Kisi ka qarz ada kara ya usey khana khilana Afzal aamal hain

  𝗞𝗶𝘀𝗶 𝗸𝗮 𝗾𝗮𝗿𝘇 𝗮𝗱𝗮 𝗸𝗮𝗿𝗮 𝘆𝗮 𝘂𝘀𝗲𝘆 𝗸𝗵𝗮𝗻𝗮 𝗸𝗵𝗶𝗹𝗮𝗻𝗮 𝗔𝗳𝘇𝗮𝗹 𝗮𝗮𝗺𝗮𝗹 𝗵𝗮𝗶𝗻 RASULULLAH ﷺ se sawaal kiya gaya ke kaunsa amal afzal hai? Aap ﷺ ne farmaya tum apne momeen bhai ko khushi pahunchao ya uska qarz ada karo ya usey khana khilao. RASULULLAH ﷺ was asked which is the best deed ? He replied deliver happiness to your Believer Muslim or to recompense his debt, or to feed him food 𝗔𝗹-𝗦𝗶𝗹𝘀𝗶𝗹𝗮-𝘁𝘂𝘀-𝗦𝗮𝗵𝗶𝗵𝗮 - 𝟯𝟲𝟱𝟭

Aurat Zeb Zinat Ikhtyar karke Ger Mehram Ke Samne Na Jaye

Aurat Zeb Zinat Ikhtyar karke Ger Mehram Ke Samne Na Jaye 

Jo aurat khubsurat libas pahen kar aur khusbhu lagakar kar bahar nikalti hai to ham ye nahi kahte ki uski niyat kharab hai lekin ye zarur hai ke us aurat ne mardo ki niyat me khalal dala hai.Jaha Allah Ta’ala mardo ko hukm dete hai ke apni nigahe nichi karo to dusri taraf aurato ko bhi hukm deta hai ke aurate aisa kam na kare ke jisse mard na chahte hue unki taraf mutawajjo(attract) ho jaye, aur aurat apne is amal se jane anjane me najane kitne mardo ko gunahgar bana deti hai.Jabki wo jism ki badbu us khushbu se lakh gunah achhi hai ke jis khushbu ko lagakar bahar jane pe Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne aurat ko zaniyah kaha.

Aurat ke liye apne ghar me rahte hue khusbhu lagana jayez hai aur agar khushbu apne shauhar ko khush karne ke liye lagai jaye to ye mustahab hai kyunki ye shauhar ki behatareen ita’at me shamil hota hai.

Lekin agar aurat khushbu laga kar bahar nikle ke usey ghair mehram aur ajnabi mard sunghein aur uski khushbu paayein to ye haram hoga aur is amal par aurat gunahgar hogi kyunki us aurat ne mardo ko fitne me dala hai aur uske liye aur khud ke liye Zina ke darwaze khole hai. Jaisa ke hadeeso me ata hai


✔☘1.Abu musa Ashari Radiallahu anhu bayan karte hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :

“Jo aurat bhi khushbu laga kar logo ke pas se guzre ke log uski khushbu paayein to wo aurat zaniyah(adulteress) hai. ”


✔☘2.Zainab saqfiyah Radiallahu anhu bayan karti hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :

” jab tumme se koi aurat masjid ki taraf jaaye to wo khushbu ke Qareeb bhi na jaaye. ”

Comments

Popular posts from this blog

SHAB-E-BARAT KI Haqiqat Quran or hadis Ki Roshani Me

SHAB-E-BARAT AND SHAB-E-QADAR

Jab Koi Roza Rakhe To Na Fehash Kaam Kare Na Behuda Kaam Kare