 , Sahih Kya Nahusat Hoti Hai

Insano Ki Itat Sirf Nek Kamo Me Hai

 Insano Ki Itat Sirf Nek Kamo Me Hai ALLAH TA'ALA ki nafarmani mein kisi ki itaat halal nahi hai itaat sirf naik kamo mein hai. No obedience for evil deeds, obedience is required only in what is good . Bukhari 7257, Sahih

Daaye Hath Ka Istemal Karna

  Daaye Hath Ka Istemal Karna Nabi Akram ﷺ ne farmaya : Tum mein har shakhs ko chahiye ke woh daye hath se khaye, daye haath se piye, daye haath se le, daye haath se de, Isliye ke shetan baye haath se khata hai, bye haath se peeta hai, baye haath se deta hai aur baye haath se le ta hai ۔  It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: “Let one of you eat with his right hand and drink with his right hand, and take with his right hand and give with his right hand, for Satan eats with his left hand, drinks with his left hand, gives with his left hand and takes with his left hand.”  Ibne Maza 3566 , Sahih Ye Hadees Sahih Hai Lekin Iska Number Galat Hai

Ikhtelaf Na Kiya Karo

 Ikhtelaf Na Kiya Karo Ikhtelaf na Kiya karo , ALLAH ne tumse pehle  Ki qomo ko ikhtelaf karane ki wajah se halaq kiya. The nations which were before you were destroyed (by ALLAH) because they differed.  Bukhari 5062, Sahih

Jab Banda ALLAH Ki Taraf Chal Kar Jata Hai

  Jab Banda ALLAH Ki Taraf Chal Kar Jata Hai Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ”ALLAH TA'ALA farmata hai ke mein apne bande ke gumaan ke sath hu or jab woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to mein bhi usse apne dil mein yaad karta hu aur jab woh mujhe majlis mein yaad karta hai to mein use us se behtar firshto ki majlis mein use yaad karta hu aur agar woh mujh se ek balisht qareeb aata hai to mein is se ek halath qareeb ho jata hu aur agar woh mujh se ek haath qareeb aata hai to mein us se do hath qareeb ho jata hu aur agar woh meri taraf chal kar aata hai to mein us ke paas daudh kar aa jata hon. “  Narrated Abu Huraira: The Prophet said, Allah says: 'I am just as My slave thinks I am, (i.e. I am able to do for him what he thinks I can do for him) and I am with him if He remembers Me. If he remembers Me in himself, I too, remember him in Myself; and if he remembers Me in a group of people, I remember him in a group that is better than they; and if he comes one span nearer to Me, I...

Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye

  Jab Koi Galat Aadmi Imamat Karwaye Woh Khud Usman ghani R.A ke paas gaye. jab ke baghion ne un ko ghair rakha tha. unhone kaha ke aap hi aam musalmano ke imam hain magar aap par jo museebat hai woh aap ko malum hai. un halaat mein baghio ka muqarrar imam namaz padha raha hai. hum darte hain ke us ke piche namaz padh kar gunehgar na ho jaye. Usman R.A ne jawab diya namaz to jo log kaam karte hain un kamo mein sab se behtareen kaam hai. to woh jab accha kaam kare tum bhi us ke sath mil kar accha kaam karo aur jab woh bura kaam kare to tum un ki burayi se alag raho aur Mohammad bin Yazid zubaidi ne kaha ke imam zehri ne farmaya ke hum to yeh samajte hain ke hijdhe ke piche namaz nah padhe. magar esi hi lachari ho to aur baat hai jis ke baghair koi charah nah ho .  Narrated 'Ubaid-Ullah bin Adi bin Khiyar: I went to 'Uthman bin Affan while he was besieged, and said to him, You are the chief of all Muslims in general and you see what has befallen you. We are led in the Salat (p...

Agar Kisi Ko Kafir Kaha Or Woh Kafir Na Ho To

 Agar Kisi Ko Kafir Kaha Or Woh Kafir Na Ho To Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke agar koi shakhs kisi shakhs ko kafir ya fasik kahe aur woh dar haqiqat kafir ya fasik na ho to khud kehne wala fasik aur kafir ho jayega . The Prophet saying, If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq' i.e. a wicked person) or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him (i.e. the accuser) if his companion (the accused) is innocent.  Bukhari 6045 , Sahih

Jo Shaks Dusro Par Reham Farmata Hai

 Jo Shaks Dusro Par Reham Farmata Hai ALLAH TA'ALA bhi apne un reham dil bando par reham farmata hai jo dusro par reham farmata hai. ALLAH is merciful only to those of His slaves who are merciful (to others).  Bukhari 1284, Sahih

Agar Teen Bar Se Zyada Kisi Ko Awaz Do Or Wo Naa Aaye

  Agar Teen Bar Se Zyada Kisi Ko Awaz Do Or Wo Naa Aaye Mein Ansar ki ek majlis mein tha ke abu musa R.A tashreef laaye jaise ghabraye hue ho. unhone kaha ke mein ne Umar R.A anho ke yaha teen martaba andar anay ki ijazat chahi lekin mujhe koi jawab nahi mila, is liye wapas chala aaya ( Umar razi Allah anho ko maloom Huwa ) to unhone daryaft kiya ke ( andar anay mein ) kya baat Mana thi? mein ne kaha ke mein ne teen martaba andar anay ki ijazat maangi aur jab mujhe koi jawab nahi mila to wapas chala gaya aur aur RASULULLAH ﷺ ne farmaya hai ke jab tum mein se koi kisi se teen martaba ijazat chahay aur ijazat na mile to wapas chala jana chahiye. Umar R.A ne kaha : wallah! tumhe is hadees ki sahet ke liye koi gawah lana ho ga. ( Abu Musa R.A ne majlis walo se pucha ) kya tum mein koi aisa hai jis ne nabi kareem ﷺ se yeh hadees suni ho? abi bin ka-ab R.A ne kaha ke Allah ki qasam! tumahre sath ( is ki gawahi dene ke siwa ) jamaat mein sab se kam Umar shakhs ke koi aur nahi khadha ho ga...

RASULULLAH ﷺ Apne Zati Mamle Me Badla Nahi Lete

 RASULULLAH ﷺ Apne Zati Mamle Me Badla Nahi Lete RASULULLLAH ﷺ ne apne zaati maamla mein kabhi kisi se badla nahi liya haan jab ALLAH ki qaim ki hui had ko todha jata to aap phir badla lete the. Allah's Apostle never took revenge for his own self in any matter presented to him till Allah's limits were exceeded, in which case he would take revenge for Allah's sake Bukhari 6853 , Sahih
 Thori c mehnat ke liye Neki na choro q ke mehant khtam ho jaye gi lekin Neki Qabar tak jaye gi sath Or isi trha thory mazzy ke liye Gunnah mat karo maza tu khtam ho jaye ga lekin Gunnah Qabar tak sath jaye ga.

Jhut Bolne Se Bacho

 Jhut Bolne Se Bacho RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Tum jhoot se bachcho, is liye ke jhoot burai ki taraf le jata hai, aur burai jahannum mein le jati hai, aadmi jhoot boltaa hai aur jhoot mein laga rehta hai, yahan taq ke woh ALLAH ke nazdeek jhoota likh diya jata hai The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell; and if a man continues to speak falsehood and makes falsehood his object, he will be recorded in Allah’s presence as a great liar. Abu Dawood 4989, Sahih

ALLAH TA'ALA Ne Umar Ki Zabaan O Dil Par Haq Ko Jari Farma Diya Hai

  ALLAH TA'ALA Ne Umar Ki Zabaan O Dil Par Haq Ko Jari Farma Diya Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”ALLAH TA'ALA ne Umar ki zabaan o dil par haq ko jari farma diya hai “. abdullah bin Umar R.A kehte hain : kabhi koi aisa waqea nahi huwa jis mein logo ne apni rayein paish ki ho aur Umar bin khataab R.A ne ( Ravi kharja ko shak ho gaya hai ) bhi raye di ho, magar quran is waqea se mutaliq Umar R.A ki apni raye ke mawafiq nah utra ho. the Messenger of Allah (ﷺ) said: Indeed Allah has put the truth upon the tongue and in the heard of 'Umar. He said: And Ibn 'Umar said: 'No affair occurred among the people, except that they said something about it, and 'Umar said something about it' or he said - Ibn Al-Khattab - Kharijah (one of the narrators) had a doubt about it - except that the Qur'an was revealed in line with what 'Umar had said.  Tirmazi 3682 , Sahih

ALLAH Apne Bande Ki Tauba Par Khush Hota Hain

ALLAH Apne Bande Ki Tauba Par Khush Hota Hain RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ALLAH TA'ALA yaqinan tum mein se kisi ke tauba karne par is se ziyada khush hota hai jitna tum mein se koi shakhs apni gum shuda sawari ( wapas ) pa kar khush hota hai . ۔  ALLAH'S Messenger ﷺ as saying: ALLAH is more pleased with the repentance of His servant when he turns penitently towards Him than one of you would be on finding the lost camel.  Muslim 6953, Sahih

Jo Jhut Bolna Chodh De

  Jo Jhut Bolna Chodh De RASULULLAH ﷺ ne farmaya :- Jannat ke bicho bich ek ghar ka us shakhs ke liye jo jhuth bolna chodh de agarchay woh hansi mazaq hi mein ho. House in the middle of Paradise for a man who avoids lying even if he were joking Abu Dawood 4800, Sahih Jhooth , Lie ,Jhuth , jhut, liar

Jo Khush Khalq Ho

 Jo Khush Khalq Ho RASULULLAH ﷺ ne farmaya :- Jannat ki bulandi mein ek ghar ka us shakhs ke liye jo khush Khalq ho .  And a house in the upper part of Paradise for a man who made his character good.  Abu Dawood 4800, Sahih

Haq Par Hone Bad Bhi Jo Ladai Jhagada Chodh De

  Haq Par Hone Bad Bhi Jo Ladai Jhagada Chodh De RASULULLAH ﷺ farmaya : Mein us shakhs ke liye jannat ke andar ek ghar ka zaamin hu jo ladai jhagdha tark kar de, agarchay woh haq par ho. The Prophet ﷺ said: I guarantee a house in the surroundings of Paradise for a man who avoids quarrelling even if he were in the right. Abu Dawood 4800, Sahih

Akhirat Ke 5 Sawal Jinke Jawab Diye Bina Insan Ke Qadam Hil Na Sakenge

Akhirat Ke 5 Sawal Jinke Jawab Diye Bina Insan Ke Qadam Hil Na Sakenge RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Qayamat ke din kisi bande ke dono paao nahi hatenge yaha tak ke us se yeh na puch liya jaye : us ki Umar ke bare mein ke usay kin kamo mein khatam kiya, aur us ke ilm ke bare mein ke us par kya amal kiya aur is ke maal ke bare mein ke usay kaha se kamaya aur kaha kharch kiya, aur is ke jism ke bare mein ke usay kahan khapaya“ . The Messenger of ALLAH (s.a.w) said: The feet of the slave of ALLAH shall not move [on the Day of Judgement] until he is asked about five things: about his life and what he did with it, about his knowledge and what he did with it, about his wealth and how he earned it and where he spent it on, about his body and for what did he wear it out.  Tirmazi 2417 , Sahih

Tarika Sirf RASULULLAH ﷺ Ka Qubul Hoga

  Tarika Sirf RASULULLAH ﷺ Ka Qubul Hoga RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jo humare is deen mein koi aisi nai baat peda kare jo is mein nahi hai to woh mardood hai. Ibn Isa ki rivayet mein hai ke Nabi Akram ﷺ ne farmaya : Jo koi aisa kaam kare jo hamaray tariqe ke khilaaf ho to woh mardood hai . The Messenger of ALLAH ‌ﷺ as saying: if any one introduces into this affair of ours anything which does not belong to it, it is rejected. Ibn Isa said: the Prophet ﷺ said: if anyone practices any action in away other than our practice, it is rejected.  Abu Dawood 4606 , Sahih

Mehdi A.S Ka Khandan

  Mehdi A.S Ka Khandan Mein Ne RASULULLAH ﷺ ko farmate hue suna : Mehdi meri nasal se fatima ki aulaad mein se honge . The Prophet ﷺ ‌said: The Mahdi will be of my family, of the descendants of Fatimah. Abu Dawood 4284 , Sahih

Qabro Ki Ziyarat Karna

Qabro Ki Ziyarat Karna Syedna Abu Hurera R.A bayan karte hain ke Nabi Kareem ‌ﷺ ne apni walida ki qabar ki ziyarat ki aur khud bhi roye aur –apne sath walon ko bhi rulaya, phir aap ﷺ ne farmaya : mein ne apne rab se yeh ijazat talab ki ke mein apni walida ke haq mein duaye mughfirat karu? lekin mujhe ijazat nahi di gayi. phir jab mein ne is ki qabar ki ziyarat ki ijazat mangi to ALLAH TA'ALA ne mujhe ijazat dedi, tum bhi qabro ki ziyarat kiya karo, kyunkay yeh mout yaad dilaati hain۔  Musnad Ahmed 3347 , Sahih

Juma Or Eid Ek Hi Din Hoto

  Juma Or Eid Ek Hi Din Hoto Mein ne aik aadmi ko Zaid ban Arqam R.A se puchhte hue suna : kya aap neh Nabi akram ﷺ ke sath kabhi aik hi din do eid mein haazir rahay? unhone kaha : Jee haan, us aadmi ne kaha : to aap ﷺ kaisay karte they? unhone kaha : aap ﷺ neh eid padhai phir jummay ke baare mein rukhsat dedi aur farmaya : Jo padhna chahay padhe. “I heard a man asking Zaid bin Arqam: ‘Were you present with the Messenger of ALLAH (ﷺ) when there were two ‘Eid on one day?’ He said: ‘Yes.’ He said: ‘What did he do?’ He said: ‘He prayed the ‘Eid prayer, then he granted a concession not to pray the Friday, then he said: “Whoever wants to pray (Friday), let him do so.”’”  Ibne Maja 1310 , Sahih Ye Hadees Un Logo Ke Liye Hai Jo Dehat Me Rehte The Or Unke  liye din me do bar namaz padhne ke liye aana Mushkil tha to RASULULLAH ﷺ ne huqm diya tha ke ek khutba bhut hai.

Jab Tak Musalman Yahudiyo Ko Qatl Nahi Kardete Qayamat Qaim Nahi Hogi

  Jab Tak Musalman Yahudiyo Ko Qatl Nahi Kardete Qayamat Qaim Nahi Hogi RASULULLAH ﷺ ‌ ne farmaya :' ' qayamat qaim nahi ho gi hatta ke musalman, yahudion se qital karenge, musalman unhe qatal karenge is waqt yahodi pathar aur darakht ke pichr chupayga to woh pathar aur darakht pukaar kar kahe ga : Aye musalman! ALLAH ke bande! yeh yahodi mere piche hai, aao aur ise qatal karo. Mishkat 5414 , Sahih

Khushbu Laga Kar Mehfil Me Jane Wali Aurat

  Khushbu Laga Kar Mehfil Me Jane Wali Aurat Hazrat Abu Musa ashri razi Allah anho se rivayet hai ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Jo bhi aurat khusbhu laga kar logo ke paas se guzarti hai taake woh is ki khusbhu sunge ( aur is ki taraf mutwajjah ho) to woh badkar ( zania ) hai.'  It was narrated that Al-Ash'ari said: The Messenger of ALLAH said: 'Any woman who puts on perfume then passes by people so that they can smell her fragrance then she is an adulteress.'  Sunan Nasai 5129 , Sahih

Roze Me Apni Biwi Se Humbistari Karna

Roze Me Apni Biwi Se Humbistari Karna Nabi Akram ﷺ ke paas 1 shakhs aaya, usne arz kya : mein halaak ho gaya, aap ﷺ ne farmaya : tumhe kis cheez ne halaak kar diya? Usne kaha : mein ne ramadaan mein apni biwi se sohbat kar li hai, aap ﷺ ne farmaya : tum 1 gulam azad karo, usne kaha : mere paas gulam azad karne ki taaqat nahi, aap ﷺ ney farmaya : aaccha to do mahine Lagatar roze rakho, is ney kaha : mein is ki bhi taaqat nahi rakhta, aap ﷺ ne farmaya : phir 7 miskeeno ko khana khilao usne kaha mujhe is ki bhi taaqat nahi, aap ﷺ neh farmaya : baith jao woh baith gaya, isi douran aap ke paas khajoor ka ek tokdha aa gaya, is tokdhe ko « arq » kehte they, aap ﷺ ne usse farmaya : jaak usay sadqa kar do, is neh kaha : ALLAH ke RASUL ! qasam hai is zaat ki jis neh aap ko haq ke sath bheja hai, madine ki un dono siyah pathreli pahadhiyo ke beech koi aur ghar wala hum se ziyada mohtaaj nahi hai, yeh sun kar aap ﷺ ne farmaya : jaak –apne ghar walon ko khila do.  It was narrated that Abu Hu...

ALLAH Se Dua Ki Qubuliyat Ke Sath Dua Kare

 ALLAH Se Dua Ki Qubuliyat Ke Sath Dua Kare ALLAH se qubuliyat ke yaqeen ke sath dua karo,aur janlo ke ALLAH TA'ALA laprwah aur gafil dil ki dua QUBUL nahi karta. Silsilatus Sahiha 2738

Shab E Qadr Me Ibadat Karne Wale

 Shab E Qadr Me Ibadat Karne Wale حَدَّثَنَا أَبُو الْيَمَانِ ، قَالَ : أَخْبَرَنَا شُعَيْبٌ ، قَالَ : حَدَّثَنَا أَبُو الزِّنَادِ ، عَنِ الْأَعْرَجِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : مَنْ يَقُمْ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ . رسول اللہ ﷺ نے فرمایا ، جو شخص شب قدر ایمان کے ساتھ محض ثواب آخرت کے لیے ذکر و عبادت میں گزارے ، اس کے گزشتہ گناہ بخش دیئے جاتے ہیں ۔ रसूलुल्लाह (सल्ल०) ने फ़रमाया,  जो शख़्स शबे-क़द्र ईमान और एहतिसाब के साथ (अपनी ज़िन्दगी का जायज़ा लेते हुए) ज़िक्र और इबादत मैं गुज़ारे  उसके पिछले गुनाह बख़्श दिये जाते हैं। RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jo shaks Shab e Qadr imaan ke saath mahaz sawab aakhirat ke liye zikr wa ibadat me guzare, us ke gujishta gunaah maaf kr dye jate hai.  Narrated Abu Huraira: ALLAH'S Apostle said, Whoever establishes the prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping to attain ALLAH'S rewards (not to show off) th...

Jisne Shab E Qadr Sawab Ki Niyat Se Jagi

 Jisne Shab E Qadr Sawab Ki Niyat Se Jagi حَدَّثَنَا مَخْلَدُ بْنُ خَالِدٍ، ‏‏‏‏‏‏وَابْنُ أَبِي خَلَفٍ المَعْنى، ‏‏‏‏‏‏قَالَا:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الزُّهْرِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي سَلَمَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏يَبْلُغُ بِهِ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ قَامَ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ  سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نبی ﷺ سے مرفوعاً بیان کرتے ہیں :’’ جس نے ایمان اور تقرب و ثواب کے لیے لیلۃ القدر کا قیام کیا ، اس کے پچھلے گناہ معاف کر دیے جاتے ہیں ۔: Nabi akram ﷺ ne farmaya : Jis ne shab qadr mein imaan ki haalat mein aur sawab ki niyat se qiyam kya is ke bhi pichle tamam gunah maaf kar diye jayege. Narrated Abu Hurairah: The Prophet ﷺ as saying:If anyone prays in the night of the power (lailat al-qadr) because of faith and in order to seek his reward from ALLAH his previous sins will be forgiven for him.  Abu Dawood 1372

Roze Ka Ajr Sirf ALLAH Ko Pata Hai

Roze Ka Ajr Sirf ALLAH Ko Pata Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Insan ki har neki 10 guna se 700 guna tak badha di jati hai, ALLAH TA'ALA farmata hai : siwaye rozay ke is liye ke woh mere liye khaas hai, aur mein hi us ka badla dunga, aadmi apni khwahish aur khana mere liye chodh deta hai, roza daar ke liye do khusihyan hain : ek aftaar ke waqt aur doosri –apne rab se milnay ke waqt, aur rozay daar ke muh ki bo ALLAH TA'ALA ke nazdeek mushk ki bo se behtar hai  It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of ALLAH (ﷺ) said: “Every good deed of the son of Adam will be multiplied manifold. A good deed will be multiplied ten times up to as many as seven hundred times, or as much as ALLAH wills. ALLAH says: ‘Except for fasting, which is for Me and I shall reward for it. He gives up his desire and his food for My sake.’ The fasting person has two joys, one when he breaks his fast and another when he meets his Lord. The smell that comes from the mouth of a fasting person is bet...

RASULULLAH ﷺ Se Pehle Bhi Rasulo Ka Mazak Udhaya Gaya

 RASULULLAH ﷺ Se Pehle Bhi Rasulo Ka Mazak Udhaya Gaya Aye Mohammad ﷺ tum se pehle bhi bohat se Rasulo ka mazaq udhaya ja chuka hai, magar un mazaq udhane walo par aakhir kaar wohi haqeeqat musallay ho kar rahi jis ka woh mazaq udhatay the. And already were messengers ridiculed before you, but those who mocked them were enveloped by that which they used to ridicule.  Surah Anam 10

Haiza Aurat Ko Roze Ki Qaza Ka Huqm

  Haiza Aurat Ko Roze Ki Qaza Ka Huqm Hume Nabi Akram ﷺ ke paas haiz aata tha to aap hamein roze ki qaza ka huqm dete the. It was narrated that ‘Aisha R.A said: “We used to menstruate at the time of the Prophet (ﷺ), and he would order us to make up for the (missed) fasts.’”  Ibne Maja 1670, Sahih

Ye Kalimat Samundar Ke Jhaag Ke Barabar Bhi Gunah Mauf Karwadenge

  Ye Kalimat Samundar Ke Jhaag Ke Barabar Bhi Gunah Mauf Karwadenge RASULULLAH ﷺ ne farmaya Jisne Ek din me 100 martaba (سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ)’ kaha uske Gunaah mauf kar diye jayege chahe wo samundra ke jhaag ke barabar hi kyo na ho. The Prophet (ﷺ), that he said: “Whoever says: (Subḥān Allāh, wa biḥamdih) ’ a hundred times, his sins are forgiven, even if they were more than the foam of the sea.”  Tirmazi 3468, Sahih

Qayamat ke Din Is amal Ko Sabse Accha Amal Mana Jayega

  Qayamat ke Din Is amal Ko Sabse Accha Amal Mana Jayega Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”jo shakhs subah o shaam mein so ( so ) martaba :  « سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ » kahe qayamat ke din koi shakhs us se accha amal le kar nahi aayega, siwaye us shakhs ke jis ne wohi kaha ho jo is ne kaha hai ya is se bhi ziyada us ne yeh dua parhi ho“ .  The Prophet (ﷺ) said: “Whoever says in the morning and in the evening ‘Glory is to Allah and with His Praise (Subḥān Allāh, wa biḥamdih)’ a hundred times, none shall bring better than him on the Day of Judgment except one who did the same as him, or increased upon it. Tirmazi 3469,Sahih

Jisne Ye Kalimat Kahe 100 Nekiya Likhi Jayengi Or 100 Buraiya Mita di Jayengi

 Jisne Ye Kalimat Kahe 100 Nekiya Likhi Jayengi Or 100 Buraiya Mita di Jayengi RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Jis ne ek din mein so baar kaha :  « لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ »  to us ko das ghulam azad karne ka sawab ho ga, aur is ke liye so nekiya likhi jayengi, aur us ki so buraiyan mita di jayen gi, aur yeh cheez uske liye shaam taq shetan ke shar se bachao ka zareya ban jayegi, aur qayamat ke din koi us se accha amal le kar nahaeyga siwaye us shakhs ke jis ne yahi amal is shakhs se Ziyada kiya hoga.  Abu Hurairah narrates that: The Mesenger of ALLAH (ﷺ) said: “Whoever says: ‘There is none worthy of worship except Allah, Alone, without partner, to Him belongs all that exists and to Him belongs the praise, He gives life and causes death, and He is Powerful over all things, (Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu, yuḥyī wa yumītu,...

Ye Kalimat Padne Pr Jannat Me Khajoor Ka Darakht Lagaya Jayega

 Ye Kalimat Padne Pr Jannat Me Khajoor Ka Darakht Lagaya Jayega Nabi Akram ﷺ ne farmaya : ”Jo shakhs :    « سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِحَمْدِهِ »  kahega us ke liye jannat mein khajoor ka ek darakht lagaya jaye ga“ . The Prophet (ﷺ) said: “Whoever says: ‘Glory is to ALLAH, the Magnificent, and with His Praise (Subḥān Allāhil-Aẓīm, wa biḥamdih)’ a date-palm tree is planted for him in Paradise.”  Tirmazi 3465 , Sahih

Tumhe Tumhara Hisab Dena Hai Or Baap Dada Ko Unka

 Tumhe Tumhara Hisab Dena Hai Or Baap Dada Ko Unka Aye logo jo imaan laye ho, apni fikar karo, kisi dusre ki gumrahi se tumhara kuch nahi bigadhta agar tum khud rah e raast par ho, ALLAH ki taraf tum sab ko palat kar jana hai, phir woh tumhe bta dega ke tum kya karte rahe ho . O you who have believed, upon you is [responsibility for] yourselves. Those who have gone astray will not harm you when you have been guided. To ALLAH is you return all together; then He will inform you of what you used to do.  Surah Maeeda 105

Kya Log Apne Baap Dada Ki Taqleed Kare Jayege Chahe Wo Galat Ho.?

 Kya Log Apne Baap Dada Ki Taqleed Kare Jayege Chahe Wo Galat Ho.? Aur jab un se kaha jata hai ke aao is qanoon ki taraf jo ALLAH ne nazil kiya hai aur ao pegambar ki taraf to woh jawab dete hain ke hamare liye to bas wohi tareeqa kaafi hai jis par hum ne apne baap dada ko paya hai. kya yeh baap dada hi ki taqleed kiye chale jaenge khuwa woh kuch na jante ho aur sahih rasta ki unhe khabar hi nah ho ? And when it is said to them, "Come to what Allah has revealed and to the Messenger," they say, "Sufficient for us is that upon which we found our fathers." Even though their fathers knew nothing, nor were they guided?  Surah Maeeda 104

ALLAH ka Ghussa Or Rahmat

 ALLAH ka Ghussa Or Rahmat Khabardaar ho jao! ALLAH saza dene mein bhi sakht hai aur is ke sath bohat dar guzar aur reham bhi karne wala hai . Know that ALLAH is severe in penalty and that ALLAH is Forgiving and Merciful. SURAH MAEEDA 98

Roze Chodhne Ka Fidya

 Roze Chodhne Ka Fidya Aye logo jo imaan laaye ho, tum par rozay farz kar diye gaye, jis tarha tum se pehlay ambia par farz kiye gaye thay. is se tawaqqa hai ke tum mein taqwa ki sift peda hogi c  chand muqarrar  dinon ke rozay hain. agar tum mein se koi bemaar ho, ya safar par ho to dusre dino mein itni hi tadaad poori kar le. aur jo log roza rakhne ki qudrat rakhte ho phir nah rakhe to woh Fidya de. Ek roze ka Fidya ek maskeen ko khana khilana hai aur jo apni khushi se Kare, to yeh isi ke liye behtar hai. lekin agar tum samjhoo, to tumhare haq mein acha yahi hai ke tum roza rakho . O you who have believed, decreed upon you is fasting as it was decreed upon those before you that you may become righteous [Fasting for] a limited number of days. So whoever among you is ill or on a journey [during them] - then an equal number of days [are to be made up]. And upon those who are able [to fast, but with hardship] - a ransom [as substitute] of feeding a poor person [each day]. A...

Aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega

Aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega Us waqt woh log jinhone imaan lakar naik amal ikhtiyar kya hai apne ajr pure pure payenge aur ALLAH apne fazl se un ko mazeed ajar ataa farmaegaa, aur jin logo ne bandagi ko bura samjha aur taqabbur kiya hai un ko ALLAH dard naak saza dega aur ALLAH ke siwa jin jin ki sarparasti o madadgari par woh bharosa rakhtay hain un mein se kisi ko bhi woh waha nahi payenge . And as for those who believed and did righteous deeds, He will give them in full their rewards and grant them extra from His bounty. But as for those who disdained and were arrogant, He will punish them with a painful punishment, and they will not find for themselves besides Allah any protector or helper.  Surah Nissa 173

Apne Maa Baap Ko Gali Dena Kabirah Gunaho Mese Hai

 Apne Maa Baap Ko Gali Dena Kabirah Gunaho Mese Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”apne maa baap ko gaali dena kabira gunaho mein se hai “, sahaba ne arz kya : ALLAH ke RASUL! bhala koi aadmi apne maa baap ko bhi gaali dega? aap ne farmaya : ”han, woh kisi ke baap ko gaali dega, to woh bhi us ke baap ko gaali dega, aur woh kisi ki maa ko gaali dega, to woh bhi us ki maa ko gaali dega“ .  The Messenger of ALLAH said: It is among the greatest of sins that a man should curse his parents. They said: O Messenger of ALLAH! Does a man curse his parents? He said: Yes. He verbally abuses the father of a man, who in turn, verbally abuses his father, and he (retaliates and) curses his mother , so he curses his mother.  Tirmazi 1902 ,Sahih

15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain:

  15th Shabaan-ul-Mo'azam ki raat se related kuch be-buniyaad aur ghalat aqaid aur batain: • Is raat murdon (dead bodies) ki roohain apni families se milne ke liye aati hain. Kiya unho-ne nahi dekha ke unse pehle hum kitni qaumo ko is tarah halak kar chuke hain ke woh unke pas loat kar nahi aate (Surah Yaaseen# 31) • Is raat me Allah tala asmaan e duniya me aate aur apne bando par khusoosi (specially) taur par mutawaj’ja (attentive) hote hain. Rasool Muhammad ne farmaya, har raat jab aakhri tihayi (last third) raat baqi reh jaati hai tou hamara Rab tabarak o ta’la asmaan e duniya par nazool farmata hai (jaise uske shaan ke laiq) aur pouchta, hai koi jo mujh se duwa kare, main uski duwa qabool karun, koi hai j mujh se maange, main usay ata karun aur koi hai jo mujh se maghfirat talab kare tou main usay bakhsh dun. (Mishkat-ul-Masabeeh# 1223) Is raat me Insan ke mazboot f aisle yani rizq, maut, umar ka waqt  dia jata hai.  Yeh saare ma'mlaat Shab-e-Qadar  me kiye jate...

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

  SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR. Introduction : 15th Shabaan ki raat jis ko aam taur se public me Shab-e-Barat kaha jata hai, jis ki meaning Mubarak wali raat yah bakhshish wali raat se famous hai, jab ke Shab-e-Barat ka Islam me koi bhi concept hi nahi hai. Halanke Jumle Shab-e-Barat me lafz Barat (بَرآءت) ki meaning bhi public ko misconcept hai, iski actual meaning hai “chutkara/ la-ta'taluq (disassociation)/bezaari” jaise Eid-ul-Fitr yani Fitra dene wali Eid, jaise Eid-ul-A'dha yani Zibha karne wali Eid theek waise hi Shab-e-Barat yani Bezaari yah La-Ta'luqi yah Chutkara paane wali raat. Meanings ke hawale se daleel,   بَرَآءَۃٌ  مِّنَ اللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖۤ Allah aur uske Rasool ki taraf se Bezaari ka ailaan hai. (Surah Tawba# 01) Behar-haal, public me Shab-e-Barat se related 5 ahadees aur kuch misconceptions famous hain, jo sanad ke aitibar se ZAEEF aur MANGHARAT ahadees hain. HADEES# 01: Hazrat Ayesha (r.a) bayan karti hain, maine aik raat Rasool Muhammadﷺ ko (bist...