Posts

Showing posts from 2020

Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Why should you be using porn blockers?

Why should you be using porn blockers ? Because it’s really hard to quit porn when it’s just a click away. There will be times when willpower will fail you. Say for example, you were very tired or had poor sleep one day. What if you were having a bad day and you're thinking that watching porn might be a good idea? We know very little about willpower. But we now know that the prefrontal cortex of the brain is primarily responsible for willpower. So what damages your prefrontal cortex? 1-Not getting enough sleep. 2-Chronic stress 3-Masturbating to porn.(Most importantly) That’s why when you relapse once, it becomes easier to relapse again and it becomes much harder to control yourself as you have temporarily damaged your prefrontal cortex. You have probably read this on YBOP, that masturbating to porn decreases the grey matter in your prefrontal cortex. Grey matter represents the cell bodies in the brain. So porn literally kills your prefrontal cortex where your willpower lives. What...

Ek Tajir Jo logo Ka Karz ALLAH ke liye darguzar karta tha

 Ek Tajir Jo logo Ka Karz ALLAH ke liye darguzar karta tha Nabi Kareem ﷺ ne farmaya, ek tajir logo ko qarz diya karta tha jab kisi tang dast ko dekhta to apne nokro se keh deta ke is se dar guzar kar jao. shayad ke ALLAH TA'ALA bhi hum se ( akhirat mein ) dar guzar farmaye. chunancha ALLAH TA'ALA ne ( uske marne ke baad ) usko bakhash diya The Prophet said, There was a merchant who used to lend the people, whenever his debtor was in straitened circumstances, he would say to his employees, 'Forgive him so that ALLAH may forgive us.' So, ALLAH forgave him.  Sahih Bukhari 2078 , Sahih Karz qarz  karza qarza

Logo Par Esa Zamana Aayegaa Insan Halal Haram Ki Parwah Nahi Karega.

 Logo Par Esa Zamana Aayegaa Insan Halal Haram Ki Parwah Nahi Karega. Nabi Kareem ﷺ ne farmaya logo par ek aisa zamana aaye ga ke insan koi parwah nahi karega ke jo is ne hasil kiya hai woh halal se hai ya haram se hai. The Prophet said, A time will come when one will not care how one gains one's money, legally or illegally.  Sahih Bukhari 2059 , Sahih

Jab Koi Gosh Laye Or Pata Na Ho ALLAH ka Naam Zibah Ke Waqt Liya Tha Ya Nahi

Jab Koi Gosh Laye Or Pata Na Ho ALLAH ka Naam Zibah Ke Waqt Liya Tha Ya Nahi Kuch logon ne arz kya ya RASULULLAH ! bohat se log humare yahan gosht laate hain. hamein yeh maloom nahi ke ALLAH ka naam unhone zibah ke waqt liya tha ya nahi? is par RASULULLAH ﷺ ne farmaya ke tum bismillah padh ke usay kha liya karo .   Narrated `Aisha: Some people said, O ALLAH'S Apostle! Meat is brought to us by some people and we are not sure whether the name of Allah has been mentioned on it or not (at the time of slaughtering the animals). ALLAH'S Apostle said (to them), Mention the name of ALLAH and eat it.  Sahih Bukhari 2057,Sahih

Aurat Aurat se badan nah chipkaye

Aurat Aurat se badan nah chipkaye RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Aurat-Aurat se badan nah chipkaye woh apne shohar se uske bare mein is trah bayan kare goya uska shohar usay dekh raha hai.  The Messenger of ALLAH ﷺ as saying “ A woman should not rub her body directly with the body of another woman so that she describes it to her husband as if he were looking at her. ”  Abu Dawood 2150 , Sahih

Jo Zeher Piyega Hamesha Jahannum Mein Padha Rahega

  Jo Zeher Piyega Hamesha Jahannum Mein Padha Rahega RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jo Zeher piyega to qayamat ke din woh zeher Uske haath mein ho ga aur usay jahannum mein piya karega aur hamesha Hamesha usi mein padha rahega kabhi bahar na aa sakega . The Messenger of ALLAH ﷺ as saying: If anyone drinks poison, the poison will be in his hand (on the Day of Judgement) and he will drink it in Hell-fire and he will live in it eternally.  Abu Dawood 3872 ,Sahih

Jab Tak Dusre Shaks Ki Baat Na Sunlo Pehle Ke Haq Me Fesla Na Sunao

  Jab Tak Dusre Shaks Ki Baat Na Sunlo Pehle Ke Haq Me Fesla Na Sunao Mujh Se RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Jab tumhare paas do aadmi faisle ke liye aaye to tum pehle ke haq mein faisla nah karo jab tak ke dusre ki baat nah sun lo . anqareeb tum jaan loge ke tum kese faisla kro“. Ali Razi Allah Anho kehte hain : Is ke baad mein barabar faisle karta raha . The Messenger of ALLAH (ﷺ) said to me: 'When two men come to you seeking judgement, do not judge for the first until you have heard the statement of the other. Soon you will know how to judge.' 'Ali R.A said: I did not err since then. Tirmazi 1331 , Sahih

ALLAH Ne Humare Dil Ke Khayal Ko Mauf Kar Jab Tak Hum Use Kar Na Le

ALLAH Ne Humare Dil Ke Khayal Ko Mauf Kar Jab Tak Hum Use Kar Na Le RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”ALLAH TA'ALA ne meri ummat ke khayalat ko jo dil mein aate hain maaf farma diya hai jab tak ke woh unhe zaban se ada nah kare, ya un par amal nah kare “. The Messenger of Allah said: Allah has permitted my Ummah what occurs in their mines, as long as it is not spoken or acted upon.  Tirmazi 1183 , Sahih Explanation :- Ye Hadees Tirmazi Ke Divorce wale chapter me aayi heto lihaza isse ye b bat hui ke mard jab tak aurat ko muh se talaq na de talaq nahi hogi , Lekin Dusri hadees ke mutabik (Mishkat 3284) agar mazak me bhi mard aurat ko talaq deta heto wo talaq hogi

RASULULLAH ﷺ Ne Farmaya In Do Qabr Walo ko Chote Gunaho ki Wajah Se Azab Diya Jaa Raha Hai

RASULULLAH ﷺ Ne Farmaya In Do Qabr Walo ko Chote Gunaho ki Wajah Se Azab Diya Jaa Raha Hai Nabi akram ﷺ ka guzar do qabro ke paas se hua to aap ne farmaya : ”In dono qabar walo ko azaab diye ja rahe hain, aur kisi badhi chiz mein azaab nahi diye ja rahe ( ke jis se bachna mushkil hota ) raha yeh to yeh apne pishaab se bchta nahi tha aur raha yeh to yeh chughli kiya karta tha“ . The Prophet passed by two graves. He said: 'These two are being punished. And they are not being punished for something major. As for this one, he would not protect himself from his urine. As for this one, he used to spread Namimah (slander).'  Tirmazi 70 , Sahih

Jab Tum Mein Se Koi Dua Kare To Yu Na Kahe

Jab Tum Mein Se Koi Dua Kare To Yu Na Kahe RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' jab tum mein se koi dua kare to yu nah kahe : Aye ALLAH ! agar to chahay to mujhe bakhash de, agar tu chahay to mujh par reham farma, agar tu chahay to mujhe rizaq ataa farma, balke usay chahiye ke woh pure azm ke sath dua kare, kyonke woh jese chahe karta hai, usay koi majboor karne wala nahi The Messenger of ALLAH ﷺ said: “When one of you prays, do not say: O ALLAH! Forgive me if you wish, have mercy on me if you wish, grant me sustenance if you wish, but let him pray with full determination, for he does as he pleases, there is no one to compel him. Mishkat 2225 , Sahih

Fitne Ke ( Zamane ) Mein Ibadat Karna

  Fitne Ke ( Zamane ) Mein Ibadat Karna RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Fitne ke ( zamane ) mein ibadat karna meri taraf hijrat karne ki tarha hai.' ' The Prophet ﷺ said: “Worshiping in the time of fitnah is like migrating to me.”  Mishkat 5391 , Sahih

Jis Shakhs Ne Ek Cheez Do Admio Ke Hath Bechi

Jis Shakhs Ne Ek Cheez Do Admio Ke Hath Bechi Nabi Akram ﷺ ne farmaya : Jis shakhs ne ek cheez do admio ke hath bechi, to jis ke haath pehle bechi us ko woh cheez mile gi . The Messenger of ALLAH (ﷺ) said: Any man who sells to two men, it is for the one who was first.   Ibne Maja 2190 , Sahih
𝗗𝘂𝗻𝗶𝘆𝗮 𝗸𝗶 𝗳𝗶𝗸𝗮𝗿 𝗺𝗮𝘁 𝗸𝗮𝗿𝗼 𝗸𝗼𝗶 𝗤𝗮𝗯𝗮𝗿 𝗺𝗮𝗶𝗻 𝗮 𝗸𝗮𝗿 𝘁𝘂𝗺𝗵𝗮𝗿𝗮 𝗵𝗶𝘀𝗮𝗮𝗯 𝗻𝗮𝗵𝗶 𝗱𝗲 𝗴𝗮.💯
Rab se mang kr nahi rote. Rab se roo roo kr mangte hain❤️
Bar bar awaaz de kar bulany say behtar hai k khamosh hojao, agar tum zarori howe to wo khud ayen gay.
 ALLAH ko nadamat ky aansu bohot pasand hain. Wo bohot khush hota hai jab uska banda uske pas wapas laut aata hai❤✨
 ALLAH ne kch logon k dilo ko badha sakht bnaya hota h,un se dusro ki khushya, dusro ka hsna brdasht ni hota, apni mehrumyo ka badla wo dusro ko jali kati suna ke lete h, or ese log kisi k nahi hote i repeat kisi k nai hote.
Insan Ka Muqadar Utni Baar Badalta Hai Jitni Baar Woh ALLAH Se DUA Karta Hai❤
 Beti ke zariye agar jannat pana chahte hoto, tarbiyat bhi wesi hi do.😊
Apne dosto ko naseehat akele mein karo, aur unki tareef sab ke saamne.💕
Jb Parda sirf ALLAH ke liye hota hai to , Shadiyo or mehfilo me b nahi utarta hai🌹
Hayaa nahi hai zamaane ki aankh me baaqi.  Khuda kre javani rahe teri bedaag.

Agar Haiz Ka Khoon Kapdhe Par Lag Jaye

  Agar Haiz Ka Khoon Kapdhe Par Lag Jaye Hazrat Asma' bint Abi Bakr Razi ALLAH Anha se riwayat hai ke ek aurat ne Nabi ﷺ se haiz ke khoon ke bare mein pucha jo kapdhe ko lag jaye to aap ne farmaya :' ' is ko ( kisi cheez se ) khurch do aur pani daal kar nakhuno se malo aur phir dho kar is mein namaz padh lo.' '  It was narrated from Asma' bint Abi Bakr that a woman asked the Messenger of ALLAH (ﷺ) about menstrual blood that gets on clothes. He said: Scratch it, then rub it with water, then sprinkle water over it, and pray in it.  Sunan Nasai 394 , Sahih

Sharmagaah Ko Daye Hath Se Na Pakdhe

 Sharmagaah Ko Daye Hath Se Na Pakdhe ALLAH ke RASUL ﷺ ne farmaya :' ' Jab tum mein se koi peshab kare to apni sharam gaah ko daye haath se nah pakde ۔‘‘  The Messenger of ALLAH (ﷺ said: When any one of you urinates, let him not hold his penis in his right hand.  Sunan Nasai 24 , Sahih

Jo Shaks Munch Na Kaate

Jo Shaks Munch Na Kaate Hazrat Zaid Ban Arqam Razi Allah Anho se riwayat hai, ALLAH ke RASUL ﷺ ne farmaya :' ' Jo shakhs apni munche na kate woh hum mein se nahi.'  It was narrated that Zaid bin Arqam said: The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Whoever does not trim his mustache, he is not from one of us.'  Sunan Nasai 13 , Sahih

Jab RASULULLAH ﷺ ghar me dakhil hote to sabse pehle konsa kaam karte

  Jab RASULULLAH ﷺ ghar me dakhil hote to sabse pehle konsa kaam karte Mein Ne Hazrat Aisha Razi Allah Anha se pucha ke Nabi ﷺ Jab ghar mein dakhil hote to sab se pehle kon sa kaam karte the? unhon ne farmaya : Miswak karte. I said to 'Aishah: 'What did the Prophet (ﷺ) start with when he entered his house?' She said: 'The Miswak.'  Sunan Nasai 8 , Sahih

ALLAH ne hum sabko apne aamal ka zimmedar bnaya hai

ALLAH ne hum sabko apne aamal ka zimmedar bnaya hai.... Islye kisi ke amaal par ungli uthaane ki bajaye.... Khud ke aamal pr dhyan dena chahiye.
 Quran bhatko ke lye hidayat hai. Mushkil me ghire logo k lye rehnumaa hai.... Naummedo ke lye umeed hai.  Aur ye saari nemate hasil karna tabhi mumkin hai....jab Quran ko padhe... Samjhe... Aur Amal kare.
𝗔𝘂𝗿 𝗔𝗹𝗹𝗮𝗵 𝗯𝗵𝗮𝗿 𝗱𝗲𝘁𝗮 𝗵𝗮𝗶 𝘄𝗼𝗵 𝘇𝗮𝗸𝗵𝗮𝗺 𝗯𝗵𝗶 𝗷𝗼 𝗸𝗮𝗯𝗵𝗶 𝗯𝗵𝗮𝗿𝗻𝗲 𝘄𝗮𝗹𝗲 𝗻𝗮𝗵𝗶 𝗵𝗼𝘁𝘆.💕

Kisi bhi neki ko mamuli mat samjhe

Kisi bhi neki ko mamuli mat samjhe, shayad wahi neki aapki magfirat ka wasila ban jaye.
𝗔𝘂𝗿 𝗔𝗹𝗹𝗮𝗵 𝗠𝗼𝗮𝗷𝘇𝗲𝘆 𝗞𝗮𝗿𝗻𝗲 𝗣𝗮𝗿 𝗔𝘆𝗲 𝗧𝗼𝗵 𝗔𝗱𝗵𝗼𝗿𝗲𝘆 𝗤𝗶𝘀𝘀𝗲𝘆 𝗯𝗵𝗶 𝗽𝗼𝗿𝗲𝘆 𝗸𝗮𝗿 𝗱𝗲𝘁𝗮 𝗵𝗮𝗶.💓

Things to remember when going through hard times

▪️Everything can & will change. ▪️Not getting what you want can be a blessing. ▪️It's a learning experience. ▪️Other peoples negativity isn't worth worrying about. ▪️There's something inside you that's greater than any obstacle.
"Whoever guides someone to goodness will have a similar reward." - Prophet Muhammad (ﷺ) (Sahih Muslim)
Ahl-e-Bait or Sahaba se Muhabbat karna kisi Shia, Sunni, Wahabi ya Diyo-Bndi ki jageer nahi hai yai Muhabbat tu Imaan ka Hissa hai❤️
Jinhe Ibrahim (AS) ny manga unhe MUHAMMAD ﷺ kehte he, Jinhe MUHAMMAD ﷺ ne manga unhe Umar bin khattab kehte hei. 🌸
 Jab Bahut Musibate aane ke baad tumhe Sabr Karna aajata he, To samjhao Rab tumhe tham chuka hai. إِنَّ اللّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ
Jo Hajat-mand khud ho wo Hajat-Rawa nahi hota Jisko khud takleef aaye wo mushkil-Kusha nahi hota🔥
Jab tm ALLAH ki chahat ko qabool krlogy , phr wo tumhari chahat par raazi hojaye ga!❤️🥀
Dukh, Dard, Takleef, ALLAH ki narazgi hoti tou Nabiyon ko kabhi naa milti. Ye naimat hai jo insaan ko ALLAH ka raasta batati hai.♥✨
Sajdon se talluq banaye rkhe Jawani bar bar nahi milti.
ALLAH per bharosa rakho us bache ki tarha jisko agar hawa mein uchalo to hansta hai darta nahi kyun ky wo janta hai mujhe piyar karne wala kabhi girne nahi dega.♥😭
Apny rab se manga kro  Kiun k wo na zaat dekhta hai Na  Aukat 😊😊❤💓
Aur kiya pta ALLAH ko tumhara sabr itna pasand a jaye k Wo tmhri mangi hui hr dua py kun keh dy ❤❤❤😍😍😇
Beti ka pehla Haq jo aksar Log kha jate hain Wo uski Paidaish ki Khushi hai🥀
Hum apne rab ki hikmat kabi nahi samjh sakte, woh azmata ha, akhri had tk le jata ha, phir 1 dum se kuch esa krdeta ha keh tamam zakhm ek sath bhar jate hein!! ❤️
Hum majboor ho kr bhi uski nahi mante, Woh ba-ikhtiyar ho kr bhi hmari man jata ha!! 🌸
 Jitna mil jay qabool kr lena chahiy hoskta ha yeh b hmari aukaat se zyda ho hum to gunnahgar bnde hein lekin uska fzal hr waqt hmare gunnah chupata ha!! 🌸
 Sattar Maon Se Ziada Pyar Karny Wala Apka Naseeb Ghalat Nahi Likh Sakta  ❤️❤️😇

Anjane mein Chor, zinakar aur maaldar ko sadqa diya to bhi Qubul ho gaya

Anjane mein Chor, zinakar aur maaldar ko sadqa diya to bhi Qubul ho gaya Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki RASULULLAH ﷺ ne farmaya ki ek shakhs ne kaha ki mein aaj raat ko kuch sadqa doonga aur wo apna sadqa lekar nikla aur (anjane mein) ek ZINAKAR AURAT ke haath me de diya phir subah ko log charcha karne lage ki aaj raat ek shaksh zinakar ke haath mein sadqa de gaya,usne kaha Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain , mera sadqa zinakar ke hath me chala gaya. Aur phir usne kaha aaj aur sadqa dunga phir nikla aur ek MAALDAR ko de diya aur log subah ko charcha karne lage ki aaj koi maaldar ko sadqa de gaya usne kaha Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain mera sadqa maaldar ke hath me chala gaya. Teesri bar phir usne kaha ki sadqa dunga aur sadqa lekar nikla aur ek CHOR ke hath me de diya aur log subah ko charcha karne lage ki aaj koi chor ke haath me sadqa de gaya, usne kaha ki Ya ALLAH tamam taarif tere hi liye hain. Mera sadqa ( la ilmi mein) zinakar aurat, maaldar mard...

Agar shohar ghar par mojud hai to koi aurat uski ijazat ke bagair (nafli) Roza na rakhe

Agar shohar ghar par mojud hai to koi aurat uski ijazat ke bagair (nafli) Roza na rakhe RASULULLAH ﷺ ne farmaya agar shohar ghar par mojud hai to koi aurat uski ijazat ke bagair (nafli) Roza na rakhey  The Prophet ﷺ said, A woman should not fast (optional fasts) except with her husband's permission if he is at home (staying with her).  Sahih Bukhari 5192, Sahih

ALLAH Us Baligh Aurat Ki Namaz Qubul Nahi Karta

ALLAH Us Baligh Aurat Ki Namaz Qubul Nahi Karta Nabi Akram  ﷺ  ne farmaya : Baligah Aurat ki namaz baghair odhni ke ALLAH TA'ALA qubool nahi karta. The Prophet ‌ﷺ said: ALLAH does not accept the prayer of a woman who has reached puberty unless she wears a veil. Abu Dawood 641 , Sahih

ALLAH ki raah mein qatl hone ke alawa bhi shahadat 7 qism ki hoti hai

ALLAH ki raah mein qatl hone ke alawa bhi shahadat 7 qism ki hoti hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya ALLAH ki raah mein qatl hone ke alawa shahadat 7 qism ki hoti hai Taoon (plague/Virus) se mar jane wala shaheed hai, Pet ke marj se se mar jane wala bhi shaheed hai, Paani mein doob kar mar jane wala bhi shaheed hai, Kisi imaarat mein dab kar mar jane wala shaheed hai, Fefdo (lungs) ki beemari se mar jane wala bhi shaheed hai, Aag mein jal kar mar jane wala bhi shaheed hai, Jo aurat bachche ki wiladat ke waqt mar jaye wo bhi shaheed hai, The Messenger of ALLAH ﷺ said: Martyrdom is of seven types besides being killed for the sake of ALLAH. The one who dies of the plague is a martyr; the one who is crushed by a falling building is a martyr; the one who is crusheds by a falling building is a martyr; the one who dies of pleurisy is a martyr; the one who dies of pleurisy is a martyr; the one who is burned to death is a martyr, and the woman who dies in pregnancy is a martyr.  Sunan Nasaii, 18...
Dono surtein yakeen hi ki hain koi ALLAH ke liye sab chodh deta hai, koi ALLAH per sab chodh deta hai.❤🌸
𝐀𝐳𝐦𝐚𝐢𝐬𝐡 𝐭𝐨𝐡 𝐩𝐡𝐢𝐫 𝐦𝐚𝐧𝐧 𝐩𝐚𝐬𝐚𝐧𝐝 𝐜𝐡𝐞𝐞𝐳𝐨𝐧 𝐬𝐞 𝐡𝐢 𝐬𝐡𝐮𝐫𝐮 𝐡𝐨𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢.💯
Agar Chahte Ho Pulsirat Par Bijli ki Tezi Se Chalna. To Pehle Duniya Me Sirate Mustaqeem Par Chalna Sikhna Sikho.
 Kara he Zikr Quran me ALLAH ne Jis Sirate Mustaqeem Ka. Wo RASULULLAH ka tarika hito hai.
Wo dhero dafa farmata hai tum mujh se mango me dunga aur me hi zariya banaunga aur phir me hi wasila banaunga apne hi kisi bande kai hath me tumhara rizq dunga . Afsos tum phir bhi shirkiya naro se baz nahe ate.
Us se mango jis se humare NABI MUHAMMAD ﷺ mangte the!! 🌸
 Hum fani muhabbaton ke piche bhaag kr jb thak jate hein tb yaad ati ha: "ALLAH aur uski muhabbat"
Haya dar aur ba-kirdar hona mard par bhi utna hi lazim hai jitna aurto pr.

Jo shaks(Roze ki halat me) jhooth bolna,

𝗝𝗼 𝗦𝗵𝗮𝗸𝘀(𝗿𝗼𝘇𝗲 𝗞𝗶 𝗛𝗮𝗹𝗮𝘁 𝗠𝗲) 𝗝𝗵𝗼𝗼𝘁𝗵 𝗕𝗼𝗹𝗻𝗮 𝗢𝗿 𝗕𝘂𝗿𝗲 𝗔𝗺𝗮𝗮𝗹 𝗞𝗮𝗿𝗻𝗮 𝗡𝗮𝗵𝗶 𝗖𝗵𝗼𝗱𝗵𝗲 RASULULLAH ﷺ ne Farmaya : Jo shaks(Roze ki halat me) jhooth bolna, aur bure amaal karna nahi chodhe to ALLAH TA'ALA ko haajat nahi ke wo apna khana pina chodhh de.  The Messenger of ALLAH ﷺ ‌as saying: If anyone does not abandon falsehood and action is accordance with it, Allah has no need that he should abandon his food and drink. Sunan abu dawood 2362

Kisi bhi naiki ko mamooli mat samjhe

Kisi bhi naiki ko mamooli mat samjhein, shayad wahi naiki aapki maghfirat ka waseela ban jaye.

Qayamat ke din pehla Sawal Namaz ka hoga..

 Pani or Namaz Ek Jaise hai pani mohtaj nahi pine walo ka or Namaz b mohtaj nahi padne walo ki dono ke lye piyas zaruri hai jism ki piyas ke liye Pani or Rooh ki Piyas ke lye Namaz, Qayamat ke din pehla Sawal Namaz ka hoga..  ALLAH TA'ALA hum sab ki rooh ko hmesha namaz ka talabgar rakhe.  AAMEEN.

Dua Mango Or Sabr Karo

Agar ALLAH pak tumari duaaye poori kar raha hai toh wo tumara yaqeen badha raha hai, Agar duaaye poori karne mee dair kar raha hai toh tumara sabar badha raha hai, Agar tumari duaa'on ka jawaab nahi deraha too wo tumhe azmaa raha hai, isliye hamesha duaa mangte raho.❤️

In logon ney ALLAH ke siwa jinhe apne mabood thera rakhay hain

In logon ney ALLAH ke siwa jinhe apne mabood thera rakhay hain Inn logon ney ALLAH kay siwa jinhen apne mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara ji uthney kay woh malik hain. But they have taken besides Him gods which create nothing, while they are created, and possess not for themselves any harm or benefit and possess not [power to cause] death or life or resurrection.  Surah Furqan 3

𝗔𝗴𝗮𝗿 𝗔𝗹𝗹𝗮𝗵 𝗻𝗲 𝘄𝗼𝗵 𝗹𝗲 𝗹𝗶𝗮 𝗷𝗶𝘀𝘆 𝗸𝗵𝗼𝗻𝗲 𝗸𝗮 𝘁𝘂𝗺 𝘀𝗼𝗰𝗵 𝗯𝗵𝗶 𝗻𝗮𝗵𝗶 𝘀𝗮𝗸𝘁𝘆 𝘁𝗵𝗲,

 𝗔𝗴𝗮𝗿 𝗔𝗹𝗹𝗮𝗵 𝗻𝗲 𝘄𝗼𝗵 𝗹𝗲 𝗹𝗶𝗮 𝗷𝗶𝘀𝘆 𝗸𝗵𝗼𝗻𝗲 𝗸𝗮 𝘁𝘂𝗺 𝘀𝗼𝗰𝗵 𝗯𝗵𝗶 𝗻𝗮𝗵𝗶 𝘀𝗮𝗸𝘁𝘆 𝘁𝗵𝗲, 𝗧𝗼𝗵 𝘆𝗮𝗾𝗲𝗲𝗻𝗮𝗻 𝘄𝗼𝗵 𝗸𝘂𝗰𝗵 𝗲𝘀𝗮 𝗱𝗲𝗶𝗻 𝗴𝗮𝘆 𝗷𝗶𝘀𝗲 𝗽𝗮𝗮𝗻𝗲 𝗸𝗮 𝘁𝘂𝗺 𝗻𝗲 𝘀𝗼𝗰𝗵𝗮 𝗯𝗵𝗶 𝗻𝗮 𝗵𝗼.💯

Agar iltijaein rad honi hotin to

Agar iltijaein rad honi hotin to ALLAH pak yeh kabhi naa farmata ky mujhse mango, mein dunga.❤

Sab k samne rone Se behtar hai

Sab k samne rone Se behtar hai khuda k agay roo liya jae. Mushkilat asan hojati hain.

𝙅𝙤 𝙘𝙝𝙚𝙚𝙯 𝙩𝙪𝙢𝙝𝙚𝙞𝙣 𝘼𝙇𝙇𝘼𝙃 𝙠 𝙨𝙞𝙬𝙖 𝙠𝙤𝙞 𝙣𝙝𝙞 𝙙𝙚 𝙨𝙠𝙩𝙖,

𝙅𝙤 𝙘𝙝𝙚𝙚𝙯 𝙩𝙪𝙢𝙝𝙚𝙞𝙣 𝘼𝙇𝙇𝘼𝙃 𝙠 𝙨𝙞𝙬𝙖 𝙠𝙤𝙞 𝙣𝙝𝙞 𝙙𝙚 𝙨𝙠𝙩𝙖, 𝙐𝙨𝙚𝙚 𝙥𝙝𝙞𝙧 𝙞𝙣𝙨𝙖𝙣𝙤 𝙨𝙚 𝙠𝙮𝙪 𝙢𝙖𝙣𝙜𝙩𝙚 𝙝𝙤 ?

Jab humare dukh had sy badh jate hain

 Jab humare dukh had sy badh jate hain toh humari baat isi baat py khatam hoti hai " ALLAH hena wo sab thik karde ga "

Tum kon ho aur kia ho

 Tum kon ho aur kia ho yeh ALLAH ke siwa koi nahi janta, Phir kyo tum logo ki bato ko dil se lgate ho?

ALLAH tumhare dil se bhi zyada qareeb hai

  ALLAH tumhare dil se bhi zyada qareeb hai Aur tum rone k liye kandha dhundte ho! :)🖤

Jis mard ko ALLAH ka khauf ho

Jis mard ko ALLAH ka khauf ho Us mard se kisi Ladhki ko khof nhi ho sakta ❤️💯

Wo aurat jannati hai jismein ye char khubiyan ho

Wo aurat jannati hai jismein ye char khubiyan ho RASULULLAH ﷺ ne farmaya jo aurat panch (5) namazein padhti ho, Ramadan ke roze rakhti ho, apni sharamgah ki hifazat karti ho aur apne khawind ki itaat karti ho to usay kaha jaega ke jannat mein jis darwaze se chahati hai dakhil ho jaa. RASULULLAH ﷺ  said If a woman prays her five prayers, fasts her month of Ramadan, guards her chastity, and obeys her husband, she will enter Paradise from any gate she wishes. Musnad Ahmed - 7109-Sahih

Aurat Jab Apne Ghar Mein Ho To ALLAH Subhanahu Ke Bahut Nazdik Hoti Hai

Aurat Jab Apne Ghar Mein Ho To ALLAH Subhanahu Ke Bahut Nazdik Hoti Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya Aurat parda hai jab ye bahar nikalti hai to shaitan usay muzayyan (saja) kar ke dikhata hai aur jab ye apne ghar mein ho to Allah subhanahu ke bahut nazdik hoti hai RASULULLAH ﷺ said Woman is awrah (that which must be concealed), and when she goes out the Shaytaan’s hopes are raised. She is the more closer to Allah when she is in the inner part of her house. Al-Silsila-As-Sahiha - 2001

Jannati aur Dozakhi Aurat ki misal

  Jannati aur Dozakhi Aurat ki Misal Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RASULULLAH ﷺ ke samne ek shaksh ne ek aurat ka zikr kiya ki Ya RASULULLAH ﷺ falah aurat raat ko qayam karti hai aur din ko roza rakhti hai aur (ghar ka) kaam bhi karti hai aur sadqa bhi deti hai lekin apni zuban se padosiyo ko takleef deti hai to Aap ﷺ ne farmaya usmein koi khair nahi wo dozakh walon mein se hai. Phir us shakhs ne dusri aurat ke bare mein kaha ki falah aurat sirf farz namazein padhti hai aur (paneer ke tukde) sadqa karti hai lekin apni zuban se kisi bhi shakhs ko takleef nahi pahuchati to RASULULLAH ﷺ ne faraya ye jannat walo mein se hai Narrated by Abu Hurairah radi Allahu anhu said: A man said: O Messenger of Allah ﷺ, So and so (a woman) – prayed in night and fast in the days and do (house) work as well and also give charity – but she hurt her neighbours with her tongue. He ﷺ said: She will be among the people of Hell. That man again said: O Messenger of ALLAH ﷺ, So and so (anoth...

Neki Aur Gunah Kya Hai

  Neki Aur Gunah Kya Hai Mein ne RASULULLAH ﷺ  se neki aur gunah ke bare mein sawal kiya to aap ne farmaya : Neki acha Khalq hai, aur gunah woh hai jo tumahre dil mein khatke aur tum na-pasand karo ke logo ko is ka pata chale . I asked ALLAH'S Messenger ﷺ ‌  about virtue and vice. He said: Virtue is a kind disposition and vice is what rankles in your heart and that you disapprove that people should come to know of it Sahih Muslim 6516 , Sahih

Us shakhs Ke Liye Lazmi Tor Par Jannat Wajib Ho Jayegi

Us shakhs Ke Liye Lazmi Tor Par Jannat Wajib Ho Jayegi RASULULLAH ﷺ ne farmaya jis muslman ne kisi aise yateem bachche ko jiske maa aur baap dono ki wafat ho gayi ho ko apne khane pine mein apne sath rakha yaha tak ki ALLAH Subhanahu ne us yateem ko gani (self depend) Kar diya to us shakhs ke liye lazmi tor par Jannat wajib ho jayegi. RASULULLAH ﷺ said any muslim who feed such an orphan whose father and mother both died , until ALLAH makes him self depend , he will be granted Paradise for sure. Musnad Ahmed 9065 Sahih

Qayamat Ki Nishani

  Qayamat Ki Nishani Mein tum se ek aisi hadees bayan karta hu jo mere baad tum se koi nahi bayan karega, mein ne RASULULLAH ﷺ  ko yeh farmatay huwe suna ke alamaat qayamat mein se yeh hai ke ilm ( deen ) kam ho jayega. jahal zahir ho jaye ga. zina bakasrat ho ga. aurte badh jayen gi aur mard kam ho jayenge. hatta ke 50  aurto ka nigaran sirf ek mard reh jaye ga .۔  I will narrate to you a Hadith and none other than I will tell you about after it. I heard Allah's Apostle saying: From among the portents of the Hour are (the following): -1. Religious knowledge will decrease (by the death of religious learned men). -2. Religious ignorance will prevail. -3. There will be prevalence of open illegal sexual intercourse. -4. Women will increase in number and men will decrease in number so much so that fifty women will be looked after by one man.  Sahih Bukhari 81 , Sahih

Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain

Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain  Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon hain aur unn kay liye bara bhari azab hai. Indeed, those who [falsely] accuse chaste, unaware and believing women are cursed in this world and the Hereafter; and they will have a great punishment  Surah Noor 23

Aurat Zeb Zinat Ikhtyar karke Ger Mehram Ke Samne Na Jaye

Aurat Zeb Zinat Ikhtyar karke Ger Mehram Ke Samne Na Jaye  Jo aurat khubsurat libas pahen kar aur khusbhu lagakar kar bahar nikalti hai to ham ye nahi kahte ki uski niyat kharab hai lekin ye zarur hai ke us aurat ne mardo ki niyat me khalal dala hai.Jaha Allah Ta’ala mardo ko hukm dete hai ke apni nigahe nichi karo to dusri taraf aurato ko bhi hukm deta hai ke aurate aisa kam na kare ke jisse mard na chahte hue unki taraf mutawajjo(attract) ho jaye, aur aurat apne is amal se jane anjane me najane kitne mardo ko gunahgar bana deti hai.Jabki wo jism ki badbu us khushbu se lakh gunah achhi hai ke jis khushbu ko lagakar bahar jane pe Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne aurat ko zaniyah kaha. Aurat ke liye apne ghar me rahte hue khusbhu lagana jayez hai aur agar khushbu apne shauhar ko khush karne ke liye lagai jaye to ye mustahab hai kyunki ye shauhar ki behatareen ita’at me shamil hota hai. Lekin agar aurat khushbu laga kar bahar nikle ke usey ghair mehram aur ajnabi mard s...

Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aai hai

Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aai hai Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa mat kero tum log boht hi kum naseehat pakartay ho.  Follow, [O mankind], what has been revealed to you from your Lord and do not follow other than Him any allies. Little do you remember.  Surah Aeyraf 3

Maal Hote Huye Bhi Apne Rishtedaron Ki Madad Na Karne Ka Azab

Maal Hote Huye Bhi Apne Rishtedaron Ki Madad Na Karne Ka Azab Hadees: RASULULLAH (ﷺ) ne farmaya : “Koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur ALLAH Subhanahu ne usey jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurat se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal (bure Akhlakh / Kanjusi) se pesh aata hai to Qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shuja kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan me tauk bana kar dal diya jaega.” The Prophet ﷺ said: Every relative comes to one of his relatives and asks for bounty (excess) from what ALLAH has given him, and he is greedy. On the Day of Judgment, a snake called Shuja will be taken out of his birth. He must be blowing. He will be shackled around his neck. Silsila Tus Sahiha 168 , Sahih

Buri Nazar Lagne Se Insan Ki Maut Bhi Ho Jati Hai

Buri Nazar Lagne Se Insan Ki Maut Bhi Ho Jati Hai RASULULLAH (ﷺ) ne farmaya “Meri ummat ke aksar log jo ALLAH subhanahu ki kitab aur uske faisle aur uski taqdeer ke baad faut honge wo nazar lagne se honge.” The Prophet ﷺ said: Most of those who will die among my ummah are because of the will and decree of Allah, and then because of the evil eye. Silsila Tus Sahiha, 3238 , Sahih

RASULULLAH ﷺ Ne Jhuti Hadees Bayan Krne Wale Logo Se Dur Rehne K Liye Kaha

RASULULLAH ﷺ Ne Jhuti Hadees Bayan Krne Wale Logo Se Dur Rehne K Liye Kaha RASULULLAH ﷺ se riwayat ki ke aap ne farmaya :' ' Meri ummat ke aakhri zamane mein ese log hon ge jo tumhare samnr aisi hadees bayan karenge jo tum ne suni hongi na tumhare aaba ne, tum is kism ke logon se dur rehna. The Messenger of ALLAH, peace and blessings of ALLAH upon him, he said: ‘ There will be in the last of my nation a people narrating to you what you nor your fathers heard, so beware of them’.  Sahih Muslim 15 , Sahih

ALLAH Se Duaa

ALLAH Se Duaa Aap keh dijiye aye ALLAH ! aye tamam jahaan ke maalik! Tu jise chahe Badshahat de jise chahe Saltanat Chin le aur tu jise chahe izzat de aur jise chahe Zillat de, tere hi haath mein sab bhalai hai beshak tu har chiz pr Kadir hai.  Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.  Surah Imran 26.

Miswak Karna

Miswak Karna Nabi karem ﷺ ne farmaya : Ke agr mujhe apni Ummat ya Logo ki takleef ka khayal na hota to me har namaz ke lye un ko MISWAK ka hukm deta  Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, If I had not found it hard for my followers or the people, I would have ordered them to clean their teeth with Siwak for every prayer.  Sahih Bukhari 887

Jab Ajnabi Aurat Par Achanak Nazar Padh Jaye

Jab Ajnabi Aurat Par Achanak Nazar Padh Jaye Mene RASULALLAH ﷺ se (Ajnabee Aurat pr) achanak nazar padh jaane ke bare me pucha to aap ﷺ ne farmaya : tum apni nazar fer lo...  I asked the Messenger of Allah ﷺ about an accidental glance (on a woman). He ﷺ said “Turn your eyes away. ”  Abu Dawood 2148

Zindagi Dhoke Ka Saman Hai

  Zindagi Dhoke Ka Saman Hai khoob jaan lo ke yeh duniya ki zindagi is ke siwa kuch nahi ke aik khail aur dil lagi aur zahiri tip-taap aur tumhara aapas mein aik dusre par fakhr jatana aur maal o aulaad mein aik dusre se badh jane ki koshish karna hai. is ki misaal aisi hai jaisay aik barish ho gayi to is se peda honay wali nabataat ko dekh kar kaashtcar khush ho gaye. phir wohi khaiti pack jati hai aur tum dekhte ho ke woh zard ho gayi. phir woh bhus ban kar reh jati hai. is ke Baraks akhirat woh jagah hai jahan sakht azaab hai aur ALLAH ki mughfirat aur is ki khushnodi hai. duniya ki zindagi aik dhokay ki punji ke siwa kuch nahi.  Know that the life of this world is but amusement and diversion and adornment and boasting to one another and competition in increase of wealth and children - like the example of a rain whose [resulting] plant growth pleases the tillers; then it dries and you see it turned yellow; then it becomes [scattered] debris. And in the Hereafter is severe p...

Qabr Se Wapsi Ke Waqt Maiyat Ki Istagfar Ka Bayan

Qabr Se Wapsi Ke Waqt Maiyat Ki Istagfar Ka Bayan Nabi kareem ﷺ jab maiyat ke dafan se farigh hote to wahan kuch der rukte aur farmate : –Apne bhai ki maghfirat ki dua mango, aur is ke liye sabit qadam rehne ki dua karo, kyunke abhi is se sawal kiya jayega. The Prophet ﷺ became free from burying the dead, he used to stay at him (i. e. his grave) and say: Seek forgiveness for your brother, and beg steadfastness for him, for he will be questioned now. Abu Dawood 3221 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ke nazdeek nafrat ke layak kon hai

  RASULULLAH ﷺ ke nazdeek nafrat ke layak kon hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”Mere nazdeek tum mein se ( duniya mein ) sab se ziyada mehboob aur qayamat ke din mujh se sab se ziyada qareeb bethne walebwoh log hain jo tum mein behtareen ikhlaq wale hain, aur mere nazdeek tum mein ( duniya mein ) sab se ziyada qabil nafrat aur qayamat ke din mujh se dur bethne wale woh log hain jo batoni, bila ahtiyat bolne wale, zabaan daraaz aur taqqabur karne wale. The Messenger of ALLAH said: Indeed the most beloved among you to me, and the nearest to sit with me on the Day of Judgment is the best of you in character. And indeed, the most disliked among you to me, and the one sitting furthest from me on the Day of Judgement are the Thartharun, and the Mutashaddiqun and the Muthafaihiqun. They said: O Messenger of Allah! We know about the Thartharun, and the Mutashaddiqun, but what about the Muthafaihiqun? ' He said: The arrogant.  Tirmazi 2018 , Sahih

Jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to

Jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to RASULULLAH ﷺ ne farmaya jo shaks apne bister par aaya aur usne ye kaha to. RASULULLAH ﷺ said  Whoever goes to bed and says this words then he praised Allah with ALL praise of ALL creation. Alhamdu_lillahil-laziy Kafani Wa Awani, Alhamdu_lillahil-laziy At'amni wa saqani, Alhamdu_lillahil-laziy manna Alayya wa Afzal, Allahumma inni Asaluka Bi-izzatika An Tun_jiyani Minan Naar. Tamam tareefat us ALLAH ke liye hai jo mujhe kafi hua aur mujhe panah di, tamam tareefat us ALLAH ke liye jisne mujhe khilaya aur peelaya, tamam tareefat us ALLAH ke liye hai Jisne mujh par ehsan aur fazal kiya Eh ALLAH main teri izzat ka wasta de kar sawal karta hu ke tu mujhe aag se nijat de de._ All praises are due to ALLAH Who sustained me and gave me shelter. All praises are due to ALLAH Who gave me food and drink. All praises are due to ALLAH Who granted me His blessing and his grace. O Allah, I ask You by Your power to save me from the Hellfire. Silsila T...

ALLAH Bas Shirk Hi Ko Maaf Nahi Karta

  ALLAH Bas Shirk Hi Ko Maaf Nahi Karta ALLAH bas shirk hi ko maaf nahi karta, is ke siwa dusre jis qader gunah hain woh jis ke liye chahta hai maaf kar deta hai. ALLAH ke sath jis ne kisi aur ko shareek thahraya us ne to bohat hi badha jhoot racha aur badhe sakht gunah ki baat ki . Indeed, ALLAH does not forgive association with Him, but He forgives what is less than that for whom He wills. And he who associates others with Allah has certainly fabricated a tremendous sin.  Surah Nissa 48 Tafseer:- Yeh is liye farmaya ke ahal kitaab agarchay ambia aur aasmani kitab ki perwi ke mudai thay, magar shirk mein mubtala ho gaye the .

Hazrat Umar Ne Zyada Mehar Muqarrar Karne Ke Liye Mana Farmaya.

  Hazrat Umar Ne Zyada Mehar Muqarrar Karne Ke Liye Mana Farmaya. Umar bin khitaab Razi Allah Anho ne kaha : aurto ke mehar mehange nah karo, is liye ke agar yeh duniya mein izzat ki baat hoti ya ALLAH TA'ALA ke Yaha taqwa ki cheez hoti to uske ziyada haqdaar Mohammad ﷺ  hote, aap ﷺ ne apni biwion aur baityo mein se kisi ka mehar 12 uqiyyah se ziyada muqarrar nahi farmaya, aur mard apni biwi ke bhaari mehar se boujhal rehta hai yahan tak ke woh mehar is ke dil mein biwi se dushmani ka sabab ban jata hai, woh kehta hai ke mein ne tere liye takleef uthai.  “Umar bin Khattab said: 'Do not go to extremes with regard to the mehar of women, for if that were a sign of honor and dignity in this world or a sign of Taqwa before ALLAH, then Muhammad (ﷺ) would have done that before you. But he did not give any of his wives and none of his daughters were given more than twelve uqiyyah. A man may increase mehar until he feels resentment against her and says: “You cost me everything I o...

Qayamat Ki Nishani

 Qayamat Ki Nishani Nabi ﷺ ne farmaya :' ' Yeh qayamat ki nishani hai ke log masajid mein ek dusre par fakhr karenge.' The Prophet (ﷺ) said: One of the portents of the Hour will be that people will show off in building Masjids.    Sunan Nasai 690 , Sahih

Jo Insaan Quran Majeed Pdhta Hai Aur Haklata Hai

  Jo Insaan Quran Majeed Pdhta Hai Aur Haklata Hai RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Quran Majeed ka maahir quran likhne wale intehai Muaziz aur ALLAH TA'ALA ke farmabardar farishto ke sath hoga aur jo insaan quran majeed pdhta hai aur haklata hai. aur woh ( padhna ) us ke liye mashaqqat ka baais hai, is ke liye do ajar hain .     ALLAH'S Messenger ﷺ  (as saying): One who is proficient in the Qur'an is associated with the noble, upright, recording angels; and he who falters in it, and finds it difficult for him, will have a double reward. Sahih Muslim 1862 , Sahih

Jab kisi Musalman ki namaz e janaza 100 se zyada Musalman ne pdhi

  Jab kisi Musalman ki namaz e janaza 100 se zyada Musalman ne pdhi RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Koi bhi ( musalman ) marne wala jis ki namaz janaza  musalmano ki ek jamaat jin ki tadad 100 tak pohanchi ho ada kare woh sab uski sifarish kare to uske  bare mein unki sifarish qubool kar li jati hai . Allah's Apostle ( ‌ﷺ ) saying: If a company of Muslims numbering one hundred pray over a dead person, all of them interceding for him, their intercession for him will be accepted.  Sahih Muslim 2198 , Sahih

Jab do Musalman milte or musafah karte he

  Jab do Musalman milte or musafah karte he Jab do musalman apas mein mlite aur dono ek dusre se musafah karte hain to un dono ke el dusre se alehda hone se pehle hi un ki mughfirat ho jati hai . The Prophet ﷺ said: Two Muslims will not meet and shake hands having their sins forgiven them before they separate. Abu Dawood 5212 , Sahih

Jisne Bazaar Jate Waqt Ye Dua Padhi ALLAH TA'ALA us Ke Liye 10 Lakh Nekiya Likhta Hai Aur

    Jisne Bazaar Jate Waqt Ye Dua Padhi ALLAH TA'ALA us Ke Liye 10 Lakh Nekiya Likhta Hai Aur RASULULLAH ﷺ ne farmaya : ”jis ne bazaar mein daakhil hotay waqt yeh dua padhi :  To ALLAH TA'ALA us ke liye 10 lakh nekiya likhta hai aur is ki 10 lakh buraiya mita deta hai aur is ke 10 laakh darje buland farmata hai . The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Whoever enters the marketplace and says:  Allah shall record a million good deeds for him, wipe a million evil deeds away from him, and raise a million ranks for him. Tirmazi 3428 Sahih La_ilaha Illal_lahu Wahdahu Lasharika Lahu lahul mulku walahul hamdu yuhyi wa_yumitu wahuwa hayyun la_yamutu biyadihil_khairu wahuwa Ala kulli shay_in Qadir There is none worthy of worship except Allah, Alone, without partner, to Him belongs the dominion, and to Him is all the praise, He gives life and causes death, He is Living and does not die, in His Hand is the good, and He has power over all things, Nahi koi mabood barhaq hai magar ALLAH...

Dua Ibadat he or ibadat sirf ALLAH ke sath khas he

Dua Ibadat he or ibadat sirf ALLAH ke sath khas he . RASULULLAH ﷺ ne farmaya : beshak dua hi ibadat hai, phir aap ﷺ ne yeh aayat tilawat farmai :  (وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ)  Aur tumahre rab ne kaha : Dua karo ( mujhe pukaro ) mein tumhari dua qubool karunga.   Quran 40:60. It was narrated from Nu'man bin Bashir that : the Messenger of ALLAH ﷺ said: Indeed the supplication is the worship. Then he recited: And your Lord said: Invoke Me, I will respond to you.  Quran 40:60 Ibne maja 3828, Sahih

RASULULLAH ﷺ Ki Perwi

  RASULULLAH ﷺ Ki Perwi Aye nabi! logo se keh do ke agar tum haqiqat mein ALLAH se mohabbat rakhte ho, to meri perwi ikhtiyar karo, ALLAH tum se mohabbat karega aur tumhari khatao ko dar guzar farmayega. woh badha maaf karne wala aur Raheem hai . Say, [O Muhammad], "If you should love Allah , then follow me, [so] Allah will love you and forgive you your sins. And Allah is Forgiving and Merciful."  Surah Imran 31

Jab Tumhari Aulad 7 Saal Ki Hojaye

  Jab Tumhari Aulad 7 Saal Ki Hojaye RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Jab tumhari aulad 7 saal ki hojaye to unhe namaz padhne ka hukm do, aur jab wo 10 sal ke ho jaye to unhe us pr ( Yaani Namaz na pdhne pr ) maaro, aur un ke sone ke bistar alag alag kardo. The Messenger of Allah ﷺ said: Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately. Abu Dawood 495 , Sahih #auladkitarbiyat #aulad#parent#namaZ

Har Shakhs Ne Jo Neki Kamaai Hai, Us Ka Fal Usi Ke Liye Hai Aur Jo Badi Sameti Hai, Us Ka Wabal Usi Par Hai.

Har Shakhs Ne Jo Neki Kamaai Hai, Us Ka Fal Usi Ke Liye Hai Aur Jo Badi Sameti Hai, Us Ka Wabal Usi Par Hai. ALLAH kisi jaan par us ki taqa se badh kar zimmedari  ka boojh nahi dalta.  har shakhs ne jo neki kamaai hai, is ka fal usi ke liye hai aur jo badi sameti hai, us ka wabal isi par hai. (imaan laane walo) Tum Yu Dua Karo Aye Hamare Rab! Hum Se Bhool Chuk Mein Jo Qasoor Ho Jaye, Un Par Girift Na Karna. Malik! Hum Par Woh Boojh Nah Daal, Jo Tune Hum Se pehle logo par dale the.  Parwardigar! Jis Baat Ko Uthane Ki Hum Mein Taaqat Nahi Hai, Woh Hum Par Nah Rakh.  Humare Sath Narmi Kar, Hum Se Dar Guzar Farma, Hum Par Reham Kar, Tu Hamara Maula Hai, Kafiro Ke Muqable Mein Hamari Madad Kar. ALLAH does not charge a soul except [with that within] its capacity. It will have [the consequence of] what [good] it has gained, and it will bear [the consequence of] what [evil] it has earned. "Our Lord, do not impose blame upon us if we have forgotten or erred. Our Lord, and lay...

Agar Aurat ke Haiz Mese Mard Ko Kuch Lag Jaye

Agar Aurat ke Haiz Mese Mard Ko Kuch Lag Jaye Mein ne Ummul Muminin Aisha Razi Allah Anha ko kehte hue suna : Mein aur RASULULLAH ﷺ dono ek hi kapdhe mein raat guzartay aur mein haalat haiz mein hoti, agar kahi aap ﷺ ko kuch lag jata to sirf us jagah ko dho lete us se aage na badhte, aur kahi kapdhe mein lag jata to sirf itni hi jagah dho lete, us se aage na badhte aur usi kapdhe mein namaz padhte . Narrated Aisha, Ummul Muminin: I and the Messenger of ALLAH ﷺ used to lie in one cloth at night while I was menstruating. If anything from me smeared him, he washed the same place (that was smeared), and did not wash beyond it. If anything from him smeared his clothe, he washed the same place and did not wash beyond that, and prayed with it (i. e. the clothe).  Abu Dawood 2166 , Sahih #haiz #menses #menstruation

Agar Shohar Ye Shart Manle Ki Aurat Apne Ghar Me hi Rahegi To

  Agar Shohar Ye Shart Manle Ki Aurat Apne Ghar Me hi Rahegi To RASULULLAH ﷺ ne farmaya : Pura kiye jane ki sab se ziyada mustahiq sharte woh hain jin ke zariya tum ne sharamgaho ko halal kya hai. The Messenger of ALLAH ﷺ as saying “The condition worthier to be fulfilled by you is the one by which you made the private parts (of your wife) lawful (for you).  Abu Dawood 2139 , Sahih Explanation :- Agar nikaah ke waqt ye tey hoke biwi apne mayke mehi rahegi aur shohar us shart ko qubul karle to zahir hadees ke mutabik ab usko uske mayke se nikalne ka haq nahi.

Jo Shaks Kisi Aurat Ko Dekhe Or Uske Dil Me Bas Jaye To Woh.....

Jo Shaks Kisi Aurat Ko Dekhe Or Uske Dil Me Bas Jaye To Woh..... Hazrat Jabir R.A se rivayet ki ke ek aurat par RASULULLAH ﷺ ki nazar padh gayi to aap apni ahliya Hazrat Zainab R.A ke paas aaye. woh –apne liye ek chamdhe ko rang rahi thi, aap ne ( ghar mein ) apni zaroorat poori farmai, phir –apne sahaba ki taraf tashreef le gaye, aur farmaya : bilashuba ( fitne mein daalnae ke hawale se ) aurat shetan ki soorat mein samne aati hai aur shetan hi ki soorat mein mudh kar wapas jati hai. tum mein se koi jab kisi aurat ko dekhe to woh apni biwi ke paas aa jaye, bilashuba yeh cheez is khwahish ko hata degi jo is ke dil mein ( peda hui ) hai. Jabir reported that ALLAH'S Messenger ( ‌ﷺ ‌‌) saw a woman, and so he came to his wife, Zainab, as she was tanning a leather and had sexual intercourse with her. He then went to his Companions and told them: The woman advances and retires in the shape of a devil, so when one of you sees a woman, he should come to his wife, for that will repel what ...

Zalim Badhshah Ke Samne Haq Kehna

Zalim Badhshah Ke Samne Haq Kehna Nabi Kareem ﷺ ne farmaya : ”zalim badshah ke samnay haq kehna sab se behtar jihad hai “. The Prophet ﷺ said: Indeed, among the greatest types of Jihad is a just statement before a tyrannical ruler.    Tirmazi 2174 , Sahih

Dam Me Koi Harz Nahi Jab Tak Usme Shirk Na ho

Dam Me Koi Harz Nahi Jab Tak Usme Shirk Na ho Hazrat Auf b. Malik Ashja'i R. A se riwayat hai ke, : hum zamane jahiliyat me dam kiya karte the hum ne arz kiya : ALLAH ke RASUL ﷺ ! us ke baare me aap ka kya khayal hai? Aap ﷺ ne farmaya : apne dam ke kalimat mere samne pesh karo dam me koi harz nahi jab tak usme shirk na hoo. Auf b. Malik Ashja'i reported We practised incantation in the pre-Islamic days and we said: Allah's Messenger. what is your opinion about it? He said: Let me know your incantation and said: There is no harm in the incantation which does not smack of polytheism.  Sahih Muslim 5732 , Sahih

Agar Kisi Ko Janabat Ki Halat Me sona Ho To

  Agar Kisi Ko Janabat Ki Halat Me sona Ho To Mene Hazrat Aisha Razi Allah Anha se pucha ke ALLAH ke RASUL ﷺ janabat ki haalat mein kese sotay thay? kya sonay se pehlay gusal farmatay thay ya gusal se pehlay so jate thay? unhone farmaya : aap dono tarha kar letay thay. kabhi gusal farma kar sotay aur kabhi sirf wudu kar ke so jatay . I asked 'Aisha R.A: 'How did the Messenger of ALLAH (ﷺ) sleep while he was Junub? Did he perform Ghusl before sleeping or sleep before performing Ghusl?' She said: 'He did both. Sometimes he would perform Ghusl then sleep, and sometimes he would perform Wudu' then sleep.' Sunan Nasai 404 , Sahih  #janabat #sex #intercourse #husband #wife

Jab Tum Kisi Se len den karo Ya Zameen Do To

Jab Tum Kisi Se len den karo Ya  Zameen Do To Aye logo jo imaan laye ho, jab kisi muqarrar muddat ke liye tum aapas mein len-den karo, to usay likh liya karo. Dono fariko ke  darmiyan insaaf ke sath 1 shakhs dastawez tehreer kare. jisay ALLAH ne likhne padhne ki qabliyat bakhshi ho, use likhne se inkar na karna chahiye. woh likhe aur bolkar woh shakhs likhwaye ( yaani qarz lene wala ), aur usay ALLAH , –apne rab se darna chahiye ke jo mamla te sun-huwa ho is mein koi kami Beshi nah kare. lekin agar qarz lene wala khud nadan ya zaeef ho, ya bolkar na likha  sakta ho, to is ka walii insaaf ke sath imla (bolkar likhwaye) . phir –apne mardon mein  se do admio ki is par gawahi kara lo. aur agar do mard nah ho to 1 mard aur do aurte ho taake ek bhool jaye, to doosri use yaad dilaye. yeh gawah ese logon mein se hone chahiye, jin ki gawahi tumahray darmiyan maqbool ho.  gawahoon ko jab gawah banne ke liye kaha jaye, to unhe inkar nah karna chahiye. mamla khuwa chota ho ...

Jisne Fazr ki Namaz padhi

  Jisne Fazr ki Namaz padhi RASULULLAH ﷺ ne farmaya: Jisne Fazr Ki Namaz Padhi wo ALLAH ki Amaan ( Panaah ) me hai. The Prophet (ﷺ) said: “Whoever offers the morning prayer, he is under the protection of ALLAH, the Mighty and Sublime.”  Ibne MAJA 3946 , Sahih

RASULULLAH ﷺ ki lanat

  RASULULLAH ﷺ ki lanat RASULULLAH ﷺ ne Sood Lene Wale Sood dene wale or uske dono gawaho or uske likhne wale par lanat bheji  The Messenger of Allah (ﷺ) cursed the one who consumed Riba, and the one who charged it, those who witnessed it, and the one who recorded it. Tirmazi 1206 , Sahih

Padosiyo ke sath accha sulook karna.

  Padosiyo ke sath accha sulook karna . RASULULLAH ﷺ ne farmaya : mujhe Jibrail Alaihi Salam barabar paros ke sath naik sulooq karne ki wasiyat karte rahe, yaha tak ke mujhe yeh khayaal hone laga ke woh parosi ko waris bana denge. The Messenger of Allah(ﷺ) said: Jibrail kept enjoining good treatment of neighbours untol I thought that he would make neigbours heirs.  Ibne Maja 3673 , Sahih

Aaj ke Musalman ka haal or RASULULLAH ﷺ kaa farman.

  Aaj ke Musalman ka haal or RASULULLAH ﷺ kaa farman. Hazrat Abu Huraira Razi Allah Anho se manqool hai ke RASULULLAH ﷺ ne farmaya :' ' Asal musalman woh hai jis ki zabaan aur haath se dusre musalman mehfooz ho. aur asal momin woh hai jis se logo ko apni jaan o maal ke bare mein koi khatrah na ho.' ' It was narrated from Abu Hurairah that: The Messenger of Allah [SAW] said: The Muslim is the one from whose tongue and hand the people are safe, and the believer is the one from whom the people's lives and wealth are safe.  Sunan Nasai 4998 , Sahih

Jin logo ne ALLAH ki kitaab me ikhtilafat nikale

  Jin logo ne ALLAH ki kitaab me ikhtilafat nikale Yeh sab kuch is wajah se huwa ke ALLAH ne to thik thik haq ke mutabiq kitab nazil ki thi magar jin logo ne kitaab mein ikhtilafat nikale woh –apne jhadho mein haq se bohat dur nikal gaye. That is [deserved by them] because Allah has sent down the Book in truth. And indeed, those who differ over the Book are in extreme dissension. Surah Baqara 176